Mangata hun mein Tumhara Abdullah Shah Gazi Lyrics
Mangata hun mein Tumhara Abdullah Shah Gazi Kijiye Karam Khudara Abdullah Shah Gazi Ae Wali-e-Karachi Is shaher par karam ho Ye shaher hai Tumhara Abdullah Shah Gazi Ham hein gada Tumhare Qismat pe jumte hei Ye hai sharaf hamara Abdullah Shah Gazi Qadmon se aapke jo chashma ubhal raha hai Hai kitna pyara pyara Abdullah Shah Gazi Dar pe Tumhare aake man ki muradein paayein Jisne Tumhe pukara Abdullah Shah Gazi Haaki ne jo kahi hai ye Manqabat Tumhari Hai faiz ye Tumhara Abdullah Shah Gazi