Posts

Showing posts from December, 2015

Matiro Pinjira Bangiya Choriya Lyrics

Matiro Pinjira Bangiya Choriya Ek din tohja hi be paki Oriya Oriya Chale mai ye dakiya Khule loy be tuliya Chume be koro chu kar pani chariya chariya Chere jabe duniya Mayar badun katiya Azrail to aase shamne boshiya boshiya Azrail ke dekhiya choku jayi be ultiya  Pipa shate jabe chati patiya patiya Chale mai ye boshiya kadbe chitkar mariya Jomne tohre baba jaiye chariya chariya  Matiro Pinjira Bangiya Choriya Ek din tohja hi be paki Oriya Oriya Alim gonke dakiya goram pani toraiya Shaban dime dige gusol khoraiya khoraiya Janaza poraiya Murdar date choraiya  Kabar dese teni be kandiya kandiya Basbagane rakhiya shobai jaiye choliya Jarjar gore shobai tak de gumaiya gumaiya Ae holo bai duniya Ke ho karo aaponay Allah sara arto aapon paibana paibana Elem gon ke doriya elem kalam shikiya Na majru jalo re shati baniya banaiya Allah arz ke koriya jo ban rako bejaiya Britu kosto jabe dure choliya choliya Ruja na maj chariya kobo re paao di

Milad e nabi ka hai Ye eid hamari hai Lyrics

Milad e nabi ka hai Ye eid hamari hai Ye eid hamari  eid hamari  eid hamari hai Aqa ka yaum e viladat hai ye  eid hamari hai Ye din to khuda ki rehmat hai ye  eid hamari hai Kyu ghar na sajaye ham apne   Pyare aqa ki amad hai Ye khushiyan hamari daulat hai ye  eid hamari hai Aqa ka yaum e viladat hai  ye  eid hamari hai Milad e nabi ka hai Ye eid hamari hai Hame jansi pyari hai ye eid hamari hai Har zarra donon alam ka masroof duroodon mai Har lab pe unki mid'hat hai ye eid hamari hai Aqa ka yaum e viladat hai  ye  eid hamari hai Milad e nabi ka hai Ye eid hamari hai Hame jansi pyari hai ye eid hamari hai Jazbon ki shehnai gunji ye jashne viladat hai Ye meri kaum ki izzat hai ye eid hamari hai Aqa ka yaum e viladat hai  ye  eid hamari hai Milad e nabi ka hai Ye eid hamari hai Hame jansi pyari hai ye eid hamari hai Gar ishk e nabi ka dava hai milad manao tum Ye ishk e nabi ki alamat hai ye eid hamari hai Aqa ka yaum e viladat hai  ye  eid hamari h

Nabi aaye aaye aaye By Imran shaikh Lyrics

Noor vala amena bibi ke ghar mai aya hai Haq ne paida aaj apne pyare ko farmaya hai Aaye aaye aaye aaye Nabi aaye Nabi aaye aaye Rab ne arzo sama hai sajaye Kudsiyon ne kaside hai gaye Aashikon ne ye naare lagaye Nabi aaye aaye  Nabi aaye aaye Jinki amad ki nabiyon ne di hai khabar Chand val fajr ka ho gaya jalva gar Aaye makke mai jab rashke shamso kamar Saj gai har gali har gali har nagar Nabi aaye aaye  Nabi aaye aaye Rab ne arzo sama hai sajaye...... Ban ke noorul huda aa gaye mustafa Un ki tazim mai khana kaaba juka Mere lajpal aqa ke hi noor se Zarra zarra har ek jagmagane laga Nabi aaye aaye  Nabi aaye aaye Rab ne arzo sama hai sajaye...... Zinda dar gor karte the jo betiyan Unse milne laga betiyon ko amaan Zaate baari ka jinko pata kuchh na tha Ban gaye vo gulame shahe kul jahan Nabi aaye aaye  Nabi aaye aaye Rab ne arzo sama hai sajaye...... Gamzadon ko sahara nabi ne diya Paar dukhiyon ka gaazi safina kiya Amad e mustafa ki khab

Mera deen aur duniya madine mai hai Lyrics

Meri ulfat madine se yu hi nahi Mere Aqa ka roza madine mai hai Mai madine ki janib na kaise khichu Mera deen aur duniya madine mai hai Arsh e azam pe jiski badi shan hai Roza e mustafa jiski pehchan hai Jiska ham palla koi mohalla nahi Ek aisa mohalla madine mai hai Fir muje maut ka koi khatra na ho Maut kya zindagi ki bhi parvah na ho Kash sarkar ek baar mujse kahe Aa tera jina marna madine mai hai Meri ulfat madine se yu hi nahi Mere Aqa ka roza madine mai hai Mai madine ki janib na kaise khichu Mera deen aur duniya madine mai hai Esi khushbu chaman ke gulon mai nahi Jaisi khushbu nabi ke paseene mai hai

Mufti e kutch zindabad Lyrics

zindabad  zindabad  zindabad  zindabad Mufti e kutch zindabad zindabad  Kutchiyon ka hai ye naara Faiz hai ye un ka sara Mil ke sab ne ye pukara Mufti e kutch hai hamara Mufti e kutch zindabad zindabad  Sunniyon ki shan ho tum Sab dilon ki jaan ho tum Sunniyon ka jo hai taara Mufti e kutch hai hamara Mufti e kutch zindabad zindabad  Mustafa ki aal ho tum Mo'ajaze bhi un ke tum Mustafa ka jo hai pyara Mufti e kutch hai hamara Mufti e kutch zindabad zindabad  Jahelana daur tha aur  Koi bhi hadi na tha Deen se kutch ko savara  Mufti e kutch hai hamara Mufti e kutch zindabad zindabad  Umar sari vakf kardi Deen pe kurbaan kardi Kaunsa hai ye sitara Mufti e kutch hai hamara Mufti e kutch zindabad zindabad  Faiz zari hi rahega Hashr tak yu hi rahega Har kisi ne yu pukara Mufti e kutch hai hamara Mufti e kutch zindabad zindabad  Aarazu ahmad raza ki  Sath mai Salman ki Har taraf ye gunje naara Mufti e kutch hai hamara

Madinu Madinu Di saro Ta Variya Lyrics

Madinu Madinu Di saro Ta Variya Madine je sohne mai ratu guzariya Madine ja meenar uo mimbar uo mehrab Nazar mai gome pya jeda to nehariya Sunehri uo jali uo jannat ji kyari Nazara noorani har dee to sambhariya Madinu Madinu Di saro Ta Variya Madine je sohne mai ratu guzariya Khuda hu kare di poja aau madine Noorani sehan mai dee ratu guzariya Mahinu aaye hajj jo desi hajiyen ke Aau kismat te muji bas ansu pyo hariya Madinu Madinu Di saro Ta Variya Madine je sohne mai ratu guzariya Vino ta madine vino lakh mubarakh Mujo haal choja ki dee to guzariyan Karyo puri aaqa tamanna amin ji Aaji sunnatein ke amal mai otariya Madinu Madinu Di saro Ta Variya Madine je sohne mai ratu guzariya

Fatima ki chokhat se by hafiz tahir qadri lyrics

Ya Zahra  Binte Rasool Ya Zahra Zahra Bint e Rasool Assalam Assalam    Ya Zahra  Binte Rasool Kar lijiye apni gulami mai kabool Jo bhi jitna bhi maine paya hai Saiyada Fatima ki chokhat se Ek mai kya zamana palta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam  Ya Zahra  Binte Rasool Kar lijiye apni gulami mai kabool Baag e jannat ka fool hai zahra Aur bint e rasool hai zahra Faiz kaun o makaa ko milta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam.......... Padke tasbeeh fatima aksar  Ham dukhon ka malava karte hai Hamne aksar sukun paya hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam.......... Dardo alam hai pareshani Aao zahra ke dar pe chalte hai Gam ke maaro karar milta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam.......... Ye garana sakhi garana hai Is garane ka noor hai zahra Dariya zudo sakha ka behta hai Saiyyada Fatima ki chokhat se Assalam Assalam.......... Us ke kad ki bulandi ya Katib Kaun jaane kaha talak hogi

Tum ko lakhon mubarak amena Lyrics

Tum ko lakhon mubarak amena Sadke tum par ho dilo jaa amena Tum ne bakhsha ham ko imaa amena Jo mil jisko mila tumse mila Deeno Imaa ilmo irfaa amena Tum ko lakhon mubarak...... Kul jaha ki maaein ho tum par fida Tum muhammad ki bani maa amena Tum ko lakhon mubarak...... Ibn e mariyam vakei rabb ke rasul Par muhammad ki badi shaan amena Tum ko lakhon mubarak...... Jis shikam mai mustafa ho ja guzir Arsh e azam se hai zi shaan amena Tum ko lakhon mubarak...... Tum se imaano amanat aur aman Tum se faizaa tum se irfaa amena Tum ko lakhon mubarak...... Teri turbat ka mujavar mai banu Fir nikalu dil ke armaa amrna Tum ko lakhon mubarak...... Hai ye salik apke dar ka fakir Mangata hai amno imaa amena Tum ko lakhon mubarak......

Jahan roza e paak e khairul vara hai Lyrics

Jahan roza e paak e khairul vara hai Vo jannat nahi hai to fir aur kya hai Kaha mai aur kaha ye madine ki galiya Ye kismat nahi hai to fir aur kya hai Muhammad ki azmat ko kya puchhte ho Ke vo sahib e kaba kausain thehre Bashar ki sare arsh mehmaa navazi Ye azmat nahi hai to fir aur kya hai Jo aasee ko kamali mai apni chhupale Jo dushman ko bhi zakhm kha kar dua de Use aur kya naam dega zamana Vo rehmat nahi hai to fir aur kya hai Kayamat ka ek din mu'ayyan hai lekin Hamare liye har nakas hai kayamat Madine se ham jaa nisaron ki doori  Kayamat nahi hai to fir aur kya hai Tum Iqbal ye naat keh to rahe ho  Magar ye bhi socha ke kya kar rahe ho Kaha tum kaha mad'he mamdood e yazdan Ye jurrat nahi hai to fir aur kya hai

Shajra Qadria Razviyya Attaria Lyrics

Ya Ilahi Raham farma mustafa ke vaste Ya Rasulallah karam kijiye khuda ke vaste Mushkilen hal kar shah e mushkil kusha ke vaste Kar balaen rad shahid e karbala ke vaste Sayyede sajjad ke sadke mai sajid rakh muje Ilm e haq de bakir e ilm e huda ke vasite Sidk e sadik ka tasadduk sadikul islam kar Be gazab razi ho kazim aur raza ke vasite Behr e maruf o sari maruf de be khud sari Jund e haq me gin junaid e ba safa ke vasite Behr e shibli sher e haq duniya ke kutton se bacha Ek ka rakh abd e vahid be riya ke vasite Bul farah ka sadka kar gam ko farah de husn o saad Bul hasan aur bu saeed e sadeza ke vasite Qadri kar Qadri rakh qadariyon me utha  Qadr e abdul qadir e kudrat numa ke vasite Ahsanullahu lahum rizkan se de rizk e hasan Banda e razzak tajul asfiya ke vasite Nasr abi saleh ka sadka saleh o mansoor rakh De hayat e dee muhayy e ja fiza ke vasite Toor e irfan o uluvvo hamdo husna va baha De ali musa hasan ahmad baha ke vasite Behr e

Saiyidi Anta Habibi By owais raza qadri

Saiyidi Anta Habibi  Saiyidi Anta Habibi Mudda'a jist ka maine paya Rehmat e haq ne kiya fir saya Mere aqa ne karam farmaya Fir madine ka bulava aaya Pehle kuchh ashk bahalu to chalu Ek nayi naat sunalu to chalu Saiyidi Anta Habibi  Saiyidi Anta Habibi Chand taare bhi muje dekhenge Mah paare bhi muje bhi dekhenge Khud nazare bhi muje dekhenge Gham ke maare bhi muje dekhenge Mai nazar sab se bachalu to chalu Ek nayi naat sunalu to chalu Saiyidi Anta Habibi  Saiyidi Anta Habibi Shukr me sar ko jukane ke liye Dag hasrat ke mitane ke liye Bakhte khabida jagane ke liye Unke darbar me jane ke liye Apni aukat banalu to chalu Ek nayi naat sunalu to chalu Saiyidi Anta Habibi  Saiyidi Anta Habibi Samne ho jo dare lutf o karam Yu karu arz ke ya shah e umam Aa gaya apka mohtaj e karam Is gunahgar ka rakhiye ga bharam Shok ko arz banalu to chalu Ek nayi naat sunalu to chalu Saiyidi Anta Habibi  Saiyidi Anta Habibi Unki mid'hat me h

Tamnna Muddaton se hai Jamal e mustafa dekhu Lyrics

Tamnna Muddaton se hai Jamal e mustafa dekhu Imamul ambiya dekhu Habeeb e kibriya dekhu Wo Jinke Dam Qadam se Subhon ne bhi roshani payi Munawwar kar diya Jisne Faza Wo Rehnuma dekhun Wo Jinki Barkaton se Abro-bara Baste Alam mein Tamanna Qalbe Muztar ki Wo Durre be-baha dekhun Kadam bahir Madina se Tasavvar mein Madina hai Ilahi Ya Ilahi Azmaton ki Intiha dekhun Ye Duniya be subato be wafa Wo gam ka gehvara Ye hai matloob e dare Be wafai mai vafa dekhu Wo Mabda Khalke Alam ka Durood Un par Salam Un par Mere Maula Ye Mauka de Ke Khatmul Ambiya dekhun Kabhi ho Husn ki Mehf Kabhi ho Shok ka Manzar Kabhi Ansu ki Janziron mein Aashik ki Sada dekhun Rasulul Kasimul Khairat e Fidduniya wa Fil Ukba Shafi kaz Nafse ma-darma Nabie Mujtaba dekhu Dare Jannat pe hazir hon Rasoole Paak ke hamrah Shafa'at ka Ye Manzar Ya Khudaya mein Raza dekhun Tamnna Muddaton se hai Jamal e mustafa dekhu Imamul ambiya dekhu Habeeb e kibriya dekhu

Huzur esa koi intezam ho jaaye Lyrics

Huzur esa koi intezam ho jaaye Salam ke liye hazir gulam ho jaaye Mai sirf dekh lu ek baar sub'he tayba ko Nazar se chum lu ek baar sabz gumbad ko Bala se fir meri duniya tamam ho jaaye Huzur aap jo sun le to baat ban jaaye Huzur aap jo keh de to kaam ho jaaye Tajalliyat se bhar lu mai apna kasa e jaan Kabhi jo un ki gali mai kayam ho jaaye Huzur aap jo chahe to kuchh nahi mushkil Simat ke fasla ye chand gaam ho jaaye Maza to jab hai farishte ye kabr mai keh de Sabih mid'hat e khairul anam ho jaaye Huzur esa koi intezam ho jaaye Salam ke liye hazir gulam ho jaaye

Assub hu bada min tal'atihi by wahid zafar Lyrics

Assub hu bada min tal'atihi Wallay lu daja minvvafara ti hi Hai noore sahar chehre se tere Aur shab ki ronak zul kun se Allahu Allahu Allahu Allahu Kanzul karami maulan nia'ami Hadil umami li shariyati hi Naimat ka khazina hai maula  Ganjina e rehmat hai aqa Hadi hai tamami ummat ke Aur rahnuma hai shariyat ke Allahu Allahu Allahu Allahu Saki shajaru natakl hajaru Shakkal kamaru bi isharati hi Ungali ke ishare ped chale Aejaz se patthar bol uthe Aur chand hua hai do tukde Angusht ke ek ishare se Allahu Allahu Allahu Allahu Jibrilu ata lay lata asara Va rabbuda'a khule hadarati hi Jibril e amee paigam e khuda Le kar aaye The shab e asra Allah ne arsh pe bulvaya Kurbat ka sharaf un ko bakhsha Allahu Allahu Allahu Allahu Fa muhammaduna hu va sayyedina Fal izzulana li hijabati hi Muhammad hai apne aqa Isi naam se apni izzo baka Allahu Allahu Allahu Allahu Assub hu bada min tal'atihi Wallay lu daja minvvafara t

Koi khilkat mai unse nahi hai bada Lyircs

Koi khilkat mai unse nahi hai bada Vo habib e khuda unki kya baat hai Ham gunah gar hai Ham siyakar hai Vo shafiul vara unki kya baat hai Aur kisko urujat na hasil hua Sara quraan hi unpe nazil hua Zinat e arsh hai azmat e farsh hai Vo makeen e hira unki kya baat hai Sab se afzal do alam mai zat unki hai  Vohi mehboob e rab ka ina't unki hai Rabb e akbar ne jo kuchh bhi ham ko diya Unke sadke mila unki kya baat hai Jo bhi unse mila usko rabb mil gaya Be adab zindagi ko adab mil gaya Rabb se vo ashna unse rabb ashna Vo daleel e khuda unki kya shan hai Unki khatir do alam banaye gaye Unke anvaar se fir sajaye gaye Unke rutbe kuchh itne badaye gaye Akl se ma bara unki kya baat hai Zindagi ka safar ho na jaye tamam Unpe Ejaz bhejo duroodo salam Vo karam hi karam Vo ata hi ata Vo dua hi dua unki kya baat  hai Koi khilkat mai unse nahi hai bada Vo habib e khuda unki kya baat hai Ham gunah gar hai Ham siyakar hai Vo shafiul vara unki kya baat h

Tere karam ki ilahi kuchh intiha hi nahi Lyrics

Tere karam ki ilahi kuchh intiha hi nahi Na ab apna tere siva koi asara hi nahi Na ho jo jazb ki taseer to sada hi nahi Dua jo dil se na nikle to fir dua hi nahi Juka jo dar pe tere pa gaya sukun e hayat Hata jo dar se suku fir use mila hi nahi Karoo mai jurrat e shikva majal kya meri Tere karam se to mehroom mai raha hi nahi Tere karam ki ilahi kuchh intiha hi nahi Na ab apna tere siva koi asara hi nahi Naat Khvan : Qari Wahid Zafar Qasmi

Kurban tuj par mere dilo jaa Ahmad Raza Khan Lyrics

Ahmad Raza Khan  Ahmad Raza Khan Kurban tuj par mere dilo jaa Ahmad Raza Khan  Ahmad Raza Khan Bakhshish ne baaga tuj ko khuda de Bakhshish ke baaga tera hai divaa Kurban tuj par mere dilo jaa Ahmad Raza Khan  Ahmad Raza Khan Vo ilm ki tune sham'a jalayi Sab ahle sunnat tuj par hai naaza Kurban tuj par....... Tere kalam ki vo sur'atein vah Ahl e kalam to ab tak hai hairan Kurban tuj par....... Noorani chehra sar par imama Sada libas aur dadi numaya Kurban tuj par....... Dushman nabi ke darte hai tujse Batil tere dam se larza v tarsa Kurban tuj par....... Ishk e nabi kya hai tune bataya Aur kar diya tune mazboot imaa Kurban tuj par....... Lillah faani pe nazar e karam kar Chhute sab iski adate isyaa Kurban tuj par.......

Unki jaam e jam ankhen Naat Lyrics

Unki jaam e jam ankhen Shisha e badan mera Unki band muthi mai Sara bakpan mera Aashik e nabi hu mai Varis e ali hu mai Maila ho na payega  Hashr tak kafan mera Arz e gang bhi meri hai Khitta e jaman mera Mai gulam e khvaja hu Hind hai vatan mera Arsh se pare ja kar  Mustfa ne batlaya Ye zamee bhi meri hai Aur hai gagan mera Gulshan e madina se Nazmi mujko nisbat hai Ek ek kali meri Gul mera chaman mera

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक