Ramzaan ki Fazilat par Ahaadise Mustafaa(S.A.W.)
Hadees No. 1:
Nabi-e-Kareem ﷺ ne Farmaya : "Jo koi Ramzaan mein (raton ko) Imaan rakh kar aur Sawaab ke liye Ibadat kare , Us ke Agle Gunaah bakhsh diye jaate hein".
(Sahih Bukhari , Hadees No 37).
Hadees No. 2:
Nabi-e-Kareem ﷺ ne Farmaya : "Jisne Ramzaan ke Roze Imaan aur khalis niyyat ke sath rakkhe , Uske pichhle gunaah baksh diye gaye" .
(Sahih Bukhari , Hadees No 38)
Hadees No. 3:
Nabi-e-Kareem ﷺ apne hujre se nikle, aur logon ko Shabe Qadr batana chahte the , Itne mein Do Musalmaan Aapas mein lad pade , Aap ﷺ ne farmaya , "Mein to Is liye baahar nikla tha ke Tumko Shabe Qadr batlaaun aur fulaan fulaan aadmi lad pade , to wo mere dil se utha li gayi, aur shayad isi mein kuchh Tumhari behtari ho . Shabe Qadr ko Ramzaan ki Sattawiswin(27th) , Unattiswin (29th) , aur Pacchiswin(25th) raat mein dhundho ."
(Sahih Bukhari , Hadees No 49)
Hadees No. 4:
Umar Bin Inshaaq ke Walid Ishaaq bin Abdullah ne Hazrat Abu Huraira (rd) se Riwayat ki ke Rasulallah ﷺ Farmaya karte the , "Jab (Insaan) Kabeera Gunahon ijtinaab kar raha ho to Paanch Namazein , Ek Jumma dusre Jumme tak aur Ek Ramzaan dusre Ramzaan tak , darmiyan ke arse mein hone wale gunahon ko mitaane ka sabab hein. "
(Sahih Muslim , Hadees No 552)
Hadees No. 5:
Humaid bin Abdur-Rehmaan ne Hazrat Abu Huraira (rd) se riwayat ki ke Rasulallah ﷺ ne Farmaya : "Jis Shakhs ne Imaan (ki halat mein) aur ajar talab karte hue Ramzaan ka Qiyaam kiya us ke guzishta gunaah muaaf kar diye gaye."
(Sahih Muslim , Hadees No 1779)
Hadees No. 6:
Yahyaa bin Abi Kaseer ne kaha : Hamein Abu Salmaa bin Abdur-Rehmaan ne Hadees bayan ki , ke Hazrat Abu Hurairaa(Rd) ne Unhein Hadees sunaaee ke Rasulallah ﷺ ne Farmaaya : "Jis ne Ramzaan ke Roze Imaan (ki haalat mein) aur Sawaab ke liye rakkhe, us ke guzishtaa sab Gunaah muaaf kar diye jaayeinge. Aur Jis ne Laylatul Qadr ka Qiyaam Imaan ke sath aur Sawaab ke liye kiya to uske guzishtaa gunaah muaaf kar diye jaayeinge."
(Sahih Muslim , Hadees No 1781)
Hadees No. 7:
Ismaaeel bin Jaafar ne Abu Suhail (Naafe bin Malik bin Abi Aamir) se, Unhone Apne Waalid se , Unhone Hazrat Abu Huraira (Rd) se Riwayat ki ke Rasulallah ﷺ ne Farmaaya : "Jab Ramzaan aata hai to, Jannat ke Darwaaze khol diye jaate hein, aur Dozakh ke Darwaaze band kar diye jaate hein , aur Shayaateen bediyon mein jakad diye jaate hein ."
(Sahih Muslim , Hadees No 2495)
Hadees No. 8:
Hazrat Abu Huraira (Rd) se Riwayat hai , Rasulallah ﷺ ne Farmaya : "Jab Ramzaan (ka aagaz) hota hai , Rehmat ke Darwaaze khol diye jaate hein aur Dozakh ke Darwaaze band kar diye jaate hein aur Shayaatin ko Zanjeerein pehnaa di jaati hein."
(Sahih Muslim, Hadees No 2496)
Hadees No. 9:
Rasulallah ﷺ ne Farmaya : "Jab Maahe Ramzaan ki Pehli Raat aati hai , to Shaytaan aur Sakash Jinn jakad diye jaate hein , Jahannam ke Darwaaze band kar diye jaate hein , Un mein se koi bhi Darwaaza khola nahin jaata. Aur Jannat ke Darwaaze khol diye jaate hein , Un mein se koi bhi Darwaaza band nahin kiya jaata. Pukaarne wala Pukarta hai 'Khair ke Talabgaar! aage badh, aur Sharr ke Talabgaar! Ruk jaa , aur aag se Allah ke bahot se aazaad kiye huye bande hein (to ho sakta hai ke Tu bhi unhin mein se ho) ' . Aur aesa (Ramzaan ki) har Raat ko hota hai. "
(Jam-e-Tirmazi, Hadees No. 682)
Hadees No. 10:
Rasulallah ﷺ ne Farmaya: "Jisne Imaan ke sath aur Sawaab ki Niyyat se Ramzaan ke Roze rakkhe aur Iski Raaton mein Qiyaam kiya to uske sabeqaa Gunaah bakhsh diye jaayeinge. Aur Jisne Imaan ke saath aur Sawaab ki niyyat se Shabe Qadr mein Qiyaam kiya to Us ke bhi Saabeqaa Gunaah bakhsh diye jaayeinge."
(Jam-e-Tirmazi, Hadees No. 683)
Comments
Post a Comment