Posts

Showing posts from November, 2016

Ilahi Teri chokhat par bhikari ban ke aaya hun Lyrics

Ilahi Teri chokhat par bhikari ban ke aaya hun Sarapa faqr hun ijzzo nadamat sath laya hun Bhikari wo ke jiske paas jholi hai na pyala hai Bhikari wo jise Hirso Hawas ne maar dala hai Mata-e-Deeno Danish nafs ke hathon se lutwa kar Sukun-e-Qalb ki daulat hawas ki bhet chadwa kar Luta kar sari punji Ghaflato Isyaan ki daldal mein Sahara lene aaya hun Tere Qaabe ke aanchal mein Gunahon ki lipat se Kaynat-e-Qalb afsurda Irad-e-Muzmahel Himmat shikasta Hosale murda Kahan se laaun takat dil ki sachi tarjumani ki Kis janjhal mein guzri hein gadhiyan zindagani ki Khulasa ye ke bas jhal bhun ke apni roo siyahi se Sarapa faqr ban kar apni halat ki tabahi se Tere darbar mein laya hun apni ab zabuhali Teri chokhat ke layik har amal se hath hein khali Ye Tera Ghar hai Tere Maher ka darbar hai Maula Sarapa Noor hai Ek Mohbat-e-Anfar hai Maula Teri chokhat ke jo aadab hein mein unse khali hun Nahin jisko saliqa mangane ka wo sawali hun Zuban ghar ke nadamat dil ki nak...

Ya Nabi karam kijiye Duriyon ne maara hai Lyrics

Habeebi Ya Rasulallah Habeebi Ya Habiballah Garibon par Karam kijiye Duriyon ne maara hai Ya Nabi karam kijiye Duriyon ne maara hai Hamko to faqat Aaqa Aap ka sahara hai Habeebi Ya Rasulallah........ Jis jagah se milta hai saeelon ko bin mange Do jahan mein bas aesa Aap ka dawara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Unka Gumbad-e-Khazra Samne hai aankhon ke Aaj to bulandi par waqt ka Sitara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Har gadhi rulata hai bhulta nahin Mujhko Mustafa ke qadmon mein waqt jo guzara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Hongi Duniyadaron ko Apni Jaan hi pyari Shehre Tayba Ham ko to Jaan se bhi pyara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Socha hai Madine se Ham kabhi na lautenge Unke Shehr se doori kab hamein gawara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Muflisi nahin aati Unke Ghar ke aangan mein Panjatan ke tukdon par jiska bhi guzara hai Ya Nabi karam kijiye.......... Aa gaye khabar lene wo Sohail Farooqi Jab kisi bhi Aashiq ne Aapko pukara...

Ab bula lijiye na Madina Lyrics

Ab bula lijiye na Madina Aa raha hai ye hajj ka Mahina Dil Mera toot jaae kahin na Al-Madad Taajdare Madina Mujhko Aaqa Madine bulalo Hasratein Dil ki saari nikalo Ghaus-e-Aazam ka sadqa nibhalo Ab to kehdo Mujhe chal Madina Aansuon ki ladi ban gayi ho Aur aanhon se phat'ta ho sina Wirde lab ho Madina Madina Jab chale Soo-e-Tayba Safina Aansuon ki jhadi lag gayi hai Yaad Aaqa ki tadpa rahi hai Ispe deewanagi chha gayi hai Yaad aaya hai isko Madina Dil se ulfat jahan ki nikalo Is tabahi se Maula bacha lo Mujhko deewana Apna banalo Mera seena bana do Madina Jab Madine mein ho apni aamad Jab mein dekhun Tera Sabz gumbad Hichkiyan bandh kar ro-uun behad Kaash aa jaye aesa Karina Hai Tamanna-e-Attar Ya Rabb Unke jalwon mein yun Maut aaye Jhum kar jab gire Mera lasha Tham lein badh ke shahe Madina

Kash daste Tayba mai me bhatak ke mar jaata Lyrics

Kash daste Tayba mein me bhatak ke mar jaata Fir baki e gurkad mai dafn koi kar jaata Kaash ! janib e tayba Aah ! yu agar jaata Chak chak mai lekar sina o jigar jaata Kaash ! gumbad e khazra par nigah padte hi Khake gasht mai gir jata fir tadap ke mar jaata Ya nabi e rehmat ye mere dil ki hasrat hai Khak ban ke tayba ki kaash mai bikhar jaata Kaash ! Aesa Mil jaata Ishq naam sunte hi Aankh bhi umand aati dil bhi gham se bhar jaata Dil se ulfat-e-Duniya bil-yaqeen nikal jaati Khar unke sehra ka dil mein ghar utar jaata Jazba-e-Ghazali do walwal-e-Bilali do Kash Murshidi jaisa mil tapan jighar jaata Zaeer-e-Madina Tu chal raha hai hans hans kar Kaash le ke Muztar qalb aur chashme tar jaata Be dhadak Madine mein dakhila hua Tera Kaash ! Paaon ke badle sar ke bal agar jaata Unka aa gaya Attar Unka aa gaya Attar Shor tha ye har janib Hashr mein jidhar jaata

Muhabbat mein apni guma Ya Ilahi Lyrics

Muhabbat mein apni guma Ya Ilahi Na paaun mein Apna pata Ya Ilahi Rahun Masto Be-khud mein Teri wila mein Pila Jhaam aesa pila Ya Ilahi Mein Bekar baaton se bach kar hamesha Karun Teri Hamdo Sana Ya Ilahi Mere Ashq bahete rahein kaash har dam Tere Khauf se Ya Khuda Ya Ilahi Tere Khauf se Tere dar se hamesha Mein thar thar rahun kampta Ya Ilahi Mere Dil se Duniya ki ulfat mita de Mujhe Apna Aashiq bana Ya Ilahi Mere dil se duniya ki chahat mita kar Kar ulfat mein Apni fanah Ya Ilahi Tu Apni wilayat ki khairat de de Mere Gaus ka wasita Ya Ilahi Gunahon ne Meri kamar todh dali Mera Hashr mein hoga kya Ya Ilahi Gunahon ke amraz se neem jaan hun Paye Murshidi de shifa Ya Ilahi Banade Mujhe nek nekon ka sadqa Gunahon se hardam bacha Ya Ilahi Mera har amal bas Tere wasate ho Kar Ikhlas aesa ata Ya Ilahi Ibadat mein guzre Meri zindagani Karam ho karam Ya Khuda Ya Ilahi Musalman hai Attar Teri ata se Ho Imaan par khatima Ya Ilahi

Hubbe Duniya se Tu bacha Ya Rabb Lyrics

Hubbe Duniya se Tu bacha Ya Rabb Aashiq-e-Mustafa bana Ya Rabb Aah ! Tugyaniya gunahon ki Paar Nayya Meri laga Ya Rabb Nafso Shaytan ho gaye ghalib Inke chungal se Tu chhuda Ya Rabb Kis ke dar par mein jaaunga Maula Ghar Tu naraz ho gaya Ya Rabb Kar de Jannat mein Tu jawar unka Apne ATTAR ko ata Ya Rabb

Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Lyrics

Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Maslake Aala Hazrat ka naara Lag raha hai hamesha Lagega Bugzo Keena ka chashma laga kar Najdiyon ne likha jo chhupa kar Aam Hazrat se to bach gaya hai Aala Hazrat se kaise bachega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Bad'azaa jiski duniya mein shohrat Hai Raza ka Salame Mahobbat Marhaba Mustafa Jaane Rehmat Jhum kar uska aashiq padega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Mustafa ki inayat se pyare Gause Aazam ki barkat se pyare Ahle Sunnat ki bazar mein ab Aala Hazrat ka sikka chalega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Gauso Khwaja ki beshak ata hai Hind mein ek Ahmad Raza hai Ahle Sunnat ka jo muktada hai Wo Bareli Tum ko milega Jo Bhi dushman hai Mere Raza ka Jal raha tha Jala hai Jalega Ishq-e-Ahmad ka mafhoom kya hai Najdiyon Tumko malum kya hai Aala Hazrat ke paikar meind dekho Ishq-e-Ahmad ka jalwa mil...

English Translation Of Zarre jadh kar Teri Paizaron ke

Zarre jadh kar Teri Paizaron ke Taaje Sar bante hein Sayyaron ke Particles of dust fall off your sandals They become the crowns on the heads of the moving stars Ham se Choron pe Jo Farmaein Karam Khil'ate Zarre banein Pushtaron ke As he blesses thieves like us with his generosity The load on the back transforms in to golden robes (When the thief has stolen, he carries the stolen goods on his back. Here thieving is in the meaning of committing sin and not actual thieving) Mere Aaqa ka wo dar hai jis par Mathe ghis jaate hein Sardaron ke The doorstep of my master is that upon which Grazed are the foreheads of leaders Mere Isa Tere Sadqe jaaun Toor be Toor hein bimaron ke My Eisa, may I be sacrificed on you Wrongdoings are the doings of the ill (This means that even though our doings are all wrong and we are disobedient, our master Muhammad peace and blessings be upon him is still our Eisa (gives cure to our illnesses).) Mujrimon ! Chashme Tabassum r...

Zarre jadh kar Teri Paizaron ke Lyrics

Zarre jadh kar Teri Paizaron ke  Taaje Sar bante hein Sayyaron ke Ham se choron pe jo farmaein karam Khil'ate Zarr banein pushtaron ke Mere Aaqa ka wo dar hai jis par Mathe gis jaate hein Sardaron ke Mere Isa Tere Sadqe jaaun Toor be Toor hein bimaron ke Mujrimon ! Chashme Tabassum rakho Phool ban jaate hein angaron ke Tere abroo ke tasadduq pyare Band karre hein Giraftaron ke Jaano Dil Tere Qadam pe ware  Kya naseebe hein Tere Yaaron ke Sidq wa adal wa karam wa himmat mein  Char so Shohre hein in charon ke Behre Tasleem-e-Ali maidan mein Sar jhuke rehte hein talwaron ke Kaise Aaqaon ka banda hun Raza Bol-bale Meri Sarkaron ke

Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge

Image
Sarkar bulayenge Sarkar bulayenge Bigdi bhi banayenge Jalwe bhi dikhayenge Gabrao na Deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Ham Masjide Nabwi ke dekhenge Minaron ko Aur Gumbade Khazra ke pur-noor Nazaron ko Ham Jaake Madine fir wapas nahin aayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Mil jaayengi ta'beerein ek roz to khwabon ki Gir jaayengi deewarein Sab dekhna raahon ki Ham Roza-e-Akdas par Jab aansu bahayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Dil Ishq-e-Nabi mein to kuchh aur tadapne do Is deed ki aatish ko kuchh aur bhadakne do Ham Tishnadili jaa kar ZamZam se bujayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Lillah Muhammad se rudaad meri kehna Ye puchhke Aaqa se Ae Zaeero Tum aana Ishrat ko Madine mein kab Aap bulayenge Gabrao na deewanon Sarkar bulayenge Hamein Sarkar bulayenge Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadr...

Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho (Duroode Taaz)

Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Sheh Saware Buraqo Ameere Alam Dafa-e-Har bala Dafa-e-Har waba Dafa-e-kehto gham raazo ranjo alam Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Is'm likkha gaya is'm uncha hua Is'm Mohre quboole shafa'at bhi hai Is'm ki barkatein Is'm ki ronakein Is'm loho qalam ki amanat bhi hai Kya Arab kya Ajam sab ke Sardar hein Sab ke Sardar ka hai muqaddas badan Haramo Kaaba ko Mojo Munawwar karein Wo mahekti wo pakiza sirat ke rang Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Chasht gahon ka suraj wujud aapka Aap har shab ki zulmat ke Ma'htab hein Sadre bazme Bulandi o Raf'at ke hein Rahguzare hidayat ke Ma'htab hein Sari Makhluq ki hai wo jaahe amaan Sari Taarikyon ke wo Roshan charag Nek teerat hein wo nek atwaar hein Unke hathon mein hein bakhshishon ke ayaan Sahib-e-Taaz ho Shahe Me'raj ho Sar se pairon talak Wo karam hi karam Rabb hifazat kare bil-yaqeen Aapki Unke khidmat-guzaron mein Ji...

Zindagani mein Madine ka safar acchha laga Lyrics

Zindagani mein Madine ka safar acchha laga Jo Madine tak gaya wo hamsafar acchha laga Kya bataun kis kadar kya noore b'har acchha laga Mujko Sarkare do aalam ka Nagar acchha laga Tha Madine ke safar mein kamli wala sath sath Tha safar bhi khub lekin hamsafar acchha laga Kitne acchhe bakht hein Ayyub Ansari Tere Sare Tayba mein Nabi ko Tera Ghar acchha laga Hoke do neema gaya qadmon mein Tere Ya Nabi Teri ungli ka nishana chand par acchha laga Jab Niyazi mein mehfil mein padhi Naat-e-Nabi Kya bataun bazm ko mein kis kadar acchha laga

Bakhshish ko lazmi hai zamanat Rasool ki Lyrics

Bakhshish ko lazmi hai zamanat Rasool ki Hai do jahan mein hamko zarurat Rasool ki Pehle basao dil mein Mahobbat Rasool ki Fir dekho dil ki aankh se surat Rasool ki Samja na koi Shaan Risalat Rasool ki Allah janta hai haqeeqat Rasool ki Maana gunahgar hey ummat Rasool ki Mehshar mein dhundh legi shafa'at Rasool ki Gause Raza mile hamein khwaja piya mile Ham pe hai aashiqon ye inayat Rasool ki Karte hein aheteram-e-janaza ham is liye Wo karne jaa raha hai ziyarat Rasool ki Taufiq naate Ahmade Mursal mili Tujhe Afzal Khuda ka fazl Inayat Rasool ki

Ham Madine se Allah kyun aa gaye Lyrics

Ham Madine se Allah kyun aa gaye Qalbe Hairan ki Taskeen Wahin reh gayi Dil Wahin reh gaya Jaan Wahin reh gayiKham Usi Dar pe Apni Zabeen reh gayi Yaad aate hein Hamko Wo Shamo Sahar Wo Sukune Dilo-Jaan Wo Rooho-Nazar Ye Unhi ka Karam hai Unhi ki Ata Ek Kaifiyate Dilnaheen reh gayi Allah Allah Wahan ka Duroodo Salam Allah Allah Wahan ka Sujudo Qayam Allah Allah Sahan ka Wo Kaifo Dawam Wo Salate Sukun Aafareen reh gayi Jis Jagah Sajda-Rezi ki Lazzat mili Jis Jagah Har Qadam Unki Rehmat mili Jis Jagah Noor rehta hai Shamo Sahar Wo Falak reh gaya Wo Zameen reh gayi Padh ke Nasrum-Minallahi Fathun-Qareeb Jab huye Ham rawan Sooe Kooe Nabi Barkatein Rehmatein sath Chalne lageen Be-basi Zindagi ki Yahin reh gayi Zindagani Wahin kash hoti basar Kash Behzad aate na Ham Laut kar Aur puri hui Har Tamanna magar Ye Tamanna-e-Qalbe Hazeen reh gayi

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Juki hui ye jabeen hai, huzoor dekhein na Lyrics / झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Madine ke Aaqa Madine ke Sarwar Salam Lyrics / मदीने के आक़ा ! मदीने के सरवर ! सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Kitna Pyara hai Pyare Muhammad ka naam || कितना प्यारा है प्यारे मुहम्मद का नाम || کتنا پیارا ہے پیارے محمّد نہ نام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو