Maut sunta hun talkh hai ..... Sharah
Back To Full Naat
Maut sunta hun talkh hai zahraba-e-naab
Kaun laade Mujhe Talwon ka gisala Tera
Mushkil Alfaz :
Talkh : Kadwi (farsi) murad hai bahot badi aafat wa musibat .
Zahraba : Markab (Composition) hai zahar aur Aab se , ba'mana Zaher wala pani , Aakhir pe 'ha" makhtafi hai jo apne ma-qabl (Pre) pe harkat ko zahir karne ke liye lagai jati hai , jaise quran paak mein 'ha' sakta hai .
Naab : Khalis , asli . Zahraba-e-naab ka ma'ana hua khalis zaher aalud paani .
Talwon : Paaon .
Gisala ; Dhon , Ya'ni wo paani jis se Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke kadomon ko dhoya , is paani ko ek jagah Aala Hazrat(rh) ne aabe hayat likha hai .
Jis ke kadmon ka dhowan hai aabe hayat
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Meine suna hai ke maut bahot badi aafat khalis zaher mile pani ki tarha hai , lekin iski kadwahat ko agar koi she'a mithas mein badal sakti hai , to wo Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke kadmon se utarne wala paani hai , Kaash ! Mujhe koi Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke kadmon ka dhowan laade qabr mein maut ke wakt piye jaane wale zehrile aur kadwe paani ka zehrila-pan aur kadwahat dur ho jaaye .
Is liye Sahaba-e-Kiram (AR) Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke wuzu ke musta'mal pani ko zameen pae nahin girne dete the . (Bukhari) , Aur Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke tabarrukat ko sambhal kar rakhte , aur ba'd-az wafat qabr mein apne sath dafan karne ki wasiyyat farmate , kyunke inse maut ki talkhi khatam ho jaati hai , aur maut jannat ka phool ban jaati hai . Yahi wajeh hai ke jab Hazrate Bilal (RD) ki maut ka wakt aaya , to ghar wale ro rahe hein , aur aap muskura rahe hein , ke aaj mein Huzur ki bargah mein jaane wala hun .
Comments
Post a Comment