Ek mein kya mere Isyaa(n) ..... Sharah
Back To Full Naat
Ek mein kya mere Isyaa(n) ki hakikat kitni
Mujhse so lakh ko kafi hai ishara Tera
Mushkil Alfaz :
Isyaa(n) : Gunah , Na-farmaniya(n) .
Hakikat : Asliyat .
Kitni : Kis kadar , kya haisiyat .
So Lakh : Ek karod (10 million), Murad hai be hisab , la-tadad be-shumar .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallhu Alayhi WaSallam) ! Mere gunah jitne bhi sahi (Aap ki shafa'at ke samne) inki haisiyat hi kya hai , Aur na sirf mein balke mere jaise karodon gunahgaron ke liye to Aap ki Shafa'at ka ek ishara bhi kafi hai .
La'Tadad Ahadise Mubaraka jo ham jaise papiyon ki shfa'at ka muzda-jaanfaza suna rahi hein , wo hamare liye sarmaya-e-hayat maya-e-najat hai .
Kisi ko naaz hoga bas ita'at ka ibadat ka
Hamein To bas sahara hai Muhammad ki shafa'at ka
Comments
Post a Comment