Roman(ENG): ajmer ka jab ye manzar hai , baghdaad ka manzar kya hoga rahete he.n jahaa.n nabiyo.n ke nabi, wo shahar-e-munawwar kya hoga wo kalma padaaye.n choro.n ko, murdo.n ko uthaa de.n thookar se jab ghaus me.n itna paawar hai, to sarkaar ka paawar kya hoga he.n aaj bhi apne uljan me.n, uthte he.n sawaal aksar man me.n jo apna janaaza khud hi padhe, wo saabir-e-kaliyar kya hoga jab husn tha unka jalwaa-numa, anwaar ka 'aalam kya hoga har koi fida hai bin dekhe, deedaar ka 'aalam kya hoga ek simt 'ali, ek simt 'umar, siddiq idhar, usmaan udhar in jagmag-jagmag taaro.n me.n, mahtaab ka 'aalam kya hoga chaahe.n to ishaare se apne kaaya hi palat de duniya ki ye shaan hai unke ghulaamo.n ki, sardaar ka 'aalam kya hoga dulhan jo lagaale to uski , nasle.n bhi mu'attar ho jaae.n aaqa ka paseena aisa hai, to jism-e-mu'attar kya hoga wo sajda kare.n to sajde me.n , yu.n raat mukammal ho jaae beti hai nabi ki jab aisi, to nabiyo.n ka wo sarwar kya hoga ...