Tere Sadke Mujhe ..... Sharah
Back To Full Naat
Tere Sadke Mujhe Ek bund bahot hai Teri
Jis din acchhon ko mile jaam chhalakta Tera
Mushkil Alfaz :
Ek ; One .
Bund : katra ,
Acchhon ; Acche log ,
Jaam : Pyala ,
Chhalakta ; labrez bhara hua .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Mein Aap pe qurban ho jaaun , ya jis din Aapke tufail nek logon ko Aap apne hathon se jaame Kausar bhar bhar kar pila rahe honge , Mera kaam to Aapke hathon se Kausare Salsabeel ki ek bund hi bana degi .
Jis ki do bund hein Kausaro Salsabeel
Hai wo Rehmat ka Dariya Hamara Nabi
Ek martaba Sahaba-e-Kiram (AR) ne Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ki bargah mein arz kiya
" Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Ham Aap ko Qayamat ke din kahan talash karein ", To Farmaya , "Mein in teen (3) makamat mein se kisi makam pe Tumhe mil jaaunga .
1) Pul-sirat pe (Apni ummat ko wahan se paar karake jannat mein le jaane ke liye .
Raza pul se ab wajd karke guzariye
Ke hai Rabbe Sallim Sada-e-Muhammad
2) Meezan pe (Jahan ummat ke aamal tul rahe honge aur mein nigrani kar raha hunga , kyunke jiska soda tola jaaye , aur agar kami beshi agar hogi to uska intezam farma raha hunga )
3) Hauze Kausar pe (Apni ummat ko jaam bhar bhar ke pila raha hunga)
Aala Hazrat (rh) farmate hein , Mujhe ek bund aap ata farmaeinge , to Aap ki tawajjoh meri taraf hogi , to bas tawajjoh se hi kaam ho jaayega , Kyunke Aapki tawajjoh jis taraf hogi , khuda ki tawajjoh bhi udhar hi hogi is liye kisi ne kaha ,
Teri nazar se meri salamat hai zindagi
Teri nazar na ho to qayamat hai zindagi
Comments
Post a Comment