haajiyo.n ! mustafa se keh dena kamli waale ka naam le le kar be-sahaare salaam karte hei.n haajiyo.n ! mustafa se keh dena gham ke maare salaam karte he.n allah! allah! huzoor ki baatei.n marhaba ! rang-o-noor ki baate.n chaand jinki balaae.n leta hai aur sitaare salam karte hein zaaeer-e-taiba tu madine mein mere aaqa se itna keh dena pyaare aaqa rasool sun lijiye gham ke maare salam karte hein aye payaami ! meri qasam hai tuje 'arz karna rasool-e-akram se qalb-e-muztar ko hai huzoor tadap aur saare salam karte hein sabz-gumbad ka aankh mein manzar aur tasawwur mein aapka mimbar saamne jaaliyaa.n hein roze ki aur zahen se salaam karte hein allah! allah! Huzoor ke gesoo bhini-bhini mahekti wo khushbu jinse ma'moor hai fiza har soo wo nazaare salaam karte he.n jalwa-gaah-e-shah-e-anaam hai unke roze ka aheteraam hai ummati joom joom kar tumko rab ke pyaare salaam karte hein jab muhammad ka naam aata hai rahmato.n ka payam aata hai lab hamaare durood padte he.n dil...
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye ghar ka ghar sab ya KHuda! phool jaisa ke mahakte he.n madine ke sadaa dulha bana dulha ba...
al-madad peeraan-e-peer , gaus-e-aa'zam dastageer ! al-madad peeraan-e-peer , ghaus-e-aa'zam dastageer ! rutba ye wilaayat me.n , kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyo.n ka , sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par , hasnain ka saaya hai mere gaus ne thokar mei.n , murdo.n ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer , ghaus-e-aa'zam dastageer ! laakho.n ne usi dar se , taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki , har baat niraali hai doobi hui kashti bhi , dariya se nikaali hai ye naam adab se lo , ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer , ghaus-e-aa'zam dastageer ! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labo.n par tum , fariyaad chale jaao milna hai agar tumko , waliyo.n ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo , baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer , ghaus-e-aa'zam dastageer ! ya ghaus ! karam kardo , ya ghaus ! karam kardo ye deen ki daulat se , daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai , bas ek nazar kar do baghdaad ki galiyo.n mei...
labbayk allahumma labbayk labbayk la'shareek laka labbayk innal hamd wanne'ymat lak wal mulk lashareek lak nasib par hai wo aaj nazaan jinhe sharaf hajj ka mil raha hai mina ki janib rawan dawan hai labon pe labbayk ki sada hai labbayk allahumma labbayk labbayk la'shareek laka labbayk innal hamd wanne'ymat lak wal mulk lashareek lak ba-chashme nam ghum koi dua mein to koi masroof hai sana mein khuda ke mehman hein mina mein ajeeb kayfo suroor sa hai labbayk allahumma labbayk labbayk la'shareek laka labbayk innal hamd wanne'ymat lak wal mulk lashareek lak qubool kyun na ho ab duaein mili muqaddar se ye fazaein muaaf uski hein sab khataein jo aaj arfat mein khada hai labbayk allahumma labbayk labbayk la'shareek laka labbayk innal hamd wanne'ymat...
are hajiyon tum haram ja rahe ho are hajiyon tum haram ja rahe ho basad aheteram ek payam arz karna mazaare muqaddas pe jab haazari ho mera bhi nabi se salaam arz karna ye kehna ke ek ummati be-sahaara hai bechain wo darde furqat ka maara ye kehna madine se wo door reh kar fire darbadar sub-ho shaam arz karna are hajiyon tum haram ja rahe ho basad aheteram ek payam arz karna tadapta hai dil aur barasti hain aankhein baraa-e-ziyarat tarasti hain aankhein ye kehna basarat se mehrum hai wo meri haalate gham tamam arz karna mazaare muqaddas pe jab haazari ho mera bhi nabi se salaam arz karna ye kehna gunahgaro badkaar hai wo khataaon pe lekin sharamsaar hai wo nigaah-e-karam ka talabgar hai wo pilaado mahobbat ka jaam arz karna mazaare muqaddas pe jab haazari ho mera bhi nabi se salaam arz karna ho makke se tayba ki jaanib rawana ho din aashikana nazar aarifana adab se sare raah palkein bichhana aqidat se fir tum salaam arz karna are hajiyon tum haram ja rahe ho basad aheteram ek payam ar...
humne aa.nkho.n se dekha nahi.n hai magar humne aa.nkho.n se dekha nahi.n hai magar, unki taswiir siine me.n maujuud hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilaahii diya, wo mohammad madine me.n maujuud hai, hai nazar me.n jamaal -e-habiib-e-KHuda, unki taswiir siine mei.n maujuud hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilaahii diya, wo mohammad madine mei.n maujuud hai, humne aa.nkho.n se dekha nahi.n hai magar, unki taswiir siine me.n maujuud hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilaahii diya, wo mohammad madine me.n maujuud hai, phool khilte he.n pa.D karke salle-'ala, ...
Vo paikar e haya hai Aqa ke ba vafa hai Do noor vale hazrat Usman e gani hai Allah se kya pyar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai Usman e gani ka Garmi pe ye bazar hai Usman e gani ka Allah kharidar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai Usman e gani ka Jo dil ko ziya de jo mukaddar ko jila de Vo jalva e didar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai Usman e gani ka Vo paikar e haya hai Aqa ke ba vafa hai Do noor vale hazrat Usman e gani hai Allah se kya pyar hai.... Jis aayine me noor e ilahi nazar aaye Vo aayina rukhsar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai Usman e gani ka Sarkar se paayenge muradon pe muraden Darbar ye durbar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai Usman e gani ka Vo paikar e haya hai Aqa ke ba vafa hai Do noor vale hazrat Usman e gani hai Allah se kya pyar hai.... Allah gani had nahi inaam o ata ki Vo faiz pe darbar hai Usman e gani ka Rook jaye ...
juki hui ye jabee.n hai, huzoor dekhei.n na juki hui ye jabee.n hai, huzoor dekhei.n na humaara qalb-e-hazee.n hai, huzoor dekhei.n na humaari aankh mein khushiyo.n ka raqs hota tha ab in mein dard makee.n hai, huzoor dekhei.n na kisi ka koi to hota hai itne logo.n mei.n humaara koi nahi.n hai, huzoor dekhei.n na huzoor koi nahi.n aap ke siwa mera huzoor koi nahi.n hai, huzoor dekhei.n na dil-e-hazee.n ka faqat aapki nazar ke siwa koi ilaaj nahi.n hai, huzoor dekhei.n na juki hui ye jabee.n hai, huzoor dekhei.n na humaara qalb-e-hazee.n hai, huzoor dekhei.n na
Short Lyrics: Roman(ENG): Kyun aake ro rahaa hai Muhammad ke Shahar mein Har dard ki Dawaa hai Muhammad ke Shahar mein Aao Gunahgaron chalo sar ke bal chalein Tauba ka Dar khula hai Muhammad ke shehar mein Kadmon ne Unke khaak ko kundan banaa diya Mitti bhi kimiya hai Muhammad ke Shehar mein Sadqa luta raha hai Khuda Unke Naam ka Sona nikal rahaa hai Muhammad ke Shehar mein Sab to juke hein Khaana-e-Kaaba ke saamne Kaaba juka hua hai Muhammad ke Shehar mein Saaya nahi hai Gumbade Khazra ka Aaj bhi Zinda Ye mojaza hai Muhammad ke Shehar mein Aye Raaz Tu to Hind mein maujud hai magar Din Raat pad raha hai Muhammad ke Shehar mein हिंदी (HINDI): क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में हर दर्द की दवा है मुहम्मद के शहर में आओ गुनाहगारों चलो सर के बल चलें तौबा का दर खुला है मुहम्मद के शहर में क़दमों ने उनकी ख़ाक को कुंदन बना दिया मिट्टी भी कीमिया है मुहम्मद के शहर में सदक़ा लुटा रहा है खुदा उनके नाम का सोना निकल रहा है मुहम्मद के शहर में सब तो जुके हैं खाना-इ-काबा के सामने काबा जुका ह...
Comments
Post a Comment