Malik Ne Banaye Saare Ye Donon Jahan ke Nazare || Chhote Majid Shola

Aaye Lakhon Payambar Jahan mein Magar

Itna Allah ko Koi Pyara nahi

Arshe Aazam pe Ik Mustafa ke Siwa

Fir Khuda ne Kisi ko Pukara nahi


Jo Muhammad ki Ulfat ka Kaeel nahi

Donon Aalam mein Uska Guzara nahi

Khud Khudawand-e-Alam ne Farma diya

Jo Nabi ka nahi Wo Hamara nahi


Ye Mahobbat Akeedat hai Ahesan hai

Ye Nawazish Maherbani Ye Shaan hai

Meri Ummat Jahannam ka Munh dekhle

Ye Rasoole Khuda ko Gawara nahi


Jafa karne wale Wafa kab karega

Batato sahi Faisala kab karega

Saher ho chuki Iltija kab karega

Tu Sajde mein jake Dua kab karega

Kaza karne wale Ada kab karega


Ibadat Khuda ki bata kab karega

Jo wada kiya hai Wafa kab karega

Dilo Jaan Unpar Fida kab karega

Are Maraz badh raha hai Dawa kab karega


Malik ne Banaye Saare 

Ye Donon Jahan ke Nazare

Nabi ke Waste Nabi ke Waste


Aur Ye bhi Nabi ke Waste hua Kya

Allah ne Dekho Utare Quraan ke Teeso Pare

Nabi ke Waste Nabi ke Waste


Imaan ke Phool khilaye Bharat mein Khwaja aaye

Nabi ke Waste Nabi ke Waste


Tu hai Kareem Tujko Deta hun Mein Sadayein

Sadke mein Mustafa ke Sun Meri Iltijayein

Aadam ne Jab Waseela Unko bana liya hai

Sab Naame Mustafa ke Sadke mein pa liya hai

Makbul hui hein Duaein Barsi Rehmat ki Ghataein

Nabi ke Waste Nabi ke Waste


Jibreel aaye aa kar di Aapko Salami

Ki Arz Ya Muhammad Aye Bekaon ke Hami


Musibat se Fursat nahi milne wali

Qayamt mein Rahat nahi milne wali

Agar Dil mein Ishke Muhammad nahi to

Namazon se Jannat nahi milne wali


Namaz padta hai Kayil nahi Wasile ka

Tu Apna kam Khilafe Usool karta hai

Aur Jise Khayale Nabi rehta hai Namazon mein

Khuda Usi ki Namazein Kubul karta hai


Agar Imaan ka Sadik Kareena chhut jayega

Sadakat ruth jayegi Madina chhut jayega

Wo Jinke Naam se Bezar hein kuchh log Duniya mein

Agar Ahesan ginwa dun Pasina chhut jayega


Jibreel aaye aa kar di Aapko Salami

Ki Arz Ya Muhammad Aye Bekaon ke Hami

Ke Aapka Jahan mein Saani hai Aur n Saaya

Hai Aapko Khuda ne Meraaj mein Bulaya

Khalik ne Noor Lutaya Aur Arshe Bari ko Sajaya

Nabi ke Waste Nabi ke Waste


Duniya ka Zarra Zarra Unke Liye bana hai

Wo hein Khuda ke Pyare Un par fida Khuda hai

Donon Jahan mein Afzal Unka hi Martaba hai

Allah ke Baad goya Ik Naame Mustafa hai

Aesa Unka Rutba hai Allah bhi be-parda hai

Nabi ke Waste Nabi ke Waste


Meri Zindagi Nabi se Meri Bandagi Nabi se

Ye Khuda bhi keh raha hai Meri Har Khushi Nabi se


Nabi ke Naam mein Wahdaniyat ki Khushbu hai

Nabi ke Naam mein Hakkaniyat ki Khushbu hai

Nabi ke Naame Mubarak mein Fazle Izzat hai

Nabi ka Naam Nabuwwat ki Aakhri Hadd hai

Nabi ka Naam hi Kanoon hai Ilahi ka

Nabi ka Naam hi Ik Josh hai Sipahi ka

Nabi ka Naam hi Aaeena-e-Sadaqat hai

Nabi ka Naam hi Insaf ki Zamant hai

Ye Naam Dil ke Haram mein Diye Jalata hai

Ye Naam Zehan ki Tarikiyan mitata hai

Ye Naam Noor hai Aejaz hai Kabeela hai

Ye Naam Haq ke Taroof ka Ik Waseela hai

Nabi ke Naam ka hai Noor Chand Taaron mein

Nabi ke Naam ki Khushbu hai Tees Paaron mein

Nabi ka Naam hi Har Qalbo Jaan ki Rahat hai

Nabi ka Naam hi Imaan ki Alamat hai

Nabi ka Naam hi Mehshar mein Kaam Aayega

Nabi ka Naam hi Ham sab ko Bakhshwayega

Nabi ka Naam Dua bhi hai Aur Ibadat bhi

Nabi ka Naam Mahobbat hai Aur Rehmat bhi

Nabi ka Naam Wazeefa hai Marde Momeen ka

Nabi ka Naam Madarsa hai Ek Kamseen ka

Nabi ke Naam ke Sadqe Jahan mein Bat'te hein

Nabi ke Naam se Badal Ghamon ke Chhat'te hein

Nabi ka Naam Mukaddas hai aur Mukarrab hai

Nabi ke Naam ki Meraaj Arshe Aazam hai

Nabi ke Naam ki Azmat Husain se Puchho

Ali o Fatima Zehra ke chain se puchho

Nabi ka Naam Musalman bhula nahin sakte

Nabi ke Naam ko Dushman mita nahi sakte


Meri Zindagi Nabi se Meri Bandagi Nabi se

Ye Khuda bhi keh raha hai Meri Har Khushi Nabi se

Pyare Nabi ke Sadke sab kuchh ata karunga

Sadke mein Mustafa ke Daman Tera bharunga

Tu Deen ka ban ja Ghazi Allah bhi hoga Raazi

Nabi ke Waste Nabi ke Waste


Jin par Falak nichhawar Kurban Chand Taare

Karbal mein Bhuke Pyase the Wo Ali ke Pyare


Khhuddar Zindagi ka Takaza hai Doston

Jeena Nabi se Sikho to Marna Husain se sikho

Paidaishi Khhuddar tha Khhuddar hi raha

Wo Khuld ka Sardar tha Sardar hi raha

Sar de diya Yazeed ko lekin diya na Hath

Jis Baat se Inkar tha Inkar hi raha

Yazeed Tu ye khuli baat bhi samaj na saka

Farishta kab kisi Shaytan ke sath mein aata

Wo Hath Jise Rasoole Khuda ne Chuma ho

Wo Hath kab kisi Napak Hath mein aata

Tamam Zulm Teri Zindagi pe toot pade

Sad Aafreen Teri Himmat pe Tu nahi toota

Husain kyun na ho Jaane Namaz Sajda Tera

Teri Saans to tooti Wuzu nahi toota

Rooh mein Karbala ki aahat hai

Mujko Mehsoos ho rahe hein Husain

Suno Suno Aaj ki raat jagna hai Muje

Kyunki Meri Aankhon mein so rahe hein Husain

Sailab dekhta hun to aata hai Ye khayal

Paani bhatak raha hai Talashe Husain mein

Ahesase Karbala Tuje ho jayega us Din

Tanha kisi Azeez ki Mayyat utha ke dekh

Chullu mein le ke fenk diya Aabe Naher ko

Abbas ne Farat ko Paani pila diya

Bacha ke Sholon se Aabid ko leke aayi hai

Kamar pe Baare Imamat utha ke layi hai

Ali ki Beti ko jhuk kar Salam kar Islam

Kyunki Teri Amanatein Ghar tak bacha kar layi hai


Jin par Falak nichhawar Kurban Chand Taare

Karbal mein Bhuke Pyase the Wo Ali ke Pyare

Hai koi Is tarha Jo Haq par fida hua hai

Sajde mein Jiska Sar bhi Tan se jhuda hua hai

Shabbir ne Sar ko kataya Bachpan ka wada nibhaya 

Nabi ke Waste Nabi ke Waste

Comments

Job

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer Gaus-e-Aazam Dastageer lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics by Hafiz Tahir Qadri in English HINDI URDU ~ Islamic Naat Lyrics

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Faslo ko khudara mita do Jaliyon par Nigahe Jami hai Lyrics in English Hindi Urud by Hafiz Tahir Qadri ~ Islamic Naat Lyrics

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI)

Tera Khawan Mein Tere Geet gawan Ya Rasool Allah Lyrics || तेरा खावां में तेरे गीत गावां या रसूलल्लाह || Owais Raza Qadri

Peshe Haq Muzda Shafaat ka Sunate Jaaeinge Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو