Posts

Showing posts from October, 2017

Zikre Nabi jab ghar ghar hoga Lyrics

Zikre Nabi jab ghar ghar hoga Rehmat ka har soo Sagar hoga Dil mein Mere arman hai Madine ko Ham jayeinge Apne Sare Khwabon ko Ham Aankhon mein Sajayeinge Samne Roza-e-Anwar hoga Rehmat ka har soo Sagar hoga Har Ambiya ko Unki Ummat pukaregi Sunke bhi Wo bolenge Izhabu Ala Gayri Ana Laha Labe Sarwar hoga Rehmat ka har soo Sagar hoga Aa gaya Rabiul-Awwal Arz Shadmani hai Mustafa ke aane ki bhi kya gadi Suhani hai Ab Qalbe Insan Munawwar hoga Rehmat ka har soo Sagar hoga Noori Kamli wale Aaqa se jise Mahobbat hai  Jannat milegi Usko Jo bhi ahle Sunnat hai Hathon mein Unke hi Kausar hoga Rehmat ka har soo Sagar hoga Aamade Rasool pe kyun na khushi manayein Ham Kyun na Deen ka Parcham Galiyon mein Laherayein Ham Charcha Unka hi Ghar Ghar hoga Rehmat ka har soo Sagar hoga Mangta bhi Unka Shakir kitna Zee-waqar hai Kehti hai Duniya Sari Ye to Taajdar hai Nalayn Unka jo Sar par hoga Rehmat ka har soo Sagar hoga

Aaj tak hai Labe Shabbir ka Pyasa Pani Lyrics

Sekdon Saal huye Jab na Mila tha Pani Aaj tak hai Labe Shabbir ka Pyasa Pani Karbala Samne Aati Jo lashein lekar Aankh to Aankh hai par tan se bhi rista Pani Kesi basti mein Muhammad ka Musafir thehra Dhup Khaima thin Daree ret Nazara Pani Tishnagi Us ki Samandar ko bula sakti thi Kat sakta tha Wo talwar se chalta Pani Kiske Sar Fat'ha ka Tarikh ne Sahera bandha Surkhroo Kaun hai Donon mein Lahu ya Pani Jab bhi Zikre Shohda Dil mein Musafar chheda Aankhein Ek Zakhm bani Aankh se tapka Pani

Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale Lyrics || Aqsa Abdul Haq

Ho karam Ho karam Ho karam Ya Nabi Ya Nabi Sallu Alay Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale Ham bhi hein Tere Talabghar Madine wale Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale Khalie Kashkol Mera Apne Karam se bhar de Teri Imdad hai Darkar Madine wale Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale Wajhe Takhlike Jahan Tumko Khuda kehta hai Yani Sab hai Tera Sarkar Madine wale Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale Ab to bas Ye hi Tamanna hai Dile Muztar mein Dekhlun Mein Tera Darbar Madine wale Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale Ba-Khuda Uski Nigahon ko mila auj Sharaf Jisne Dekha Tera Darbar Madine wale Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale Ab to Khwahish hai ke Mudfan hon Bakiya mein Ham Muntazir sab hein Gunahghar Madine wale Ho Karam Aye Mere Sarkar Madine wale

Mera Umar Pyara Umar Lyrics || Ahmad Raza Qadri

Umar Ya Umar Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Jo Mustafa ki Dua hai Jo Murad Salle Ala hai Mazhar Shahe Khuda ka Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Hai Jis pe naaz Is Dil ko Jo Khalifa-e-Mustafa hai Hai Adal ka Jo Sarapa Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Farman hai Mustafa ka Mera baad ghar koi hota Ban kar Nabi jagmagata Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Pahelu-nashin hai jo dekho ab bhi Dare Mustafa ka Pyara hai Jo Mustafa ka Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Sarkar ki jo raza ko Rabb ki raza mante hein Paikar hai aesa wafa ka Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Farooke Aazam ne paya Faize Nabi ka Sar Chashma Hai Ilmo Himat ka Da

Dua-e-Mustafa hai Hazrate Umar Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Image
Dua-e-Mustafa hai Hazrate Umar Khalifa Dusra hai Hazrate Umar Gurure Kaisaro Kisra ko mitti mein mila dala Bahadur ho to aesa ho Shuja'at ho to aesi ho Dua-e-Mustafa hai Hazrate Umar Khalifa Dusra hai Hazrate Umar Hazrate Umar Umar Hazrate Umar Umar Hazrate Umar Umar Hazrate Umar Umar Haq ki hai Talwar Umar Umar Umar Batil pe hai yalgar Umar Umar Umar Adal ka paheredar Umar Umar Umar Wafa ka alamdar Umar Umar Umar Momin ki hai lalkar Umar Umar Umar Haidar ko jis se pyar Umar Umar Umar Nabi ka saccha yaar Umar Umar Umar Saiyyidina Umar Ibnil Khattab Radiallahu Ta'ala Anhu Umar Wo hukmara'n hai ke Zamana ab bhi kehta hai Jo Hakim ho to aesa ho Hukumat ho to aesi ho Dua-e-Mustafa hai Hazrate Umar Khalifa Dusra hai Hazrate Umar Firishte keh rahe hein dekh kar Farook ki Turbat Mukaddar ho to aesa ho Jo kismat ho to aesi ho Dua-e-Mustafa hai Hazrate Umar Khalifa Dusra hai Hazrate Umar Hazrate Umar Hazrate Umar Hazrate Umar Hazrate Umar Haz

Mein to Ummati hun Aye Shahe Umam

Mein to Ummati hun Aye Shahe Umam Karde Mere Aaqa ab Nazre Karam Mein to be sahara hun Daman bhi hai Kali Nabiyon ke Nabi Teri Shan hai Nirali Mein to Ummati hun Aye Shahe Umam Karde Mere Aaqa ab Nazre Karam Gham ke Andhere ne yun gaira hua hai Aaqa Dushwar ab jeena Mera hua hai Bigdi bana do Meri Tayba ke wali Nabiyon ke Nabi Teri Shan hai Nirali Mein to Ummati hun Aye Shahe Umam Karde Mere Aaqa ab Nazre Karam Jisko bulaya gaya Wahi Arshe Bari hai Aap ke Siwa Aesa koi nahin hai Jiski na Baat koi Rabb ne bhi tali Nabiyon ke Nabi Teri Shan hai Nirali Mein to Ummati hun Aye Shahe Umam Karde Mere Aaqa ab Nazre Karam

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक