Posts

Showing posts from November, 2015

Likh raha hu naat e sarvar Lyrics

Likh raha hu naat e sarvar  Sabz gumbad dekh kar Kaif tari hai kalam par  Sabz gumbad dekh kar Hai mukaddar yavari par  Sabz gumbad dekh kar Fir na kyu jume sana gar Sabz gumbad dekh kar Masjid e nabavi pe pahunche  Marhaba salle ala Ho gaya jari zabaa par Sabz gumbad dekh kar Aap se bas aap hi ko  Mangata hai ya nabi Aapka adna gadagar Sabz gumbad dekh kar Aah ae Attar tuj se  Itna bhi na ho saka Jaan kar deta nichhvar  Sabz gumbad dekh kar Naat Khvan : Owais Raza Qadri Download Naat Click here

Saara pyar ae zamane da Oh dhe pyar ko waar deya Lyrics

Saara pyar ae zamane da Oh dhe pyar ko vaar deya Jind jaan mithal madani Manthar to waar deya Mein roshani ankhiya dhi roze to fida karke Guldast e daroda dhe darbar to war deya Saara pyar ae zamane da....... Jannat dhe haseen manzar chand taareyan dhe jalwe  Mai gumbad e khazra dhi singar to waar deya sara Saara pyar ae zamane da....... Taseer tarannum dhi taseer takallum dhi Mey Zahra dhe Baba dhi guftar to waar deya Saara pyar ae zamane da....... Lajpaala dhi lajpali Sakhiyan dhi sakhavat nu Sultan e madina dhe ghar baar to waar deya Saara pyar ae zamane da....... Asmana dhi rif'at nu Ambara dhi bulandi nu Mai masjid e nabavi dhe minar to waar deya Saara pyar ae zamane da....... Farooki muhabbat dhe nazrane mai pesh kara Sara husn haseena dha sarkar to waar dheya Saara pyar ae zamane da.......

Hai khatm e nabuvvat ke liye jaan bhi hajir Lyrics

Image
Ye faisala hai apna yahi baat hai akhir Hai khatm e nabuvvat ke liye jaan bhi hajir Islam ki buniyad hai ye khatm e risalat Hai naksh dilon par nabi ki mohr e nabuvvat Ye faisala hai apna yahi baat hai akhir Hai khatm e nabuvvat ke liye jaan bhi hajir Jab la nabiyya ba'di muhammad ne kaha hai Ab jo nabi ka dava kare jutha bada hai Ye faisala hai apna......... Mirzai kadiyani hai kafir bade kafir Na shak karo islam se ho jaoge bahir Ye faisala hai apna......... Siddik ki talvar ne kazzab ko maara Yu khatm e nabuvvat pe kada pahera lagaya Ye faisala hai apna......... Vallah adhura tha nabuvvat ka mahel bhi Sarkar ke aane se hi takmeel hui thi Ye faisala hai apna......... Ghar baar bhi aulad bhi sarkar pe kurbaan Islam pe kurbaan hai har ek musalman Ye faisala hai apna......... Sarkar ki tarif me quraan ke paare Vo akhari nabi hai ye quraan pukare Ye faisala hai apna......... Mai khatme nabuvvat ka muhafiz hu Ujagar Pichhe

Mere nabi lajavab hai Naat Lyrics

Lajavab lajavab Mere Nabi hai Lajavab Nabiyon Mai gulab hai Rashk e mahtab hai Rabb ka intekhab hai mere mere nabi Mere nabi lajavab hai  Mere nabi lajavab hai Tukde hue jo chand ke ji shan ho gaye Duniya ke sience dan bhi hairan ho gaye Mere nabi lajavab hai  Mere nabi lajavab hai Yakut mai hiron me Sitaron ki chamak mai Us chehre ke jaisa koi chehra na mile ga Duniya ke kisi kone mai tum dhundh lo ja kar Koi mere sarkar ke jesa na milega Mere nabi lajavab hai  Mere nabi lajavab hai Mehboob hai kya salle ala naam e muhammad Aankhon ki jiya dil ki jila naam e muhammad Ye naam koi kaam bigadne nahi deta Bigde bhi bana deta hai ye naam e muhammad Mere nabi lajavab hai  Mere nabi lajavab hai Pusht pe unki mohr e nabuvvat  Khatm hui hai unpe risalat Har ummat ko unka vasila  Mehashar mai kaam aayega Kya hai hakikat mere nabi ki Kon samaj payega Mere nabi lajavab hai  Mere nabi lajavab hai Har baab e nazar ko koi esa na milega Bande to mil hi jaye

Mojza mere nabi ka keh diya to ho gaya Naat Lyrics

Mojza mere nabi ka keh diya to ho gaya Aap ne katre ko dariya  keh diya to ho gaya Hath me talvar le kar aaye jab hazrat umar Aa mere daman me aaja  keh diya to ho gaya Aabdida the b-vakt e asar jab hazrat ali Dube suraj ko nikal ja  keh diya to ho gaya Masjide nabvi mai ghar se aap ke mimbar talak Aap ne jannat ka tukda  keh diya to ho gaya Mustafa se hai khuda ko pyar kitna dekhiye Khana e kaba ko kibla  keh diya to ho gaya Naam le kar mustafa ka hath me lekar kalam Maine Ajmal ek kasida keh diya to ho gaya

Mere sarkar ka chehra Naat Lyrics

Khuda ki nazron me rehta  Mere sarkar ka chehra Vo noor e hak ka hai jalva Mere Sarkar ka chehra Yahi hai rashk e mehro maa Yahi to hai shah e khubaan Haseenon se hasee chehra  Mere sarkar ka chehra Hue ummat mai vo ala  Sahaba ban gaye vo log Jinhone ankhon se dekha Mere sarkar ka chehra Hazaron parde the haaye Magar fir bhi chamak esi Ke jaise chand ka tukda  Mere Sarkar ka chehra Kadam to chand se thehre Bhala chehre ko kya likhu Har ek tashbeeh se bala  Mere Sarkar ka chehra Kasam hai husn e yusuf ki Jaha bhar mai nahi koi Misal esi javab esa Mere sarkar ka chehra Bilal e habshi hai kaabe Ki chhat par rukh kaha karte Azaa dene ka ab kibla Mere Sarkar ka chehra Nakeeron ne jo puchha kabr mai Ye kis ka jalva hai Ujagar jum kar bola  Mere sarkar chehra

Qafle Hajj ko chale By hafiz tahir qadry Lyrics

Qafle Hajj ko chale  Qafle Hajj ko chale  Mai na ja saka yaaron  Mere armaa dil me rahe Qafle Hajj ko chale  Qafle Hajj ko chale  Hajiyon ke ban rahe hai qafile fir ya nabi Fir nazar me fir gaye  Hajj ke manazir ya nabi Qafle Hajj ko chale  Qafle Hajj ko chale  Aah palle zar vakte safar sarvar nahi Tum bulalo Tum bulane par ho qadir ya nabi Qafle Hajj ko chale  Qafle Hajj ko chale  Gumbad e khazra ke jalve dekhne kab aaoonga Kab talak tadpaoge tum mujko akhir ya nabi Qafle Hajj ko chale  Qafle Hajj ko chale  Muj pe kya guzregi aqa is baras gar reh gaya Mera hale dil to hai sab tum pe zahir ya nabi Qafle Hajj ko chale  Qafle Hajj ko chale  Aah mera kya banega gar na hajj par na ja saka Ho karam Attar par behr e raza fir ya nabi Qafle Hajj ko chale  Qafle Hajj ko chale 

Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Lyrics

Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Ae Ameer e ahle sunnat teri shokat zindabad Tujse duniya bhar mai hai deen ki nisha'at Zindabad Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Tere dam se aayi vo deen o shariyat ki bahar Ala Hazrat zindabad aur sadrul shariyat zindabad Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Teri majlis gaye mai gaye jo ban gaye saleh saheer No javan par ho tera faizan e sohbat zindabad Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Kash sunni sath tere mil ke aage badte jaaye Past ho aada ki kuvvat  aur sunnat zindabad Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Kaam tera goya pathrili zamee par mehre shir Tu Rahe rakhshinda painda salamat zindabad Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Qadry afvaj hai ye jo hai masroof e amal Mai samajta hu tuje razvi karamat zindabad Mere Attar zindabad Mere Dildar zindabad Zahir o batil javanon ka badal kar rakh diya Di ziyaein tayba ne jo tujko tal'at zindabad Mere Attar zin

Itr e sunnat bantata hai ae mere Attar tu lyrics

Itr e sunnat bantata hai ae mere Attar tu Sari duniya ke kanaron se sada aane lagi Ban chuka hai ashikon ka kafila salar tu Ahl e sunnat ke liye hai sahib e shahkar tu Itr e sunnat bantata hai ae mere Attar tu Tu jaha ke ashikon ki dil ki dhadkan ban gaya Murshid aesa itr laga do  Batin zahir sab mehka do Aal ka sadka nek bana do shukhri hove mai tol Itr e sunnat bantata hai ae mere Attar tu Ahle shar vo gam kare Ahle sunan ko gam nahi Fitna e batil ki rah me Ban gaya divar tu Ahl e sunnat ke liye hai sahib e shahkar tu Itr e sunnat bantata hai ae mere Attar tu Roshni ye bhar ke alam ki fiza par chha gayi Mash'al e ahmad raza hai aur mash'al dar tu Ahl e sunnat ke liye hai sahib e shahkar tu Itr e sunnat bantata hai ae mere Attar tu Badr mai is ahad me dekha na tujsa dusra Noori imama noori dadi Faiz ena da jag te jari Turjandene jede paase Aejanda e shor  Badr mai is ahad me dekha na tujsa dusra Tu dhani hai qaul ka aur sahib

Yaha bapa ka sikka chalta hai Lyrics

Mai Hu attari muje attariyon me rakh khuda Murshidi attar peer e ba safa ke vaste Yaha bapa ka sikka chalta hai Attar se nisbat hai mujko is naam ka sadka milta hai Ik mai kya sara zamana hi bapa se mahobbat karta hai Yaha bapa ka sikka chalta hai Kis kadar shadab dekho gulshan e attar hai Hai karam allah ka aur rehmat e sarkar hai Yaha bapa ka sikka chalta hai Ban gaye lakhon muballig aap ke zere asar Gung thi jiski zabaan vo shola e guftar hai Yaha bapa ka sikka chalta hai Attar se nisbat hai mujko is naam ka sadka milta hai Ik mai kya sara zamana hi bapa se mahobbat karta hai Yaha bapa ka sikka chalta hai Aap ki takreer mai tehreer mai taseer hai Aap ki ulfat mai yaron sara hi sansar hai Yaha bapa ka sikka chalta hai Sabz sar pe hai imama zulfen kali kali hai Pairgan mai sadgi hai ba saba kirdar hai Yaha bapa ka sikka chalta hai Mushkilon ke jangalon me fir rahe ho kyu udas Al madad attar kehdo fir to beda paar hai Yaha bap

Koi to hai jo Nizam e hasti chala raha hai Lyrics

Koi to hai jo Nizam e hasti chala raha hai                     Vohi khuda hai ...... Dikhai dijo na de nazar bhi   Jo aa raha hai                      Vohi khuda hai ...... Nazar bhi rakhe sama pe bhi  Vo jaan leta hai niyyatein bhi Jo khana lela shaoor mai jagmaga raha hai                     Vohi khuda hai ...... Talash usko na kar buton me Vo hai badalti hui ruton me Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai                     Vohi khuda hai ......

Sara nizam e hasti Hamd Lyrics

Sara nizam e hasti bolo kis ka hai Khalik maalik allah hai bas allah hai Maa ke pet mai bin mange vo deta hai Fir bhi bande na shukri kyu karta hai Khalik maalik allah hai bas allah hai Machhli jaal mai aati hai jab gafil ho Ae bande ye zikr nijat ka zariya hai Khalik maalik allah hai bas allah hai Darvaze band kar ke gunah kyu karta hai Tanhai me dekhne vala allah hai Khalik maalik allah hai bas allah hai Tu hi ruton ko sub'ho sham badalta hai Tu hi murda zinda karne vala hai Khalik maalik allah hai bas allah hai Bij se pauda paude se fir ped bana Kheto mai hariyali tu hi lata hai Khalik maalik allah hai bas allah hai Is duniya mai sukh aur dukh to milte hai Sabr o Shukr Ujagar karte rehna hai Khalik maalik allah hai bas allah hai

Usman e gani Mankabat By hafiz Tahir Qadry Lyrics

Vo paikar e haya hai Aqa ke ba vafa hai Do noor vale hazrat Usman e gani hai Allah se kya pyar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai  Usman e gani ka Garmi pe ye bazar hai  Usman e gani ka Allah kharidar hai  Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai  Usman e gani ka Jo dil ko ziya de jo mukaddar ko jila de Vo jalva e didar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai  Usman e gani ka Vo paikar e haya hai Aqa ke ba vafa hai Do noor vale hazrat Usman e gani hai Allah se kya pyar hai.... Jis aayine me noor e ilahi nazar aaye Vo aayina rukhsar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai  Usman e gani ka Sarkar se paayenge muradon pe muraden Darbar ye durbar hai Usman e gani ka Mehboob e khuda yar hai  Usman e gani ka Vo paikar e haya hai Aqa ke ba vafa hai Do noor vale hazrat Usman e gani hai Allah se kya pyar hai.... Allah gani had nahi inaam o ata ki Vo faiz pe darbar hai Usman e gani ka Rook jaye mere kaam Hasan ho nahi sakta Fai

Hota agar zameen par saya Rasool ka Naat Lyrics

Hota agar zameen par saya Rasool ka Fir paao ummati kaha rakhta Rasool ka Padte hai yu to gair bhi kalma Rasool ka Jannat use milegi jo hoga Rasool ka Hota agar zameen par........ Karte hai aheteram janaza ka is liye Vo ja raha hai dekhle chehra Rasool ka Hota agar zameen par........ Duniya ko dekhna bhi gavara nahi kiya Jab tak ali ne dekha na chehra Rasool ka Hota agar zameen par........ Shere khuda na banta to banta bhi aur kya Bachpan hi se jo paala hua tha Rasool ka Hota agar zameen par........ Naara raza ka lagta hai duniya me is liye Ahmad raza ke lab pe tha naara Rasool ka Hota agar zameen par........ Naat Khvan : Imran Shaikh Attari

Azmat e shane umar Mankabat Lyrics

Azmat e shane umar  Azmat e shane umar Mujse puchho me bataoo  Azmat e shane umar Tha rasulallah ko darkar imaan e umar Azmat e shane umar  Azmat e shane umar Ahle imaa ke dilon me hai mahobbat mojzan Kufr ke sine me paivas taa hai paikan e umar Azmat e shane umar  Azmat e shane umar Shafa e roze jaza ne le liya aagosh me Hashr me is shaan se aaye gulaman e umar Azmat e shane umar  Azmat e shane umar Hazrate faruk e azam vakif e shan e ali Aur aliyul murtaza hai mataba dane umar Azmat e shane umar  Azmat e shane umar Mid'hate sarkar do alam ka sadka dekhiye Mehfil e imaam e Hamid hai sana khvan e umar Naat Khvan : Imran Shaikh Attari

Juda batil ko haq se kar diya Farook e azam ne Lyrics

Farook e azam hai  Farook e azam hai  Hubb e sahaba Jindabad Bugz e sahaba murdabad Juda batil ko haq se kar diya Farook e azam ne Alam islam ka uncha kiya Farook e azam ne Aap hai dua e rasool aap hai murade rasool Ilhi ke naam ki tasir thi ya khat ki haibat thi Ruke dariya ko jari kar diya Farook e azam ne Juda batil ko haq se.......... Umar ko dekh kar shaitan khud rasta badal leta Vo paya haq se logo dabdaba Farook e azam ne Juda batil ko haq se.......... Juda kese karoge hashr tak inko nabi se tum Liya pehlu e mehboobe khuda Faruk e Azam ne Juda batil ko haq se.......... Nabi ke baad gar koi nabi hote umar hote Nabi se paa liya ye martaba Farook e azam ne Juda batil ko haq se.......... Musaffa aayeena e kalb kyu na ho Ujagar ka Ise bhi apne daman me liya Farook e Azam ne Juda batil ko haq se.......... Naat Khvan : Hafiz Tahir Qadry

Haidar Haidar Mankabat By Hafiz Tahir Qadry Lyrics

Haidar  Haidar  Haidar  Haidar  Ali Ali Maulaa Ali Ali Mai jis dha maula usdha ali maula Bolan sare sajjan mil kar    Dariya jangal karan samandar  Paak Batul de sir dha sahi Naam jina dha mehshar tahi Japdhe rehnde mast kalandar Bolan sare sajjan mil kar Haidar nu koi aam na samjo Haidar nu gumnaam na samjo Aajvi kamp dha sun ke khaibar Haidar  Haidar....... Hasan hussain dha baba jaani Haidar jag vich hai la sani Valiya dha sardar te safdar Bolan sare sajjan milkar Ban ja gizr gulam ali dha Vird bana le naam ali dha Jis ja naam pagay ae kambar Haidar  Haidar....... Naat Khvan : Hafiz Tahir Qadry

Chand tare hi kya dekhte reh gaye Naat Lyrics

Salle ala nabiyena Salle ala Muhammadin Chand tare hi kya dekhte reh gaye Unko arzo sama dekhte reh gaye Padke roohul amee sura e vadduha Surate mustafa dekhte reh gaye Vo imamat ki shab vo safe ambiya Muktadi muktada dekhte reh gaye Vo gaye arsh tak aur ruhul amee Sidratul muntaha dekhte reh gaye Kya khabar kisko kab jaam e kausar mila Ham to unki ada dekhte reh gaye Neko bad par hua unka yaksa karam Log achha bura dekhte reh gaye Hoke ghum ae naseed unke jalvo me ham Shane rabbul ula dekhte reh gaye

Ya Nabi Salam Alayk Arabic Lyrics

Ya Nabi Salam Alayk Ya Rasool Salam Alayk Ya Habeeb Salam Alayk SalavaTullah Alayk Anta noorol lahy fajran Jeita baadal osry yosran Rabbona aalaka kadran Ya imam al anbiya’ee Ya Habeebi Ya Muhammad.......... Anta fel wejdany hayyon Anta lel aynayny dayyon Anta endal hawdy reyyon Anta haden wa safeyyon Ya Habeebi Ya Muhammad.......... Yartawee bel hobby kalby Hobby khayry rosly rabby Man behee absarto darby Ya shafee’ee ya rassool allah Ayyohal mokhtaro feena Zadanal hobbo haneena Jeitana bel khayry deena Ya khetamal morsaleena Ya Habeebi Ya Muhammad..........

Allahu allah by Aqsa Abdul Haq Dua Lyrics

Allahu allah  Allahu allah  Allahu allah  Allahu allah Tu hi razik tu malik  Tu hi sab ki aas hai Tu hi avval tu akhar Tu hi dil ke paas hai  Sub'han Alllah VAlhamdulillah Lailaha illalaah Allahu akbar Zamin o asmaan jinno insaan bhi Teri tarife karte bayaa sabhi Be khud hue dono jahan bhi Mu se nikle jab ye kalimaat Sub'han Alllah VAlhamdulillah Lailaha illalaah Allahu akbar Tu hi zahir tu baatin Unchi teri shaan hai Ye dil mera zikr tera  Aada tera farmaan hai Sub'han Alllah Valhamdulillah Lailaha illalaah Allahu akbar Mere maula ata karde  Aqsa ko tu esa makaam  Gulaamon me aqa ke Numaya ho is ka bhi naam Sub'han Alllah Valhamdulillah Lailaha illalaah Allahu akbar Naat Khvan : Aqsa Abdul Haq

Bhar do joli meri ya Muhammad kavvali lyrics

Shah e madina suno Iltija khuda ke liye Karam ho muj pe habeeb e khuda khuda ke liye Huzur guncha e ummid ab to khil jaae Tumhare dar ka gada hu bhikh mil jaae Bhar do joli meri ya Muhammad Laut kar mai na jaunga khali Tumhare astane se zaman kya nahi paata Koi bhi dar se khali mangane vala nahi jaata Tum zamane ke mukhtar ho ya nabi Be kason ke madadgar ho ya nabi Sabki sunte ho apne ho ya gair ho Tum garibon ke gamkhvar ho ya nabi Bhar do joli meri.. Ham hai ranj o musibat ke maare hue Sakht mushkil mai hai gham se hare hue Ya nabi kuchh khudara hame bhikh do Dar pe aaye hai joli pasare hue Bhar do joli meri.. Hai mukhalif jamana kidhar jaae ham Halat e be kasi kisko dikhlae ham Ham tumhare bhikhari hai ya mustafa Kiske aage bhala hath failae ham Bhar do joli meri ya Muhammad Laut kar mai na jaunga khali Kuchh navason ka sadka ata ho Dar par aya hu ban kar suvali Haq se payi vo shane kareemi Marhaba dono alam ke vaali Uski kismat ka chamka sita

Mera koi nahi hai tere siva Naat Lyrics

Koi Nahi mera koi nahi Koi Nahi mera koi nahi Jo kuchh bhi mangana hai Dar e mustafa se mang Allah ke habeeb Shah e ambiya se mang Ab tak kaha andheron me bahatka hua tha tu Ghar roshni ki chah hai noor e khuda se mang Mera koi nahi hai tere siva Mai ban ke savali aya hu Mai joli khali laya hu Mera koi nahi hai tere siva Muje nazr e karam ki bhikh mile Karam ki bhikh ata ho gunahgaron ko Sahara dijiye sarkar be saharon ko Agar huzur ki rehmat ka asara ho jae Zamane me muje jine ka hosla ho jae Ghar tum na suno ge to meri kaun sune ga Ghar tum na karoge to karam kaun karega Khud bhikhdeke kehte hai mangaton ki khair ho Esa sakhi darbar to dekha nahi koi Muje nazr e karam ki bhikh mile  Mai joli khali laya hu Mera koi nahi hai tere siva Meri gunah me guzri hai zindagi sari Mai tujko bhul gaya tha ae rehmat e baari Gunahgar sahi fir bhi khush nasib hu mai Sharik ummat e ali ae habib hu mai Mai khak ban ke faza me bikhar gaya hota Vaseela milta na tera

Kayamat aane vali hai Kavvali Lyrics

Musalmano Sambhal jaao   Ye duniya jaane vaali hai Gunahon se karo tauba   Kayamat aane vali hai Roshan karo dilo ko   Mahobbat ke noor se Tum ko sukun milega  Kana'at ke noor se Peshani jagmagaegi  Izzat ke noor se Mit jaega andhera   Sharafat ke noor se Ye gumrahi ye be deeni  Musibat dhane vali hai Gunahon se karo tauba  Kayamat aane vali hai Shaitan ke kareeb ho  Yazdaan se door ho Ho mubtila gunahon me  Imaa se door ho Insaniyat se door ho   Insaa se door ho Had hai ke tum  Hadees se quraa se door ho Yahi doori Tumhe dozakh  Talak le jaane vali hai Gunahon se karo tauba  Kayamat aane vali hai TV dekhne hi se fursat nahi tumhe Goya namaz o roza ki hajat nahi tumhe Ab nekiyon ki koi zaroorat nahi tumhe Allah aur rasool ki chahat nahi tumhe Gata tum par falak se aag ab barsane vali hai Gunahon se karo tauba  Kayamat aane vali hai Duniya ki ye khvahish tumhe barbad karegi Be dag hi karti hai ye be daag karegi Kanoone khuda se tumhe azad karegi F

Sarkar ki nagri me anvaar utarte hai Naat Lyrics

Sarkar ki nagri me anvaar utarte hai Is shehr ke Zarro se khurshid ubarte hai Is dar ki ataon ne daman mera bhar dala Hota hai karam unka din mere guzarte hai Sarkar ki nagri me......... Ye aap ka kuncha hai is kunche ki galiyon me Joke bhi havaon ke khamosh guzarte hai Sarkar ki nagri me......... Ye zakhm hai tayba ke mat chhed tabib inko Ye zakhm nahi ese marham se jo bharte hai Sarkar ki nagri me......... Tayba ki judai me ab haal hai yu apna Tehni se juda ho kar jese patte bikharte hai Sarkar ki nagri me......... Karta nahi shahon ki dar e yuza ghari Altaf Bas mere kareem aqa Joli meri bharte hai Sarkar ki nagri me......... Naat Khvan : Hafiz Ahmad Raza Qadry

Aaya hai ye Tera Ye Deevana Mankabat Lyrics

Aaya hai ye Tera Ye Deevana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Kehta hai ye har dam mastana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Tu peer mera la sani hai Aur gaus mera jilani hai  Mai Tera murid hu divana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Hai hukm tera hukm e rabbi  Ek dam me jo chahe karde vahi Ye daur tera hai shahana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Mai bad hi sahi mai chor sahi Mai mujrim khati kuchh hi sahi Par tera hu jane jaana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Chahu jo agar tujko chahu Dekhu jo agar tujko dekhu Kar de muje sab se be gaana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Chhute na kabhi tu aur ahmed Mushkil jo pade ho teri madad Gar vakt e naza ho aa jana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Lete rahe ham sab naam tera Karte rahe mil kar kaam tera Bagdaad se ho aab o daana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Sab tere mazar e anvar par Hote hai nichhavar aa aa kar Tu sham'a hai alam parvana Shayyal lillah  Shayyal lillah  Khushtar ko bulaya roze par

Madine mai saba jana to itna kaam kar dena Naat Lyrics

Nasima Janib e Bat'ha Guzar Kun Zahe Valam Muhammad Rah Gar khabar kun Madine mai saba jana to itna kaam kar dena Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena Ye keh dena hazaron aeb rakhta hu hunar dena Na dil dena na dar dena na zar dena na ghar dena Tumhe dekha karu atho pahar esi nazar dena Madine mai saba jana to itna kaam kar dena Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena Kiye hai jurm itne is liye bachta raha hu mai Gunahon ke bhavar me dubata hi ja raha hu mai Chala aya jo tayba mai to beda paar kar dena Madine mai saba jana to itna kaam kar dena Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena Shab e asra ke ae dulha tumhari dhum hai ghar ghar Gulamo ko navaza hai hamesha tumne bhar bhar kar Savali hu tere dar ka meri joli tu bhar dena Madine mai saba jana to itna kaam kar dena Rasulallah ko meri garibi ki khabar dena Naat Khvan : Hafiz Tahir Qadry

Madine mujko bulalen bahot udas hu mai Naat Lyrics

Madine Mujko Bulaen Bahot Udas Hu Mai Naat Lyrics Hame Bulalen aqa   Hame Bulalen aqa  Aqa badi ummid hai sarkar  Kadmon me bulaenge  Karam ki jab nazar hogi Madine ham bhi jaenge Madine mujko bulalen bahot udas hu mai Game jaha se bachalen bahot udas hu mai Karam huzoor ho esa ke sara ghar aaye Mera saval na taale bahot udas hu mai Mai pichhle saal to aqa madine aaya tha Huzoor fir se bulalen  bahot udas hu mai Badi panah me aya jo aaya Tayba mai Meri hayat bachale  bahot udas hu mai Udasiyon ne mere ghar pe pehra dala hai Musibaton se nikale  bahot udas hu mai Nahi hai gair Ujagar Gulam apka hai Gira hua hu uthale  bahot udas hu mai

Sayyada ma Ayesha Mankabat Lyrics

Tayyab tahera Saiyeda Ma Ayesha Sayyada ma Ayesha  Sayyada ma Ayesha  Ye Fakira alima hai  Sayyada ma Ayesha  Ilm me sab se juda  Sayyada ma Ayesha  Aap ke bistar mubarak par bhi ati thi vahi Kya makam o martaba hai  Sayyada ma Ayesha  Mustafa ne jaan di jab sar tha teri god me Ye to ezaz e khuda hai  Sayyada ma Ayesha  Aap ki tasveer le kar aaye the ruhul amee Zoz e shahe ambiya hai  Sayyada ma Ayesha  Aayesha ka hujra anvar roza e sarkar hai Ye muhabbat ka sila hai  Sayyada ma Ayesha  Aap ki paki me utri hai athara ayaten Ye gavahi e khuda hai  Sayyada ma Ayesha  Azmatein aesi Ujagar arsh par naare lage Tayyaba aur tahera hai  Sayyada ma Ayesha  Naat Khvan : Hafiz Tahir Qadry

Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi Naat Lyrics

Mustafa Ya Mustafa............. Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi Ata bhi kese jab allah ne banaya hi nahi Koi sani na hai rab ka na mere aqa ka Ek ka jism nahi ek ka saya hi nahi Zulf Vallayl hai , Rukh Vadduha mazad aakhen Is tarha rab ne kisi ko bhi sajaya hi nahi Aap ne jab se navaza hai ya Rasulallah Mene daman kisi chokhat pe bichhaya hi nahi Jisne sarkar ke chehre ki ziyarat ki hai Us ki nazron me koi aur samaya hi nahi Laut kar aa gaya makke se madine na gaya Kese jata tuje aqa ne bulaya hi nahi Jabse darvaze pe likha mene ala hazrat Koi gustakh e nabi ghar mere aya hi nahi Jab talak pusht pe shabbir rahe ae faizy Sar ko sajde se payambar ne uthaya hi nahi Naat Khvaan : Hafiz Tahir Qadry

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक