Aasman khwan , zameen khwan.....Sharah
Back To Full Naat
Aasman khwan , zameen khwan , zamana mehman
Sahibe khana laqab kiska hai ? tera tera
Mushkil Alfaz :
Khwan : Dastar Khwan , Jis par khana rakh kar khaya jaata hai .
Zamana : Waqt , Jahan , yahan murad kull kayenat hai .
Laqab : Wasfi naam .
Sahibe khana : ghar waala , mezbaan .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) Ye Aasman aur zameen aapke dastar-khwan hein , Jin par saare jahanon ko rozi mil rahi hai , aur mezban Aapki Zaate Ba Barkat hai , Goya kayenat ko jo kuchh mil raha hai Aaphi ke daste karam ki ata hai .
La-Wa-Rabbil Arsh Jisko jo mila unse mila
Bant'ti hai Kaunain mein ne'mat Rasulallah ki
Allah Ta'ala ne Irshad Farmaya : Tarjuma : Mera Rasool jo kuchh bhi Tumhe de , le liya karo .(Sura-e-Hashar , Ayat 7)
Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke dar se kisi ko jannat mil rahi hai kisi ko Imaan , kisi ko Hidayat . Hazrat Qatada (rd) ko Aankh aur Hazrat Rabiyah (rd) ko jannat bhi aur fir jannat mein Huzur (AS) ka kurb bhi . Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya mujhe saari zameen ke khazanon ki chabiyan de di gayeen . Neez Farmaya Agar mein chahun to pahad sona ban kar mere sath chalein (Bukhari) .
Andhe Najdi dekh le Qudrat Rasulallah ki
Huzur (AS) Allah Ta'ala ke naeeb-e-Azam aur khalifa-e-Akbar hein . Khasaise Kubra jild 2 safah 198 pe hai Ke Beshak Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) Allah Ta'ala ke sab se bade khalifa hein . Aur khalifa ke kaam hi ye hai ke Asal Shahenshah ki daulat wa ne'mat ko riaaya tak pahunchata hai . Jab Hazrat Anas (rd) ki walida majida ne apne bachon ki yateemi ka Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) ki bargah mein rona roya , To Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ne Farmaya : Duniya aur aakhirat mein(in) bhi mein(I) inko sambhalne wala hun .
Maalike Kaunain hein go paas kuchh rakhte nahin
Do jahan ki ne'matein hein inke khali hath mein
Mashallah mashallah subhanallah
ReplyDelete