Skip to main content

Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey by Hafiz Tahir Qadri Lyrics


Dhoom Machado  Dhoom Machado
Dhoom Machado  Dhoom Machado
Dhoom Machado  Dhoom Machado

Sahar ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thin
Haway'n khair Maqdam ke Tarane Gun-Gunati thi'n
Abhi Jibril Utre Bhi Na The Kaabe ke Mimbar sey
Ke Itne Mein Sada Aayi Abdullah ke Ghar sey

Mubarak Ho  Mubarak Ho  Mubarak Ho  Mubarak Ho

Mubarak Ho Shahe Har DoSara Tashreef ley Aaye
Mubarak Ho Muhammad Mustafa Tashreef ley Aaye

Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey
Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey

Assalam Aye Jaane Aalam Assalam Imaan-e-Alam
Shahe Deen Sultane Aalam Salawa-Tullahi Alayk

Wali-e-Makkah Wali-e-Tayba Aur Duniya ke Wali
Aamena Bi key Ghar Aaye hein Mehki Dali Dali
Sare Nabi Ye Kehte hein Chalo Jashn Manao Milke

Jandey Lagao Sab Galiyan Sajao Sarkar ke Naare Lagao
Hai Jashne Nabi Ronak hai Lagi Dil Jaan se Saare Gao
Ham Milad Wale hein  Ham Milad Wale hein

Zaban Par "Ashraqal-Badru-Alayna"  Ki Sadaein Thi'n
Dilon mein "Mada'aa Lillah Daee" Ki Duaein Thi'n
Woh Nanihi Bachiyan chhaton par chadh kar daff bajati Thi'n
Rasoole Paak ki janib Ishare kar ke gaati Thi'n

"Tala-al Badru Alayna Min Sani Yatil Wadaa"
"Wajaba-Shukru Alayna Mada'a Lillahi Daee"

Key Ham hein Bachiyan Najjar ke Aali Gharane ki
Khushi hai Aamena ke laal ke Tashrif lane ki

Welcome Welcome Ya Mustafa
Welcome Welcome Ya Mustafa
Welcome Welcome Ya Mustafa

Ye Kehti thi Ghar Ghar mein ja kar Halima
Mere Ghar mein KhairulWara aa gaye hein
Bade Auj par hai Mera ab Muqaddar
Mere Ghar Habeeb-e-Khuda Aa gaye hein

Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala

Ye kis Shahensha-e-Wala ki Amad Amad hey
Ye Kaunse Shahe-Bala ki Amad Amad hey
Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba
Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba

Rusool Inhi ka to Mujda Sunane Aaye hein
Inhii ke Aane ki Khushiya'n Manane Aaye hein
Firishte Aaj jo Dhoomein Machane Aaye hein
Inhi'n ke Aane ki Khusiya'n Manane Aaye hein

Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba
Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba

Inhe'n Khuda ne kiya Apne Mulk ka Malik
Inhi'n ke Kabze mein Rabb ke Khazane Aaye hein
Jo Chaheinge Jise Chaheinge Ye Use Denge
Kareem hein ye Khazane Lutane Aaye hein

Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba
Bolo Marhaba                       Bolo Marhaba

Sarkar Ki Amad .... Marhaba
Dildar Ki Amad .... Marhaba
Aaqa Ki Amad .... Marhaba
Data Ki Amad .... Marhaba
Huzur ki Amad .... Marhaba
Purnoor Ki Amad .... Marhaba
Sab Jhoom ke bolo .... Marhaba
Sab Mil kar Bolo .... Marhaba

Dhoom Machado  Dhoom Machado
Dhoom Machado  Dhoom Machado

Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey
Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey

Noor se Apne Sarware Alam Duniya Jagmagane Aaye
Gham ke Maaron Dukhiyaro'n ko Seene Se lagane Aaye

Ashkon se Bhar kar Joliya'n Aankhein Bichha do Raah mein
Salle'Ala    ki   do   Sada   Mere   Huzur   Aa   Gaye

Marhaba Rasulallah   Marhaba Rasulallah
Marhaba Rasulallah   Marhaba Rasulallah

Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey
Noor Wala Aaya Hai Jashn Manao Milkey

Aamena Bibi ke gulshan mein aayi hai Taaza bahar
Padte hein Sallalallahu Wasallam Aaj Daro Deewar
Jibril Aaye Jula Julane Lori de zeeshan
Soja Soja Rehmate Aalam Nabiyo'n ke Sultan

Assalam Aye Jaane Aalam Assalam Imaan-e-Alam
Shahe Deen Sultane Aalam Salawa-Tullahi Alayk
Ham Milad Wale hein  Ham Milad Wale hein

Nabiyon ke Sultan Aaqa Nabiyon ke Sultan
Khalish Muzaffar wo Karte hein Har Mushkil Asan
Apne Apne Man ki bipta Unko Sunao Milke

Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala
Ya Mustafa Ya Mujtaba Salle-Ala Salle-Ala

"Tala-al Badru Alayna Min Sani Yatil Wadaa"
"Wajaba-Shukru Alayna Mada'a Lillahi Daee"

Popular posts from this blog

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Sabse Ula wa Aala Hamara Nabi Sabse bala wa Wala Hamara Nabi Apne Maula ka Pyara Hamara Nabi Donon Aalam ka Dulha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Lakhon aaye yahan aur lakhon gaye Unche Unche Shahenshah yaha na rahe Kitne diye jale jalke fir buj gaye Kya khabar kitne Taare khile chhup gaye Par na dube na duba Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Jinke Talwon ka dhowan hai Aabe Hayat Hai Wo Jaane Masiha Hamara Nabi Khalk se Auliya Auliya se Rusool Aur Rasoolon se aala Hamara Nabi Kaun deta hai dene ko Munh chahiye Dene wala hai saccha Hamara Nabi Ghamzadon ko Raza Muzda dijiye ke hein Bekason ka Sahara Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa

Shahe Do alam Salam Assalam Lyrics

Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Karo door har gham Salam Assalam Har aankh hoke purnam salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Rabb ne bade pyar se me'raaj mein kaha Rehne do na'layn ko aa jaao mustafa Kadam e Muhammad ko liya arsh ne bosa Jhum uthe sare malaik w marhaba Mange jo nabi rabb ne wo diya Rabb ne jo diya nabi ne wo liya Jhuka arsh e Aazam Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Aap ne jo kar diya ungali ka ishara Chaand do tukde hua kurban ho gaya Jab namaz e asar ali ki hui kaza Aap ne suraj ko dubara palat diya Aap jo kiye mo'ajaze bane Aap jab chale do jahan juke Mera sar bhi hai kham Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Ya nabi ab hind mein mushkil hua jina Nazre karam se hamen bulwayen madina Paas hamare na koi maalo zar hai Mujse badi door madine ka safar hai Der na karo jald

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Hajj ka Sharaf ho fir ata Ya Rabbe Mustafa Meetha Madina fir dikha Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Rukh Soo-e-Kaaba Hath mein Zamzam ka Jaam ho Pee kar karun Mein fir Dua Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Roti rahe jo Har Gadi Ishke Rasool mein Wo Aankh de de Ya Khuda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Mere Maula Karam ho Karam Mere Maula Karam ho Karam De de Tawafe Khana-e-Kaaba ka fir Sharaf Farma Ye Pura Mudd'aa Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Aankhon mein Jalwa Shah ka Aur Lab pe Naat ho Jab Rooh Tan se ho Juda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Firdos mein Pados