Posts

Showing posts from May, 2015

Vahi Rab hai jisne tujko hama tan karam banaya

Vahi Rabb hai jisne tujko hamatan karam banaya Hame bhikh mangane ko tera Aasata bataya  Tuje hamd hai khuda... Tumhi Hakeem-e-baraya tumhi kasim-e-ataya Tumhi dafa-e-balaya Tumhi shafa-e-ataya Koi tum sa kon aaya.... Vo kunvari paak mariyam Vo nafaktu fihi ka dam Hai ajab nishan-e-azam magar amina ka jaya  Vahi Sabse afzal aya... Yahi bole sidra vaale Chama-e-jaha ke thale  Sabhi mene chhan daale Tere paae ka na paya Tuje yak ne yak banaya... Are ae khuda ke bando koi mere dil ko dhundho  Mere paas tha abhi to abhi kya hua khudaya Na koi gaya na aaya... Hame ae RAZA tere dil ka pata chala ba mushkil Dare roza ke mukabil vo hame nazar to aya Ye na puchh kesa paaya....

Zamino Zama Tumhare Liye

Zamino Zama Tumhare Liye Makin o Makaa Tumhare Liye Chunin o Chunaa Tumhare Liye Bane Do Jaha Tumhare Liye Dahan mai Zubaa Tumhare liye Badan mai hai Jaa Tumhare liye Ham aae yaha Tumhare liye Uthe Bhi vaha Tumhare liye Kaleem o Najee Masih o safee Khaleel o Razee Rasul o nabi Akeek o Vasee Gani o Ali Sana ki Zabaa Tumhare liye Asalat-e-kul Amamat-e-kul Siyadat-e-kul Amarat-e-kul Hukumat-e-kul vilayat-e-kul Khuda ke yaha Tumhare liye Tumhari Chamak Tumhari damak Tumhari jalak Tumhari mahak Zameen o Falak Samak o Samak Mai sikka nishaa Tumhare liye Ye Shams o kamar Sham o sahar Ye barg o shajar Ye baag o samar Ye tigo sapar Ye Taaj o kamar Ye hukm-e-Ravaa Tumhare liye Na Rooh-e-Amee Na Arsh-e-baree Na loh-e-mubee koi bhi kahi Khabar hi nahi Jo Ramzein khuli Azal ki naha Tumhare liye Jina mai chaman Chaman mai Saman Saman mai faban Faban Mai Dulhan Saza-e-Mahan Pe ese minan  Ye Aman o Amaa Tumhare liye Khalil o  Najee Maseeh o Safee 

Mustafa Khairul Vara Ho

Mustafa khairul Vara Ho  Sarvar-e-Har Do Sara Ho Apne Achho Ka tasadduk Ham Badon ko nibha ho Kis ke fir ho kar Rahe Ham Ghar Tumhi ham ko na chaho Bad Hansein Tum Unki khatir Raat Bhar ro ro kara ho Bad karein ham dam buraai Tum kaho Sabka bhala ho Ham Vahi na shita Ru hai Tum vahi behr-e-Ata ho Ham vahi Shayan-e-Rad hai Tum vahi shan-e-Sakha ho Ham vahi be sharm bad hai Tum vahi kaan-e-haya ho Ham vahi nang-e-jafa hai Tum vahi jaan-e-Vafa ho Ham vahi kaabil-e-saza hai Tum vahi rehm-e-khuda ho Charkh badle dehr badle Tum badal ne se vara ho Umr bhar to yaad rakha Vakt par kya bhulna ho Ye bhi Maula arz kardun Bhul agar jaao to kya ho Vo ho jo Tum par giraan hai Vo ho jo hargiz na chaho Vo ho jiska naam lete Dushmanon ka dil bura ho Vo ho jiske radd ki khatir  Raat din vakf-e-Dua ho Mar mitein barbaad bande Khana abad aag ka ho Shaad ho iblis-e-maloon Gham kise is kahar ka ho Tum ko Ho vallah Tumko Jaan o Dil

Sub'h Tayba mai hui Bantata hai Bada Noor ka

Sub'h Tayba mai hui Bantata hai Bada Noor ka Sadka Lene Noor ka Aaya hai Taara Noor ka Baag-e-Tayba Mai suhana ful fula noor ka Mast Buhain bulbulein padti hai kalma noor ka Barvih ke chand ka mujra hai sajda noor ka Baara burzon se Juka ek ek sitara noor ka Aaee bid'at chhai zulmat Rang badla noor ka Maah-e-Sunnat ! Mehre Tal'at ! Lele badla noor ka Tere hi maathe raha ae jaan sehra noor ka Bakht jaaga noor ka chamka sitara noor ka Mai gada tu badshah bharde piyala noor ka Noor din duna tera de daal sadka noor ka Taaj vaale dekh kar tera imaama noor ka Sar jukate hai Ilahi bol baala noor ka Sham'a dil mishkaat tan sina juzaja noor ka Teri surat ke liye aaya hai suraa noor ka Naariyon ka daur tha dil jal raha tha noor ka Tumko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka Jo gada dekho liye jaata hai toda noor ka Noor ki sarkar hai kya isme toda noor ka Teri Nasl-e-Paak mai hai bachcha bachcha noor ka Tu hai ayn-e-Noor tera sab garana

Sachchi Baat Sikhate Ye Hai

Sachchi Baat Sikhate ye Hai Sidhi Rah Chalate Ye Hai Halti Naav jamate ye hai Tuti Aas bandhate ye hai Jalti jaan bujate ye hai Roti ankh Hansate ye hai Rabb Hai Mau'ti Ye hai kasim Rizk uska hai khilate ye hai Uski Bakhshish inka sadka Deta vo hai Dilate ye hai Inna Aa'tayna Kal Kausar Sari Kasrat paate ye hai Thanda Thanda Mitha Mitha Pite Ham hai pilate ye hai Naz'a-e-Rooh mai asani de Kalma yaad dilate ye hai Markad mai bandon ko Thapak ke Mithi nind sulate ye hai Maa jab ek lote ko chhode Aa Aa Kehke bulate ye hai Sallim Sallim ki dharas se Pul se Paar Chalate ye hai Apne karam se ham halko ka Palla Bhari  banate ye hai Apni bani ham aap bigade  Kaun banaye banate ye hai Faiz-e-Jaleel Khalil se puchho  Aag mai baag lagate ye hai Inke haath mai har kunji hai Maalik-e-Kul kehlate ye hai Kasr-e-Dana tak kis ki rasaai Jaate ye hai aate ye hai Kehdo RAZA se khush ho khush reh Muzda riza ka sunate ye hai

Shaheed Mar Nahi Sakta Hussain Zinda Hai

Shaheed Mar Nahi Sakta Hussain Zinda Hai Nabi Ki Aal Ka Dulha Hussain Zinda Hai Yazeed Dafn Tabood-E-Zulm Main Ab Bhi Wafa Ke Bagh Main Mera Hussain Zinda Hai Shaheed Zinda Hai Lekin Hame Shaoor Nahi Ye Marte Marte Bhi Kehna Hussain Zinda Hai Hussain Tere Laaho Se Khila Hai Qulshan-E-Deen Hamara Deen Hai Zinda Hussain Zinda Hai Inhai To Rizq Diya Jata Hai Suno Logo Sada Gumaan Ye Rakna Hussain Zinda Hai Kaho Wo Murda Hai Unko Jo Murda Kehta Hai Hussain Zinda Hai Zinda Hussain Zinda Hai Utar Rahai Hai Ziyarath Ke Waste Qudsi Lahad Main Aaj Bhi Mera Hussain Zinda Hai Wo Karbala Main Ujagar Shahadat-E-Sabbir Laaho Ke Chite Hai Taza Hussain Zinda Hai Zara Tum Dekho Hassan Neze Par Hussain Ka Sar Tilawat-E-Quraan Main Tha Hussain Zinda Hai

Nabi Sarvar-e-Har Rasool o Vali hai

Nabi Sarvar-e-har Rasool o vali hai  Nabi razdar-e-Ma' llah li hai Vo nami ke nam-e-khuda naam tera Raoof o Raheem o Aleem o Ali hai Hai betaab jis ke liye arsh-e-Azam Vo is rah rave laa makaan ki gali hai Nakeeren karte hai taazim meri  Fida hoke tuj pe ye izzat mili hai Talatum hai kashti pe Tufan-e-gam ka Ye kesi hava-e-Mukhalif chali hai Na Kyu Kar Kahu ya Habeebi agisni Isi naam se har musibat tali hai Saba hai muje sarsar-e-daste Tayba Isi se kali mere di ki khili hai Tere chaaron hamdam hai yak jaan yak dil Abu Bakr Farrok Usmaa ali hai Khuda ne kiya tuj ko agah sab se Do Alam mai jo kuchh kafi v jali hai Tamanna hai farmaiye roz-e-Mehshar Ye Teri rihaee ki chitthi mili hai Shafa'at kare Hashr mai jo RAZA ki Siva tere kis ko ye kudrat mili hai

Suna Jangak Raat Andheri Chhaee Badli kaali hai

Suna Jangal Raat Andheri Chhai Badli Kaali Hai Sone Vaalo Jagate Rahiyo Choro Ki Rakhvaali Hai Ankh Se Kajal Saaf Churale Yaan Vo Chor Bala Ke Hai Teri Gathdi Taaki Hai Aur Tune Nind Nikali Hai Ye Jo Tujko Bulata Hai Ye Thag Hai Maar Hi Rakhe Ga Haae Musafir Dam Mai Na Ana Mat Kesi Matvali Hai Sona Paas Hai Suna Ban Hai Sona Zehar Hai Uth Pyare Tu Kehta Hai Mithi Nind Hai Teri mat hi nirali hai Ankhe malna dhundhala padna lakhon jamaee angadaai Naam pe uthne ke ladta hai uthna bhi Kuchh Gali Hai Jugnu chamke patta khadke muj tanha ka dil dhadke Ban mai gata ki bhayanak surat kaisi kali kali hai Paao Utha aur thokar khai kuchh sambhala fir undhe muh Mih ne fislan kar di hai aur Dhur tak khai naali hai Sathi sathi keh ke pukaru sathi ho to javab aae Fir junjala kar sar de patku chal re maula vaali hai Tum to chand arab ke ho pyare Tum to Ajam ke suraj ho Dekho muj be kas par sab ne kesi aafat taali hai Shehad Dikhae , Zaher pilaye , Kaatil Dayen

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक