Ham khak hein 1 2 3


1) Ham Khak hein Aur Khak hi Ma'wa hai Hamra
Khaki To Wo Aadam Jadde Aala hai Hamara

2)    Allah hamein Khak kare Apni Talab mein       
Ye Khak to Sarkar se tamga hai Hamara

3) Jis Khak pe rakhte the kadam Sayyide Aalam    
Us Khak pe Qurban dil Shayda hai Hamara


Mushkil Alfaz

Khak : Mitti ,
Ma'wa : Thikana , Asal Johar ,
Aadam : Abu'al Bashar Aadam (AS) , Sabse pahela Aadmi ,
Jadde Aala : Sabse Upar wala Dada ,
Talab : Chahat ,
Sarkar : Aaqa , wali ,
Tamga : Sanad , medal , Izzat ka nishan ,
Sayyide Aalam : Tamam Jahanon ke Sardar , Hazrat Muhammad (S.A.W) ,
Qurban : Sadqe , Nisar , Nichhawar ,
Dil Shayda ; Dil Diwana .

Mafhoom wa Tashreeh 

1) Tamam Insan Aulade Aadam (AS) hein , Aur Aadam (AS) ko mitti se banaya , jo ke sab ke bap aur dada , aur sabki asal hein .

2) Allah Ta'ala se dua hai ke wo hame Apni chahat aur talab mein mitti kar de , ke ham kabhi zaban se gila shikwa na karein , Aur har hal mein uska Shukr ada karte rahe , " Al-hamdulillahi Ala Kulli Hal  " ke misdaq ban jayein , Yahi hamara sharf aur hamare liye izzat wa azmat ki sanad hai . Insan Mitti ka putla bhi Apne sar par karamat ka Taaj rakhta hai . Aur khak ho kar bhi us ko izzat se nawaza jata hai , to farishton se aage nikal jata hai , Lekin yahan tak pahunchne ke liye usko bade mushkil marahil se guzarna padta hai , badi dushwar gatiyan tay karni padti hein 

3) Jis mitti pe Imamul Ambiya (AS) ke kadam lagte hein , Un galiyon ki to Khuda bhi Qasmein Yad Farmata hai , Aur Ahle Islam ko is par ittefak hai ke , Jis jagah Huzur aaram farma hein , wo jagah Arshe Mualla se bhi afzal wa aa'la hai .

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu