Door kya jaaniye ..... Sharah
Back To Full Naat
Door kya jaaniye badkar pe kaisi guzre
Tere hi dar pe mare be-kas wa tanha Tera
Mushkil Alfaz :
Kya jaaniye : Kya maalum .
Kaisi guzre : Kaisi musibat aa jaaye .
Dar : Darwaza ,
Bekaso Tanha : Be-yaaro madadgar .
Mafhoom wa Tashreeh :
Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Kya ma'loom Aapke dar-e-akdas se door jaaun to kin musibaton mein fans jaaun, lihaza , Aapka gunahgar aur be-yaaro madadgar ummat aap ke hi dar par pada pada kyun na mare taake qabr wa hashr ki halakaton se bach kar hamesha ka sukun paale .
Is sher mein Madina shareef mein maut ki aarzu ki gayi hai , jis ki tagib Allah ke Mehboob (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ne khud di ,
Madine mein marne wale ki mein shafa'at karunga .
Jis se ho sake ke wo Madine mein mare to wo madine mein hi mare kyunke Madine mein aakar marna Tumhara kaam hai aur Tumhari shafa'at karke Tumhe bakhshwana Mera kaam hai .
Ek jagah farmaya "Jo Madine mein marega mein uske imaan ki gawahi dunga . (Akeede ka durust hona har fazialat ke liye sharte awwalin hai) .
Madine ke khitte khuda Tujko rakhe
Garibon Fakiron ke thehrane wale
Comments
Post a Comment