Posts

Showing posts from April, 2016

Teri hamd hai teri sana Lyrics

Teri hamd hai teri sana Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Dhadkan dhadkan wird tera Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Jo tauhid ka nagma hai Har dam gunjata rehta hai Koi shareek nahin tera Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Alam alam sub'ho masa Tere aage sar hai juka Beshak tu hai sab se bada Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Zaat hai teri hi be-ay'eb Tuj par imaan hai bil-gayb Sab se afzal hai kalema Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah

Rutba hi kuchh aesa hai uncha alahazrat ka Lyrics

Rutba hi kuchh aesa hai uncha alahazrat ka Duniya bhar mein hota hai charcha alahazrat ka Mere alahazrat ko nisbat hai sarkar se Kyun na khan khan khanke ga sikka alahazrat ka Duniya bhar mein hota hai charcha alahazrat ka Aesa bhi din aayega sari duniya dekhegi Duniya mein laherayega janda alahazrat ka Aesa bhi din aayega ae najdi tu dekhna Tere devband mein laherayega janda alahazrat ka Najdi kud'ha karkat hai pal mein tu udh jayega Jhum ka jo aayega jonka alahazrat ka Duniya bhar mein hota hai charcha alahazrat ka Hamko ae Sajjad ab koi kya bahekayega Jab tak mere sar par hai saya alahazrat ka Duniya bhar mein hota hai charcha alahazrat ka

Huzur aaye Huzur aaye Lyrics

Manao Khushiyan Jashn manao Huzur aaye Huzur aaye Badi akidat se ghar sajao Huzur aaye Huzur aaye Hamare ghar mein nabi ka janda Khuda ki rehmat se jhumta hai Uthao jande kadam badhao Huzur aaye Huzur aaye

Gunahgaron ko hatif se naweede khush ma'ali hai Lyrics

Gunahgaron ko hatif se naweede khush ma'ali hai Mubarak ho shafa'at ke liye Ahmad sa wali hai Tera kadde mubarak gulbune rehmat ki dali hai Ise bo kar tere rab ne bina rehmat ki dali hai Kaza haq hai magar is shok ka allah wali hai Jo unki rah mein jaaye wo jaan allah wali hai Mein ek mohtaj be wak'at gada tere sage dar ka Teri sarkar wala hai tera darbar aali hai Tumhari sharm se shane jalal haq tapakti hai Khame gardan hilale  aasmane zuljalali hai Abu bakro umar usmano hayder jis ke bulbul hein Tera sarwe saheeh us gulbane khubi ki dali hai Raza kismat hi khul jaaye jo geelan se khitab aaye Ke tu adna sage dargahe khuddame ma'ali hai

Mein to khud unke dar ka gada hun Lyrics

Mein to khud unke dar ka gada hun Apne aaqa ko mein nazar kya dun Ab toh aankhon mein bhi kuchh nahin hai Warna kadmon mein aankhen bichha dun Be-nigahi pe meri na jayein Deedawar mere nazdik aayein Mein yahin se madina dikhadun Dekhne ka salika sikha dun Mein to khud unke dar ka gada hun Apne aaqa ko mein nazar kya dun Samne mere aaqa ka dar hai  Roza e paak peshe nazar hai Mujko kya kuchh nazar aa raha hai Tumko lafzon mein keise batadun Ab toh aankhon mein bhi kuchh nahin hai Warna kadmon mein aankhen bichha dun Mere aansun bahot kimati hein Inse wabasta hein unki yadein Inki manzil hai khake madina  Ye gohar yunhi kese luta dun Mujko Iqbal nisbat hai unse Jinka har lafz jaane sukhan hai Mein jahan naat unki suna dun Sari mehfil ki mehfil jaga dun Ab toh aankhon mein bhi kuchh nahin hai Warna kadmon mein aankhen bichha dun

Rasoole do alam karam kijiyega Lyrics

Rasoole do alam karam kijiyega Dame naz'a jalwa dikha dijiyega Meri rooh aaknhon mein khich aaye jis dam Zara rukh se parda utha dijiyega Muje apne qadmon mein ae sarware deen Bula lijiyega bula lijiyega Bula kar madine mein shahe madina Jamale mubarak dikha dijiyega Safina bhanwar mein fasa hai hamara Ise paar aqa laga dijiyega

Shehre nabi teri galiyon ka Lyrics

Shehre nabi teri galiyon ka  Naqsha hi kuchh aesa hai Khuld bhi hai mushtaqe ziyarat Jalwa hi kuchh aesa hai Dil ko sukun de aankh ko thandak Roza hi kuchh aesa hai Farshe zameen par arshe baree ho Lagta hi kuchh aesa hai Unke dar par aesa juka dil Uthne ka kuchh hosh nahin Ahle shareeyat hein sakte mein Sajda hi kuchh aesa hai Arshe mu'allah sar pe uthaye Taeere sidra aankd lagaye Patthar bhi kismat chamkaye Talwa hi kuchh aesa hai Khuld bhi hai mushtaqe ziyarat Jalwa hi kuchh aesa hai Sibate nabi hai pushte nabi par Aur sajde ki halat hai Aaqa ne tasbeeh bada di Beta hi kuchh aesa hai Khab hai yaha jamshe do sikandar Isme kya hairani hai Unke gulamon ka ae Akhtar Rutba hi kuchh aesa hai

Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Lyrics

Dekhte reh gaye Dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne Iqra to dekha tha jibreel ne Ham toh gaare hira dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Arsh par pahunche aaqa toh ruhe ameen Sidratul muntaha dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Chand do tukde ho kar tasadduk hua Dushmane mustafa dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Roohe roshan pe zulfein siya dekh kar Ham duha aur saja dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye

Badi ummid hai sarkar qadmon mein bulayenge Lyrics

Badi ummid hai sarkar qadmon mein bulayenge Karam ki jab nazar hogi madine ham bhi jayenge Agar jana madine mein hua ham gham ke maaron ka Makine gumbade khazra ko haale dil sunayenge Ghar tum na sunoge to meri kaun sunega Ghar tum na karoge to karam kaun karega Makine gumbade khazra ko haale dil sunayenge Gunahgaron m e khud aake shamil parsaan honge Shafee e hashr jab damane rehmat mein chhupayenge Kasam allah ki hoga wo manzar deed ke kabil Kayamat mein rasulullah jab tashreef layenge Ghame ishke nabi se hoga jab ma'moor dil Tayyab Tere zulmat-kade mein bhi sitare jagmagayenge

Jab ishk ne rulaya Sarkar ne bulaya Lyrics

Jab ishk ne rulaya Sarkar ne bulaya Chamka mera mukaddar  Mein madina dekh aaya Wahan har taraf the saeel Khairat bat rahi thi Tha noor ka samandar Rehmat baras rahi thi Kya kya koi bataye Kya kya nazare hi the Kabhi jaliyon ko chuma Kabhi hichkiyon se roye Sarkar ne bula kar Kya kya ata kiya hai Be-noor mere dil ko Purnoor kar diya hai Jise chahe wo bana de Jise chahe wo bulaye Ho gada jo unke dar ka Sultan wo bana de Basta rahe hamesha Madani ka aasatana Palta hai jiske dam se Akhtar zamana sara Chehre nahin badalte Us naam ka hai sadka Dare aamena pe aaye Aamena ke pyare Jab ishk ne rulaya Sarkar ne bulaya Chamka mera mukaddar  Mein madina dekh aaya

Mustafa ka khuda aur khud mustafa Lyrics

Mustafa ka khuda aur khud mustafa Kyun kahun mera koi sahara nahin Mein madine lekin bahot door hun Ye khalish mere dil ko gawara nahin Mustafa ka khuda aur khud mustafa Aapka ishk hai ishke rabbul ula Aapka zikr hai khas zikre khuda Khud khuda ne ye quraan mein aelan kiya Jo tumhara nahin wo hamara nahin Isme ahmad ki ta'zim ke munkiron Iski azmat ko quraan se dekh lo Be-laqab unka isme mubarak kahin Unke ma'bood ne bhi pukara nahin Thokaron ke siwa aur paayega kya Jiski manzil ka koi na ho rehnuma Apni manzil pe hargiz na pahunchega wo Hath mein jiske daman tumhara nahin Akle jinno bashar ka yahan zikr kya Sidra wale jahan dango hairan hein Rif'ate mustafa ki mile had kise Ye wo dariya hai jiska kinara nahin Wo hi roze pe bulwayenge ek din Ae Sikandar zara sabr se kam le Unke dar ka gada aur mayus ho Mere sarkar ko ye gawara nahin

Zuban se kya mein kahun Lyrics

Image
Zuban se kya mein kahun Aap se chhupa kya hai Aap jaante hein Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Nabi ke ishk ki lazzat bilal se puchho Bilal jante hein ishke mustafa kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Kaha khuda ne sare hashr bakhsh di ummat Mere habeeb bata aur chahta kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Gale mein dekha jo patta teri gulami ka Kaha Nakiron ne ab is se puchhna kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Mere huzur ko khud jaisa bolne wale Tu unki zaat ke bare mein janta kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Wo kya batayega quraan ke ramooz bhala Jise pata hi nahin shane mustafa kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Suna ke neze pe quraan ali ke bete ne Bata diya hai fanah kya hai aur baqa kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadri

Allahu ki boli hai by Ather Qadri Lyrics

Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Hasbi Rabbi Jallalallah Mafi Qalbi Ghairullah Noore Muhammad Sallalallah  Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Chidiyon ki sab chankaron mein Allahu ki boli hai Gulshan mein Gulzaron mein Allahu ki boli hai Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Mimbar par mehrabon par Tera naam hi roshan hai Masjid ke meenaron mein Allahu ki boli hai Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Allahu-Akbar ki hai sada  Rann mein mujahid ke lab par Mo'min ke sab naaron mein Allahu ki boli hai Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Qadari ho ya nakshbandi Aur bhi jitne salasil hon Sab waliyon ke mazaron mein Allahu ki boli hai Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Lailaha Illalallah Ha we sukhan war wirde zaban Allahu bas Allahu  Roshan dil ke ta

Apni nisbar se mein kuchh nahi hun Lyrics

Apni nisbar se mein kuchh nahi hun Is karam ki badolat bada hun Unke tukdon se a'ezaz pa kar Taajdaron ki saf mein khada hun Is karam ko magar kya kahun ga Meine mana mein sab se bura hun Jo buron ko samete hue hein Unke kadomon mein bhi pada hun Unke tukdon se a'ezaz pa kar Taajdaron ki saf mein khada hun Dekhta hun jab unki atayein Bhul jata hun apni khataein Sar nadamat se uthta nahin hai Jab mein apni taraf dekhta hun Shafa'e muztaba ke karam ne Laaj rakhli mere khote pan ki Nisbaton ka karam hai ke khalid Khota hote hue bhi khara hun Apni nisbar se mein kuchh nahi hun Is karam ki badolat bada hun

Give Thanks to Allah Lyrics

Give Thanks to Allah For the moon and the stars Prays in all day full, What is and what was Take hold of your Imaan, Don't giving to Shaitan Oh You ! Who believe please, Give Thanks to Allah Allahu Gafur Allahu Raheem Allahu Yuhibu el Mohsineen Hu wa khalikuna hu wa Razikuna Waho wa Alaa Qulli Shayin Qadir Allah is Gafur Allah is Raheem Allah is the One who loves the Mohsineen He is a Creator, He is a Sustainer And he is the One, Who has power overall

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक