Teri Sarkar mein laata hai Raza ..... Sharah
Back To Full Naat
Teri Sarkar mein laata hai Raza usko shafee'i
Jo Mera Gaus hai aur ladla beta Tera
Mushkil Alfaz :
Sarkar : Darbar , Bargah (Farsi)
Laata hai : Paish karta hai ,
Raza : AlaHazrat (AR) ka takhallus bhi hai , aur aap ke naam ka ek juzh bhi , pura naam Ahmad Raza hai .
Shafeei : Shifarish karne wala (Arabi),
Gaus : Fariyad-ras ,
Ladla : Pyara balke bahot hi pyara .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Aapke dar ka gada jis ka naam Ahmad Raza hai , Aapki bargah mein ek sifarishi lekar hazir hua hai , aur esa sifarishi ke jis ki sifarish ko Aap bhala radd kyun farmaeinge , Kyunke wo sifarishi Mera Aaqa wa fariyad-ras hai , aur Aapka bada hi pyara aur mehboob beta hai .(Yani Shahensha-e-Bagdad Huzur Gause Paak (rd)) .
Khalke Khuda ka hath auliya ke hath mein
Auliya ka hath hai Gausul-wara ke hath mein
Gausul-wara ka hath hai Shere Khuda ke hath mein
Shere-Khuda ka hath hai Mustafa ke hath mein
Comments
Post a Comment