Bhar do joli meri ya Muhammad kavvali lyrics


Shah e madina suno Iltija khuda ke liye
Karam ho muj pe habeeb e khuda khuda ke liye
Huzur guncha e ummid ab to khil jaae
Tumhare dar ka gada hu bhikh mil jaae

Bhar do joli meri ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khali

Tumhare astane se zaman kya nahi paata
Koi bhi dar se khali mangane vala nahi jaata

Tum zamane ke mukhtar ho ya nabi
Be kason ke madadgar ho ya nabi
Sabki sunte ho apne ho ya gair ho
Tum garibon ke gamkhvar ho ya nabi

Bhar do joli meri..

Ham hai ranj o musibat ke maare hue
Sakht mushkil mai hai gham se hare hue
Ya nabi kuchh khudara hame bhikh do
Dar pe aaye hai joli pasare hue

Bhar do joli meri..

Hai mukhalif jamana kidhar jaae ham
Halat e be kasi kisko dikhlae ham
Ham tumhare bhikhari hai ya mustafa
Kiske aage bhala hath failae ham


Bhar do joli meri ya Muhammad
Laut kar mai na jaunga khali
Kuchh navason ka sadka ata ho
Dar par aya hu ban kar suvali

Haq se payi vo shane kareemi
Marhaba dono alam ke vaali
Uski kismat ka chamka sitara
Jis pe nazar e karam tumne dali

Zindagi bakhsh di bandagi ko
Abroo deen e haq ki bachali
Vo Muhammad ka pyara navasa
Jisne sajde mai gardan katali

Jo ibne murtaza nekiya kaam khub hai
Kurbani e hussain ka anjam khub hai
Kurban hoke fatima zahra ke chain ne
Deen e khuda ki shan badai Hussain ne 
Bakhshi hai jisne mazhab e islam ko hayat
Kitni azim hazrate shabbir ki hai zaat
Maidan e karbala me shah e khush khisal ne
Sajde sar katake muhammad ke laal ne

Zindagi bakhsh di bandagi ko
Abroo deen e haq ki bachali
Vo Muhammad ka pyara navasa
Jisne sajde mai gardan katali

Hashr mai unko dekhenge jis dam 
Ummati ye kahenge khushi se
Aa rahe hai vo dekho muhammad
Jinke kandhe pe kamli hai kaali

Mehshar ke roz pesh e khuda hinge jis gadi
Hogi Gunah garon me kis darza be kali
Aate hue nabi ko jo dekhenge ummati
Ek dusre se sab ye kahenge khushi khushi

Sar e mehshar gunahgaron se purshish jis gadi hogi
Yakinan har bashar ko apni bakhshish ki padi hogi
Sabhi ko aas us dam pyare aqa se lagi hogi
Ke aese me muhammad ki savari aa rahi hogi
Pukarega zamana us gadi dukh dard ke maaro
Na gabrao gunah garon   Na gabrao gunah garon

Aa rahe hai vo dekho muhammad
Jinke kandhe pe kamli hai kaali

Aashik e mustafa ki aza me Allah Allah kitna asar tha

Sacha ye vakiya hai azane bilal ka
Ek din rasool e paak se logon ne yu kaha
Ya mustafa azan galat dete hai bilal 
Kahiye huzur aap ka isme hai kya khayal
Farmaya mustafa ne ye sach hai to dekhie
Vakt e sahar ki aaj azaa aur koi de
Hazrat bilal ne jo azan e sahar na di
Kudrat khuda ki dekho na mutlak sahar hui
Aaye nabi ke paas vo ashab e ba safa 
Ki arz mustafa se ya shah e ambiya
Hai kya sabab sahar na hui  aaj mustafa
Jibreel laaye ese me paigam e kibriya
Pehle to mustafa ko adab se kiya salam
Bad az salam unko khuda ka diya payam
Yu jibraeel ne kaha khairul anam se
Ke allah ko hai pyar tumhare gulam se
Farma raha hai aap se ye rabb e zul jalal
Ke hogi na sub'h denge na jab tak azaa bilal

Aashik e mustafa ki aza me Allah Allah kitna asar tha
Arsh vaale bhi sunte the jisko Kya azaa thi azan e bilali

Kash pur nam dayar e nabi mai jite ji ho bulava kisi din
Haal e gham mustafa ko sunau Tham kar unke roze ki jaali




Kavval : Sabri Brothers


Comments

Post a Comment

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer Gaus-e-Aazam Dastageer lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Madine ke Aaqa Madine ke Sarwar Salam Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Faslon ko khudara mita do Jaliyon par Nigahe Jami hai Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Lab pe Salle Ala ke Tarane Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics