Posts

Showing posts from June, 2021

Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki Naat Lyrics || Siddique Ismail

Noori Mehfil Pe Chaadar Tani Noor Ki Noor Faila Hua Aaj Ki Raat hai Chandani mein hein doobe hue DoJahan Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai Farsh Par Dhum hai Arsh Par Dhum hai Bad Nasibi hai Uski Jo Mehroom hai Fir Milegi Ye Shab Kisko Maloom hai Aam Lutfe Khuda Aaj ki Raat hai Chandani mein hein doobe hue DoJahan Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai Abre Rehmat hai Mehfil pe Chhaye hue Aasmaan se Malaeek aaye hue Khud Muhammad hein Tashreef laaye Hue Kaisi Ronak Fiza Aaj Ki Raat Hai Chandani mein hein doobe hue DoJahan Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai Khub hone do Ashko ki Barsaat ko Do Salaami Muhammad ki Baraat ko Chum lo Chum lo Aaj ki Raat ko Shab Qadar ke Guman Aaj ki Raat hai Chandani mein hein doobe hue DoJahan Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai Maangalo Maangalo Chashme-Tar Maangalo Darde Dil aur Husne Nazar Mangalo Kamli waale ki Nagri mein Ghar Maangalo Maangane ka Maza Aaj ki Raat hai Chandani mein hein doobe hue DoJahan Kaun Jalva-numa Aaj Ki Raat hai Mominon

Assub-hu-bada min Tal-atihee Lyrics || Waheed Zafar Qasmi

Assub-hu-bada min Tal-atihee Wallaylu daja minv vafratihee Hai Noore Sahar Chahre se Tere Aur Shab ki ronak zulflon se Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Kanzul Karami Maulan-Niamee Hadil Umami li Shariatihi Ne'mat ka Khazina hein Maula Ganjina-e-Rehmat hein Aaqa Hadee hein Tamami Ummat ke Aur Rahnuma hein Shariyat ke Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Sa'atee Shajaru Nataqal Hajaru Shakkal Qamaru bi Isharatihee Ungli ke Ishare Pedh chale Aejaz se Patthar bol uthe Aur chand hua hai Do tukde Angusht ke Ek Ishare se Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Jibrilu ata Laylata asara Wa-r-Rabbu Da'aa fil hadarati hi Jibreele Ameen Paygame Khuda Le kar aaye the Shabe Asra Allah ne Arsh pe bulwaya Qurbat ka sharaf unko bakhsha Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Allahu Allah Fa Muhammaduna Huwa Sayyeeduna Fal Izzulana li hijabatih

Meri Baat ban gayi hai Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Is karam ka karun Shukr kaise ada Jo karam Mujpe Mere Nabi kar diya Mein sajata hun Sarkar ki Mehfilein Mujko Har gham se Rab ne bari kar diya Meri Baat ban gayi hai Teri baat karte karte Tere Shaher mein Mein aaun Teri Naat padhte padhte Tere Ishq ki badolat Muje Zindagi mili hai Muje maut aaye Aaqa Tera zikr karte karte Mere sune sune ghar mein kabhi ronakein ata ho Suna hai Aap har aashiq ke ghar tashreef late hein Mere Ghar mein bhi ho jaye charagan Ya Rasulallah Meri Baat ban gayi hai Teri baat karte karte Tere Shaher mein Mein aaun Teri Naat padhte padhte Mere sune sune ghar mein kabhi ronakein ata ho Mein Diwana ho hi jaun Teri raah takte takte Meri Baat ban gayi hai Teri baat karte karte Tere Shaher mein Mein aaun Teri Naat padhte padhte Kisi cheez ki talab hai na hai aarzu bhi koi Tune itna bhar diya Kashkol bharte bharte Meri Baat ban gayi hai Teri baat karte karte Tere Shaher mein Mein aaun Teri Naat padhte padhte Meri aesi hazri ho ke kabhi na wapsi ho Mile sadqa Panjtan

Aarzu hai Mein bhi aaun Aapke Darbar mein Lyrics || Hafiz Abdulbasit Hassani Naqshbandi

Aarzu hai Mein bhi aaun Aapke Darbar mein Aake Haal-e-Dil sunaun Aapke Darbar mein Tarjumani kar na paye Dil ki Ye Meri Zuban Chup khada aansu bahaun Aapke Darbar mein Koi bhi Aaqa nahi hai Dard bante Jo Mere Zakhme Dil aa kar dikhaun Aapke Darbar mein Aapke Sadqe Mera Allah Karam farmayega Apne Allah ko manaun Aapke Darbar mein Kya hai Daman mein Mere Aaqa nidamat ke siwa Kuchh nahin Jo leke aaun Aapke Darbar mein Ab to bas Ik hi Tamanna hai Dil-e-Babar ki Ye Umr saari Mein bitaun Aapke Darbar mein

Ham Fakiron ko Madine ki gali Acchhi lagi || Hafiz Tahir Qadry

Image
Acchhi lagi Acchhi lagi Acchhi lagi Hame Acchhi lagi Acchhi lagi Aaqa Teri gali Acchhi lagi Maula Teri gali Ham Fakiron ko Madine ki gali Acchhi lagi Khusrawi Acchhi lagi na Sarwari Acchhi lagi Door the to Zindagi be-rang thi be-kaif thi Unke Kuche mein gaye to Zindagi Acchhi lagi Acchhi lagi Acchhi lagi Acchhi lagi Hame Acchhi lagi Acchhi lagi Aaqa Teri gali Acchhi lagi Maula Teri gali Ham na jayenge kahin bhi Dar Nabi ka chhod kar Hamko Koo-e-Mustafa ki chakri Acchhi lagi Khusrawi Acchhi lagi na Sarwari Acchhi lagi Ham Fakiron ko Madine ki gali Acchhi lagi Sohneya.... Sohneya.... Sohneya.... Sohneya.... Rakh diye Sarkar ke Kadmon mein Sultanon ne Sar Sarware Kauno Makan ki Sadgi Acchhi lagi Acchhi lagi Acchhi lagi Acchhi lagi Hame Acchhi lagi Acchhi lagi Aaqa Teri gali Acchhi lagi Maula Teri gali Aaj Mehfil mein Niaazi Naat jo Meine padhi Aashiqane Mustafa ko Wo badhi Acchhi lagi Khusrawi Acchhi lagi na Sarwari Acchhi lagi Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view

Akhtar Raza Mera || Tajushariya Mankabat || Hafiz Tahir Qadri

Image
Akhtar Rza Khan Tajus-Shariyya Akhtar Rza Khan Tajus-Shariyya Tera Paygam-e-Amal Maslake Aala Hazrat Daulate Ishqe Risalat hai Asasa Tera Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera Noori Poshak hai Razwi hai Amama Tera Mere Maslak ki Aawaz Aala Hazrat ka Jaanbaaz Akhtar Raza Akhtar Raza Akhtar Raza Mera Hubahu Mufti-e-Aazam ki jalak hai Tuj mein Istiqamat ki bulandi pe hai Taqwa Tera Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera Ahle Haq kehne lage Taaje Shariyat Tujko Johare Ilmo Amal Sabne jo dekha Tera Mere Maslak ki Aawaz Aala Hazrat ka Jaanbaaz Akhtar Raza Akhtar Raza Akhtar Raza Mera Apni Qismat pe sada naaz karenge Wo Log Dekha hai Jinki nigahon ne bhi chehra Tera Kyun na Qurban ho Dilo Jaan se Ham sab In par Shahe Asjad mein nazar aata hai Jalwa Tera Tere Hathon mein diya Hath to Fazle Rabb se Sath Jannat mein bhi Ham sab ko milega Tera Wah Kya Rang hai Azhari Dulha Tera Teri Tehreer se gayeel hein Nabi ke Dushman Tez hai khanjaro shamsheer se khama Tera Mere Maslak ki Aawaz Aala Hazrat ka Jaan

Malik Ne Banaye Saare Ye Donon Jahan ke Nazare || Chhote Majid Shola

Aaye Lakhon Payambar Jahan mein Magar Itna Allah ko Koi Pyara nahi Arshe Aazam pe Ik Mustafa ke Siwa Fir Khuda ne Kisi ko Pukara nahi Jo Muhammad ki Ulfat ka Kaeel nahi Donon Aalam mein Uska Guzara nahi Khud Khudawand-e-Alam ne Farma diya Jo Nabi ka nahi Wo Hamara nahi Ye Mahobbat Akeedat hai Ahesan hai Ye Nawazish Maherbani Ye Shaan hai Meri Ummat Jahannam ka Munh dekhle Ye Rasoole Khuda ko Gawara nahi Jafa karne wale Wafa kab karega Batato sahi Faisala kab karega Saher ho chuki Iltija kab karega Tu Sajde mein jake Dua kab karega Kaza karne wale Ada kab karega Ibadat Khuda ki bata kab karega Jo wada kiya hai Wafa kab karega Dilo Jaan Unpar Fida kab karega Are Maraz badh raha hai Dawa kab karega Malik ne Banaye Saare  Ye Donon Jahan ke Nazare Nabi ke Waste Nabi ke Waste Aur Ye bhi Nabi ke Waste hua Kya Allah ne Dekho Utare Quraan ke Teeso Pare Nabi ke Waste Nabi ke Waste Imaan ke Phool khilaye Bharat mein Khwaja aaye Nabi ke Waste Nabi ke Waste Tu hai Kareem Tujko Deta hun Mein Sadayei

Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Dil || Hafiz Tahir Qadri

Image
Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Dil  Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Dil  Unke Zikr se Izzat hai Unke Zikr se Azmat hai Dam Dam Unka Zikr karun Isme Jaan ki rahat hai  Jaan mein Khudhbu Gole Dil Aaqa Aaqa bole Dil  Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Dil  Unka Darbare Aali Jis se Mujhme Hariyali  Khwabon mein Unka Roza Yaadon mein Unki Jaali  Unki Yaad mein Role Dil Aaqa Aaqa bole Dil Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Dil  Gham ki barish pe Ham hein Har Ek Aankh jo Purnam hein  Unke Dar par Dastak do Unka Dar hi Marham hai  Gham ki Girhe Khole Dil Aaqa Aaqa bole Dil  Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Dil  Uska Mukaddar Acchha hai Jo Tayba mein Rehta hai Dil hai Kitna Diwana Jo bhi Tayba jata hai  Uske sath hi hole Dil Aaqa Aaqa bole Dil  Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Dil   Ishq Jazeera hai Mera Ishq hai Mera Sarmaya  Jo bhi UJAGAR milta hai Ishq pe Pehle hai Parkha  Is mizaan pe tole Dil Aaqa Aaqa bole Dil  Aaqa Aaqa bole Dil Bahere Ishq me dole Di

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक