Muhammad Mazhar-e-Kameel hai Naat Lyrics
Muhammad Mazgar-e-Kameel Hai Hak Ki Shan-e-Izzat Ka
Nazar Aata Hai Is Kasrat Mai Kuchh Andaz Vahadat Ka
Yahi hai asal-e-Alam madda Ijaad-e-Khalkat ka
Yaha Vahadat mai barpa ha ajab hangama kasrat ka
Ghada bhi muntazir hai khuld mai neko ki davat ka
Khuda din Khair se Laae sakhi ke ghar ziyafat ka
Gunah Magfoor , Dil Roshan , Khank Ankhe , jigar thanda
Ta'la Allah ! Mah-e-Tayba Alam Teri Tal'at Ka
Na Rakhi Ghul ke josh-e-Husn ne gulshan mai jaa baki
Chatakta Fir Kaha Ghincha Koi Bag-e-Risalat ka
Bada Ye Silsila Rehmat ka Dor-e-Zalf-e-vala Mai
Tasalsul kale kosun reh gaya Isya ki Zulmat ka
Safe Matam Uthe , Khali ho zanda , Tuti Zanjeeren
Gunahgaro ! Chalo Maula ne dar khola hai jannat ka
Sikhaya hai ye kis ghustakh ne Aaeena ko ya Rabb
Nazara Tor hoga gardish-e-Chashme Shafa'at Ka
Badee is darja mojen Kasrat-e-afzal-vala ki
Kinara mil gaya is nehar se darya-e-vahdat ka
Kham-e-Zalf-e-Nabi Sajid hai Mehrab-e-Do Abroo mai
Ke Ya Rabb Tu hi Vali hai Siya Karan-e-Ummat ka
Madad Ae Joshish-e-Ghirya Bahade koh aur sehra
Nazar Aa Jaae Jalva Be Hijab Us Paak Turbat Ka
Yakii hai vakt-e-jalva lagzishe paae nagha paae
Mile josh-e-Safa-e-Jism se Pabus hazrat ka
Yaha Jhidka namak va marham kafoor haath aaya
Dil-e-Zakhmi namak par vardaa hai kis ki malahat ka
Ilahi Muntazir hu vo kharam naaz farmaey
Bichha rakha hai farsh Ankho ne Kam khvab-e-bisarat ka
Na Ho Aqa Ko Sajda Aadam v Yusuf ko Sajda ho
Magar Sadd-e-Zara-e Daab hai apni Shariyat ka
Zaban-e-Khar kis kis dard se un ko sunaee hai
Tadapta dasht-e-Tayba Mai jighar afghar furkat ka
Sarhane in ke Bismil ke ye Betabi ka maatam hai
Shah-e-Kosar Tarahham tashna jaata hai ziyarat ka
Jinhe Markad mai Ta Hashr Ummati keh kar pukaroge
Hame bhi yaad karlo un mai sadka apni Rehmat ka
RAZA-e-Khasta ! Josh-e-Behr-e-Isyaa se na Ghabrana
Kabhi To Haath aa Jaaega Daman Unki Rehmat ka
Comments
Post a Comment