Posts

Showing posts from March, 2015

Hajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Lyrics

Haajiyon aao Shahenshah ka Roza dekho Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho Rukne Shaami se miti wahshate shaame ghurbat Ab Madine ko chalo sub'he Sil aaraa dekho Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaaee Pyaasein Aao Joode Shahe Kowsar ka bhi Darya dekho Zayre Mizaab mile khoob Karamke chheente Abre Rehmat ka yahan zowar barasnaa dekho Dhoom dekhi hai Dare Kaaba pe betaabon ki Unke Mushtako mein Hasrat ka tadapna dekho Misle parwana phiri karte the jis shama ke gird Apni Us shama ko parwana yahan ka dekho Khoob aankhon se lagaaya he Gilaafe Kaaba Qasre Mehboob ke parde ka bhi Jalwa dekho Wa(n) mutiyo ka jigar khauf se paani paaya ya(n) siyahkaaro ka daaman pe machalna dekho Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho Jinte kaaba me tha laakh aruso ka banav Jalwa-farma yaha kaunain ka dulha dekho Aymane tur ka tha rukne yamani me farog Shola e tur yaha anjuman-aara dekho Mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem Jin pe maa b

Rukh Din Hai Ya Mehre Sama

Rukh Din Hai Ya Mehre Samaa, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Shab Zulf Ya Mushke Khuta, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Mumkin Me Ye Qudrat Kaha, Waajib Me Abdiyat Kaha Haira(n) Hu Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Aalam E Imkaa(n) Ke Shah Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Jaanfiza Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Khursheed Tha Kis Zour Par Kya Badh Ke Chamka Tha Qamar Be-Parda Jab Wo Rukh Hua Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Dar Tha Ki Isyaa(n) Ki Saza Ab Hogi Ya Rouze Jaza Dee Unki Rehmat Ne Sadaa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Koyi Hai Naazo Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar Yaa(n) Hai Faqat Teri Ataa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farmaan E Haq Taala Kiya Shukre Karam Tarse Saza Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Hai Bulbule Rangi RA

Aankhon ka taara naame Muhammed Naat Lyrics

Aankhon ka taara naame Muhammed Dilka ujaala naame Muhammed Puche ga Maula laya hein kya kya Mai ye kahunga naame Muhammad Allah U Akbar rab’bul ulaane Har sheh pe likka naame Muhammed Dault jo chaaho dona jahaan ki Karlo wazifa naame Muhammed Sheda na kyu ho is par musalmaan Rab ko hein pyaara naame Muhammed Salle ala ka sehra sajaakar Dulha banaaya naame Muhammed Paayi muraade donoh jahaan mein Jisne pukaara naame Muhammed Parti durood e doregi hoore Laasha jo lega naame Muhammed Roze qayaamat mizana pul par Dega sahaara naame Muhammed Bera tabaahi mein aagaya hein Dede sahaara naame Muhammed

Tu Hai Vo Gaus Ke Har Gaus Hai Lyrics

Tu Hai Vo Ghaus ke har Ghaus hai shaida Tera Tu Hai Vo Ghais ke Har Ghais hai Pyara Tera  Suraj Aglo Ke Chamakte The Chamak kar Dube Afak-e-Noor Pe hai Maher Hamesha Tera Murg Sab Bolte Hai bol kar chup Rehte Hai Ha Aseel Ek Navasikh Rahega Tera Jo Vali Qabl The Ya baad hue ya honge Sab Adab rakhte hai dil mai mere Aqa Tera Ba Kasam Kehte hai shahan sarifeen v Hareem  Ke hua hai na vali ho koi hamta Tera Tuj se aur dahar ke aktaab se nisbat kesi Kutub khud kau hai khadeem Tera chela Tera Nabavi Zill , Uluvi Burj , Batuli manzil Hasani chand ! Husaini hai ujala Tera Bahar-o-bar , shahar v Kari , sahal v hazan , Dast v chaman Kaun se Chak pe pahunchta nahi Dava Tera Husn Niyyat ho khata fir kabhi karta hi nahi Aazmaya hai yagana hai do ghana tera Maut nazdeek , Ghunaho ki Taheen , Mail ke Khol Aa barsi ja ke naha dhole

Gham Ho Gaye Be Shumar Aqa Nasheed Lyrics

Gham Ho Gaye Be-Shumar Aaqa Banda Tere Nisar Aaqa Bigda Jaata Hai Khail Mera Aqa Aqa Sanvar Aaqa Manjadar  pe Ake Naao dubi De Hath ke hun mein paar Aaqa Tooti  Jaati hai Peeth Meri Lillah ye Boj Utar Aaqa Halka hai Agar Hamara Palla Bhari hai Tera Waqqar Aaqa Majboor hein ham To Fikar kya hai Tum Ko To hai Ikhtiyar Aaqa Mein Door hun  Tum To Ho Mere Paas Sun Lo Meri Pukaar Aaqa Muj sa Koi Gham Zada Na Hoga Tum sa Nahin Gham Ghusar Aaqa Girdaab mein pad gayi hai kashti Dooba Dooba , Utaar Aaqa Tum Wo Ke Karam Ko Naaz Tum Se Mein Wo Ke Badi Ko aar Aaqa Fir Munh Na Pade Kabhi Khazan Ka De De Aesi Bahar Aaqa Jiski Marzi Khuda Na Taale Mera Hai Wo Namdar Aaqa Hai Mulk-e-Khuda Pe Jis Ka Kabza Mera Hai Wo Kamghar Aaqa Soya kiye nabikar bande Roya kiye zaar zaar Aa

Muhammad Mazhar-e-Kameel hai Naat Lyrics

Muhammad Mazgar-e-Kameel Hai Hak Ki Shan-e-Izzat Ka Nazar Aata Hai Is Kasrat Mai Kuchh Andaz Vahadat Ka Yahi hai asal-e-Alam madda Ijaad-e-Khalkat ka Yaha Vahadat mai barpa ha ajab hangama kasrat ka Ghada bhi muntazir hai khuld mai neko ki davat ka Khuda din Khair se Laae sakhi ke ghar ziyafat ka Gunah Magfoor , Dil Roshan , Khank Ankhe , jigar thanda Ta'la Allah ! Mah-e-Tayba Alam Teri Tal'at Ka Na Rakhi Ghul ke josh-e-Husn ne gulshan mai jaa baki Chatakta Fir Kaha Ghincha Koi Bag-e-Risalat ka Bada Ye Silsila Rehmat ka Dor-e-Zalf-e-vala Mai Tasalsul kale kosun reh gaya Isya ki Zulmat ka Safe Matam Uthe , Khali ho zanda , Tuti Zanjeeren Gunahgaro ! Chalo Maula ne dar khola hai jannat ka Sikhaya hai ye kis ghustakh ne Aaeena ko ya Rabb Nazara Tor hoga gardish-e-Chashme Shafa'at Ka Badee is darja mojen Kasrat-e-afzal-vala ki Kinara

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Ye Chamak Ye Damak Ye Faban ye Mahek Lyrics || ये चमक ये दमक , ये फबन ये महक