Posts

Showing posts from March, 2016

Jab Tu Paida hua kitna majboor tha Lyrics

Jab Tu Paida hua kitna majboor tha Ye jahan teri sochon se bhi door tha Haath paaon bhi tab tere apne na the Teri ankhon mein duniya ke sapne na the Tujko aata tha jo sirf rona hi tha Dudh pike tera kaam sona hi tha Tujko chalna sikhaya tha maa ne teri Tujko dil mein basaya tha maa ne teri Maa ke ssaye mein parwan chadne laga Wakt ke sath kad tera badne laga Dhire dhire tu kadiyal jawan ho gaya Tujpe sara jahan maherbaan ho gaya Zor bazu pe tu baat karne laga Khud hi sajne laga khud sawarne laga Ek din ek hasina tuje bha gayi Banke dulhan wo fir tere ghar aa gayi Farz apne se tu door hone laga  Bij nafrat ka khud hi tu bo ne laga  Fir tu maa baap ko bhi bhulane laga Teer baton ke fir tu chalane laga Baat be baat unse tu ladne laga Qaida ek naya fir tu padne laga Yaad kar tujse maa ne kaha ek din Ab hamara guzara nahi tere bin Sun ke ye baat tu tahesh mein aa gaya Tera gussa teri akal ko kha gaya Josh mein aa ke tune ye ...

Jab mahe tayba ki sine mein jalak pata hai dil

Jab mahe tayba ki sine mein jalak pata hai dil Jalwa gahe arsh se aage nikal jaata hai dil Ya Rasulallah ab to hazari ka izn ho Aapke darbar mein jaata hai dil aata hai dil Iztirabe gham mein donon hein barabar ke sharik Dil ko samjata hun mein aur mujko samjata hai dil Mein saza ka mustaheek hun ae shahe wala karam Meri bad aamaliyon par kyun saza pata hai dil Juz madina mustakee miska koi hal hi nahin Aah ki betaab mozon se jo takrata hai dil Jalwa gahe arsh se aage nikal jaata hai dil Jab mahe tayba ki sine mein jalak pata hai dil Jalwa gahe arsh se aage nikal jaata hai dil

Maula O din vi aawe aye mangata madine jaawe Lyrics

Maula O din vi aawe aye mangata madine jaawe Roze di pyari jali ankhiya ne naal lawe Tere kaul aa ke tennu kadi haal mein sunawa Chadun teri gali wich palka de naal lawan Tere dar de khadima wich mera naam bhi te aawe Maula O din vi aawe aye mangata madine jaawe Jiwe Uwais karni nu diwana si banaya Habshi bilal utte jeda rang si chadaya Mango dua wo sohna o rang menu laawe Maula O din vi aawe aye mangata madine jaawe Koi gaus koi khwaja koi data ban ke aawe Koi bhulle shah baneya koi baahu ban ke aawe Wo aamena dha jaani rang apna jisnu laawe Maula O din vi aawe aye mangata madine jaawe Kidhar o farishte har dam sattar hazar rende Saare wali bhi har dam tere huzur rende Rabb o haseen manzar mehmood nu wikhawe Maula O din vi aawe aye mangata madine jaawe Roze di pyari jali ankhiya ne naal lawe

Aaj duniya mein khairul wara aa gaye

Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye Aaj duniya mein khairul wara aa gaye Bazme kaunain mein har taraf shor hai Mustafa aa gaye mujtaba aa gaye Arsh wale mubarak dene lage Farsh walon habib e khuda aa gaye Kaun deta hai dene ko muh chahiye Dene wala hai sacha hamara nabi Kya khabar kitne taare khile chhup gaye Par na dube na duba hamara nabi Har taraf hai Niyazi sama eid ka Mustafa aa gaye Mujtaba aa gaye Aaj duniya mein khairul wara aa gaye

Ya Rasulallah ham sab aap se sharminda hein Lyrics

Image
Aqa ham sharminda hein Aqa ham sharminda hein Ya Rasulallah ham sab aap se sharminda hein Ghazi mera chala gaya mal'oon abhi tak zinda hai Rayega na jayega khun mere ghazi ka Inkilab layega khun mere ghazi ka Ya Rasulallah ham sab aap se sharminda hein Ghazi mera chala gaya mal'oon abhi tak zinda hai Ham wafa na karpaye ghazi ham hein sharminda Umar bhar rulayega khun mere ghazi ka Ya Rasulallah ham sab aap se sharminda hein Ghazi mera chala gaya mal'oon abhi tak zinda hai Ishk chad gaya suli badtarin din hai aaj Karz sab chukayega khun mere ghazi ka Ya Rasulallah ham sab aap se sharminda hein Ghazi mera chala gaya mal'oon abhi tak zinda hai Chehra dekha ghazi ka yun laga ke maheshar mein Noor bane ke aayega khun mere ghazi ka Ya Rasulallah ham sab aap se sharminda hein Ghazi mera chala gaya mal'oon abhi tak zinda hai Kaun unka aashik hai kaun unka hai gaddar Chehre sab dikhayega khun mere ghazi ka Ya Rasulallah ham sab aap se sharmin...

Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam Lyrics

Salam Assalam Mumtaz Qadry Salam Assalam Mumtaz Qadry Karun tere naam pe jaan fida Na bas ek jaan do jahan fida Do jahan se bhi nahin jee bhara Karun kya karodon jahan nahin Bhar bhar ke pee liya hai shahadat ka tune jaam Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam Ishke nabi mein tune fida apni jaan ki Ta hashr ab karenge tera log ehtera Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam Bhar bhar ke pee liya hai shahadat ka tune jaam Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam Wajib hai tujpe apne mukaddar pe naaz kar Allah ne buland kiya hai tera makaam Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam Allah ke nabi pe jo qurnbaan ho gaye Likha gaya hai ese shahidon mein tera naam Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam Larzega tere naam se har munkire rasool Khayega khauf tujse iblees ka gulam Mumtaz qadry ho tumhe qaum ka salam

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Lyrics

Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Karne roze ka deedar mein madine jaunga Shahe madina rehmate alam nabiyon ke sardar Dekhen kab dikhlayen apna noorani darbar Mein to hun kabse tayyar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Mujko yakeen hai karam karenge aamena bi ke laal Unko to malum hai lillah mere dil ka haal Kehte hein ye dil ke taar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Dekha nahin unka dare akdas kya hoga anjaam Mere dil ki dhadkan mujko deti hai paygam Marne se pahele ek baar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Dekh ke muj aaseen ko unko aa jayega pyar Noorani chadar mein chhupa lenge is dam sarkar Lekar jab ashkon ke haar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Kya gham hai ke jakde hue hai doori ki zanjeer Mil jayegi mujko mere khwabon ki taabir Jis din chahenge sarkar mein madine jaunga Wo din aayega ek baar mein madine jaunga Hai aam...

Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Lyrics

Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Taare gagan le tumra naam ae pyare nabi Ek jayee ke lote ek tukde howe Shamso kamar tumre gulam ae pyare nabi Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Taare gagan le tumra naam ae pyare nabi Wasshams chehra wallayl gaysu Naat hai kul rab ka kalam ae pyare nabi Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Taare gagan le tumra naam ae pyare nabi Tayba ki kyari mein gumat firat ke Bhanware kare tumka salam ae pyare nabi Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Taare gagan le tumra naam ae pyare nabi Rahmat ka sawan barsaido ham par Dur ho ye bipta katam ae pyare nabi Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Taare gagan le tumra naam ae pyare nabi Dil ki atariya suni padi hai Aake karo eema kayam ae pyare nabi Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Taare gagan le tumra naam ae pyare nabi Kausar janib ham kahe takiye Daido hame naynan ke jaam ae pyare nabi Chada kare tum ka salam ae pyare nabi Taare gagan le tumra ...

Mein madina chhod aaya Lyrics

Ya shahe bahro bar Mein madina chhod aaya Kohe gam pada sar par mein madina chhod aaya Aah masjide nabwi haaye gumbade khazra Aah roza e anwar mein madina chhod aaya Jab chala tha tayba ko thi khushi mere dil ko Aah ab hai dile muztar mein madina chhod aaya Dil mein bekarari hai Aur giryazari hai Beh rahi hein chashme tar mein madina chhod aaya Aah dil madine ke jald jald guzre the Haaye jald  chhuta kar mein madina chhod aaya Wakte hijr jab aaya Fut fut kar roya Dardnaak tha manzar mein madina chhod aaya

Meri zindagi sirf ishke nabi hai by hafiz tahir qadri lyrics

Image
Meri zindagi sirf ishke nabi hai Meri zindagi sirf ishke nabi hai Agar mil gayi mujko rahe madina Muhammad ka nakshe kadam chum lunga Akeedat se kaabe mein sar ko juka kar Nigahon se baabe haram chum lunga Meri zindagi sirf ishke nabi hai Meri zindagi sirf ishke nabi hai Agar dilko hai kuchh nabi se akidat Kisi din to jage gi meri bhi kismat Jo aayenge karke tawafe madina Khush ho ke unke kadam chum lunga Meri zindagi sirf ishke nabi hai Meri zindagi sirf ishke nabi hai Meri zindagi sirf ishke nabi hai Jo gam mujko isme mila wo khushi hai Isi gam ki rahon mein ankhen bichha kar Palkon se khake haram chum lunga Meri zindagi sirf ishke nabi hai Meri zindagi sirf ishke nabi hai Jo tay kar ke aayenge rahe madina Mila lunga mein unke sine se sina Jin ankhon ne dekha hai tayba ka manzar Wo ankhen badeeda e nam chum lunga Meri zindagi sirf ishke nabi hai Meri zindagi sirf ishke nabi hai Agar mil gayi mujko rahe madina Muhammad ka nakshe kadam chum lunga Akeedat se kaabe mein s...

Ae Hasanain ke nana naat Lyrics

Ae Hasanain ke nana  Ae Hasanain ke nana Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi nazare karam farmana Ae Hasanain ke nana  Ae Hasanain ke nana Zahra paak ke sadke hamko  Tayba mein bulana Ae Hasanain ke nana  Ae Hasanain ke nana Aap ke dar ka mein hun bhikari Aap hein mere data Sare rishton naaton se hai Pyara apna nata Aap to hein Aata hein jinko Sabki laaj nibhana Ae Hasanain ke nana  Ae Hasanain ke nana Be saya hein lekin do jag  Par hai aap ka saya Arshe mu'allah bana mu'halla Deed ko rabb ne bulaya Hashr tak na hoga kisi ka Esa aana jana Ae Hasanain ke nana  Ae Hasanain ke nana Saj gayi hein milad ki mahefil Kya hai khub nazara Kayfo masti mein duba hai Dekho aalam sara Dhundh rahi hai aap ki rehmat Bakhshish ka bahana Ae Hasanain ke nana  Ae Hasanain ke nana Nisbat ka faizan hai dekho Khadime gause jalee hun Karta hai mujpe naaz zamana Mein ausafe Ali hun Aap ki aal ke dar ka sag hun Aur sahil hu...

Kitna pyara hai madina wo mere aqa ka Lyrics

Kitna pyara hai madina wo mere aqa ka  Aman wala hai safina wo mere aqa ka Jispe nazil kiya quraan  khuda ne apna Khub sinon mein hai sina wo mere aqa ka Dhool kadmon ke tale jo bhi hai aayi unke Zarra zarra hai nagina wo mere aqa ka Aks kirdare muhammad ka milega unme Har sahabi hai aayina wo mere aqa ka Sath roze mein bhi soye hein jo khusrane nabi Sath chhodenge kabhi na wo mere aqa ka Arsho kursi se bhi uncha hai usi ka rutba Rashke jannat hai dafina wo mere aqa ka In gulabon mein bhi Abid na mahek hai wesi Kya mu'attar hai pasina wo mere aqa ka

Itna kafi hai zindagi ke liye Lyrics

Itna kafi hai zindagi ke liye Rakh le aqa jo naukari ke liye Tak ke unko Ayyub ke ghar mein Mahel tarse hein jopdi ke liye Itna kafi hai zindagi ke liye Rakh le aqa jo naukari ke liye Aa gaye qabr mein bhi chhudwane Dard kitna hai ummati ke liye Itna kafi hai....... Lambe sajde kiye nabi ne kaha Ae nawase teri khushi ke liye Itna kafi hai......... Deed mangi hai unki ye Hatim Meine bas wakte akhari ke liye Itna kafi hai....... . Chand suraj bhi unke kadmon mein Roz aate hein roshani ke liye Itna kafi hai.......

Ya Aliyal Murtaza Maula Ali Mushkil kusha Lyrics

Ya Aliyal Murtaza Maula Ali Mushkil kusha Aap hein shere khuda Maula Ali Mushkil kusha Ya Aliyal Murtaza Maula Ali Mushkil kusha Aap hein shere khuda Maula Ali Mushkil kusha Sahibe Lutfo ata Maula Ali Mushkil kusha Hai shahide ba wafa maula Ali Mushkil kusha Ya Aliyal Murtaza Maula Ali Mushkil kusha Aap hein shere khuda Maula Ali Mushkil kusha Ilm ka mein shaher hun darwaza iska hai ali Hai ye qaule Mustafa Maula Ali Mushkil kusha Ya Aliyal Murtaza Maula Ali Mushkil kusha Aap hein shere khuda Maula Ali Mushkil kusha Jis kisi ka mein hun maula uske maula hein Ali Hai ye qaule Mustafa Maula Ali Mushkil Kusha Ya Aliyal Murtaza Maula Ali Mushkil kusha Aap hein shere khuda Maula Ali Mushkil kusha Baade khulfa e salasa sab sahaba se bada  Aap ko rutba mila  Maula Ali Mushkil Kusha Ya Aliyal Murtaza Maula Ali Mushkil kusha Aap hein shere khuda Maula Ali Mushkil kusha Qal'aa e khaibar ka darwaza ukhada aap ne Marhaba ! Sad marhaba !  Maula Ali...

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Labbayk Allahumma Labbayk Nasheed / लब्बैक अल्लाहुम्मा लब्बैक / لبّیک اللّٰھم لبّیک / Lyrics

Are Hajiyo Tum Haram ja rahe ho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Juki hui ye jabeen hai, huzoor dekhein na Lyrics / झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Zaeere Taiba Roze pe jaa kar Lyrics || जाइरे तैबा रोज़े पे जा कर in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics