Ae Hasanain ke nana naat Lyrics

Ae Hasanain ke nana Ae Hasanain ke nana
Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi

Ya Nabi nazare karam farmana
Ae Hasanain ke nana Ae Hasanain ke nana

Zahra paak ke sadke hamko 
Tayba mein bulana
Ae Hasanain ke nana Ae Hasanain ke nana




Aap ke dar ka mein hun bhikari
Aap hein mere data
Sare rishton naaton se hai
Pyara apna nata
Aap to hein Aata hein jinko
Sabki laaj nibhana
Ae Hasanain ke nana Ae Hasanain ke nana

Be saya hein lekin do jag 
Par hai aap ka saya
Arshe mu'allah bana mu'halla
Deed ko rabb ne bulaya
Hashr tak na hoga kisi ka
Esa aana jana
Ae Hasanain ke nana Ae Hasanain ke nana

Saj gayi hein milad ki mahefil
Kya hai khub nazara
Kayfo masti mein duba hai
Dekho aalam sara
Dhundh rahi hai aap ki rehmat
Bakhshish ka bahana
Ae Hasanain ke nana Ae Hasanain ke nana

Nisbat ka faizan hai dekho
Khadime gause jalee hun
Karta hai mujpe naaz zamana
Mein ausafe Ali hun
Aap ki aal ke dar ka sag hun
Aur sahil hun purana
Ae Hasanain ke nana Ae Hasanain ke nana




Comments

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

अल-मदद पीरान-ए-पीर या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर / المدد پیران پیر، یا غوثُ الاعْظَم دستگیر / Al Madad Peerane Peer gaus-e-aa'zam dastageer Lyrics

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics

Madine Qafile Jate hai Main bhi Aaunga / मदीने काफिले जाते हैं में भी आऊंगा / مدینے قافلے جاتے ہیں میں بھی آؤں گا