Al-Baqrah : Ruku'a 12 (Ayat 104-112)

(104)

(Roman-Urdu)
Aye Iman Walon ! 'Raena' na kaho aur yun arz karo ke 'Huzur Ham par nazar rakhein' aur pahele hi se ba-gaur suno , Aur Kafiron ke liye dardnak azab hai .

(English)
 O Men of faith do not say; Raina, but say humbly, respected Sir. "Look upon us" and from very beginning listen carefully, and for the disbelievers is a grievious torment.

(105)

(Roman-Urdu)
Wo Jo Kafir hein Kitabi ya Mushrik , Wo nahin chahte ke Tum par koi bhalai utre , Tumhare Rabb ke paas se , Aur Allah Apni Rehmat se khas karta hai jise chahe , Aur Allah bade fazal wala hai .

(English)
 Those who are infidels, whether people of the book or idolaters, do not desire that any good should be sent down to you from your Lord and Allah chooses for His Mercy, whomsoever He pleases, and Allah is of Exceeding Bounty. 

(106)
.
(Roman-Urdu)
Jab koi aayat Ham mansukh farmayein ya bhula dein , To Us se behtar ya Us Jaisi le aayeinge , Kya Tuje khabar nahin ke Allah sab kuchh kar sakta hai .

(English)
 When any verse We abrogate or cause to be forgotten, then shall bring one better or the like thereof. Do you not know that Allah can do all and every thing?  

(107)

(Roman-Urdu)
Kya Tuje khabar nahin ke Allah hi ke liye hai Aasamanon aur Zameen ki badshahi aur Allah ke siwa Tumhara na ko himayati na madadghar .

(English)
 Do you not know that the sovereignty of heavens and earth is only for Allah and besides Allah, you have neither any supporter nor helper?

(108)

(Roman-Urdu)
Kya ye chahte ho ke Apne Rasool se waisa sawal karo Jo Musa se pahele hua tha , Aur Jo Imaan ke badle kufr le Wo theek rasta bahek gaya .

(English)
 Do you wish to question your Messenger as Moses was questioned before; and whoever exchanges faith for unbelief, he rightly has gone astray from the right path?

(109)

(Roman-Urdu)
Bahot Kitabiyon ne chaha , Kash Tumhe Imaan ke bad kufr ki taraf fair dein , Apne Dilon ki jalan se , Ba'd iske ke Haq in par khub zahir ho chuka hai To Tum chhodo aur darguzar karo , Yahan tak ke Allah Apna hukm laye , Beshak Allah har cheez par Qadir hai .

(English)
 Many of the people of the Book desired, had you been turned back towards infidelity after faith! out of sheer envy of their hearts; after it that the truth has become manifest unto them, so leave them and overlook, till Allah brings His command. Undoubtedly Allah is powerful over every thing.

(110)

(Roman-Urdu)
Aur Namaz kayam rakkho , Aur Zakat do , Aur Apni Jaanon ke liye Jo bhalai aage bhejoge Use Allah ke yahan paoge , Beshak Allah Tumhare kam dekh raha hai .

(English)
 And keep up the prayer and pay Zakat (poor due); and whatever good you shall send forth for your souls, you shall find it with Allah. Undoubtedly Allah is seeing your doings.

(111)

(Roman-Urdu)
Aur Ahle Kitab bole 'Har giz Jannat mein na jayega magar yahudi ya nasrani ho , Ye Unki khayal-bandiyan hein , Tum farmao 'Lao Apni daleel Agar sacche ho'.

(English)
 And the people of the Book spoke, 'None shall enter paradise, but he who be a Jew or Christian. These are their vain desires. Say, you 'Bring your proof, if you are truthful'. 

(112)

(Roman-Urdu)
Haan ! Kyun nahin Jisne Apna Munh jukaya Allah ke liye , Wo nekokar hai , To Uska neeg(badla) Uske Rabb ke paas hai Aur Unhe na kuchh andesha ho aur na kuchh gham .

(English)
 Yes, why not, who submitted his face for Allah and is the doer of good, then his reward is with his Lord and they have neither any fear nor any grief. 

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi