Posts

Showing posts from December, 2016

Mera Madani Sohna Aa gaya Lyrics

Sohna Aaya te saj gayene Galiyan bazar Sohna Aaya te saj gayene Galiyan bazar Mera Madani Sohna Aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Aake Sare Jag te chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Jidde Aaiyan Sariyan Ronakan ne Jidde naal baharan mehakiyan ne Karman da badal chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Har than khushbuan hulle ne Rehmat de buhe khulle ne Purnoor ujala aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Har pase jashn manayen ne Jado sohne Madani aaye ne Eho Misra dil te chha gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Puri ho gayi dukhiyan di dua Mere dil wich ho gayi hor ziya Meri sawan da wadas aa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya Sohne diya jad-diyan lagiyan ne Ziya Teriyan Moja lagiyan ne Hun Tera wi wad pa gaya Mera Madani Sohna Aa gaya

Karam ka chand utra hai Janabe Aamena ke ghar Lyrics

Aamena ke ghar chand utra hai wo dekho Aamena ke ghar chand utra hai wo dekho Karam ka chand utra hai Janabe Aamena ke ghar Khuda ka noor faila hai Janabe Aamena ke ghar Wo rehbar hai Rasoolon ka wo hai sartaj Nabiyon ka Khuda ne jisko bheja hai Janabe Aamena ke ghar Charage Shab jalane ki zarurat hi nahin padti Muhammad jab se aaya hai Janabe Aamena ke ghar Shabe Jashne Wiladat hai wo Jibraeel ko dekho Mubarak dene betha hai Janabe Aamena ke ghar Ye kiski roshni jati hai neele aasmanon tak Diya ye kaisa jalta hai Janabe Aamena ke ghar Sawere sath lekar kaun aya hai ye Farooqi Ke Shab ko bhi ujala hai Janabe Aamena ke ghar

Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Lyrics

Mustafa Ya Mustafa ..... Mustafa Ya Mustafa Mustafa Ya Mustafa ..... Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Marhaba sad Marhaba Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Badshah-e-Do Jahan Tumsa koi hai kahan Assalam Aye Jaane Jaan... Khub badla hai zamana Mustafa kya aa gaye Har jagah Aamad ka charcha Mustafa kya aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Aaye Mere Mustafa Marhaba sad Marhaba Kharch karta hi rahunga Mehfil-e-Milad par Joli mein hai unka sadqa Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha De rahe hein Ambiya Sare Mubarak-badiyan Isa ta Aadam ka naara Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Kya bigadengi mera Tufan ki tugyaniyan Mein nahin hun besahara Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Mein Gulame Mustafa hun marte marte bolunga Aakhari ye hoga kalema Mustafa kya Aa gaye Mustafa Ya Mustafa Sara Aalam keh utha Aaj bhi sab hein Ujagar Mustafa ke saaye mein Tan gaya hai Shamiyana Mu...

Mangenge Mange jaayenge Munh mangi payenge Lyrics

Mangenge Mange jaayenge Munh mangi payenge Sarkar mein na 'La' hai na hajat 'Agar' ki hai Uff be-hayaiyan ke ye munh aur tere Huzur Haan Tu Kareem hai teri khoo darguzar ki hai Tuj se chhupaun munh to karun kis ke samne Kya aur bhi kisi se tawakko nazar ki hai Kaabe ka naam tak na liya Tayba hi kaha Puchha tha Mujse jisne ke NOHDAT kidhar ki hai Uske tufail Hajj bhi Khuda ne kara diye Asale Murad hazari us paak dar ki hai Sarkar Ham ganwaron mein Tarze Adab kahan Hamko to bas tameez yahi bhik bhar ki hai Itna ajab bulandi-e-Jannat pe kis liye Dekha nahi'n ke bhik ye kis unche ghar ki hai Mangata ka hath uthte hi data ki dayn thi Doori qubulo araz mein bas hath bhar ki hai Sharbat na dein ,na dein , to kare baat lutf se Ye shahed ho to fir kise parwah shakar ki hai

Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha Lyrics

Aap ke kadmon mein aana mera kaam tha Meri bigdi banana Aapka kaam hai Meri aankhon ko hai Deed ki aarazu Rukh se parda uthana Aapka kaam hai Sakiya Jaan qurban Aapke naam par Ho Nigahe Karam Apne khuddam par Chhod di ham ne kashti Aapke naam par Ab kinare lagana Aapka kaam hai Mere Dil pe fakat Aapka Raaj hai Zehan Aankhein Tasawwur ka mohtaj hai Ek Nigahe Karam hi Meri laaj hai Laaj Meri nibhana Aapka kaam hai Puri Sarkar sab ki Tamanna karein Har Sawali ki Aaqa jholi bhare Door Tayba se rote tadapte hein jo Unko dar pe bulana Aapka kaam hai Aapne katre ko dekha gohar kar diya Aapne zarre ko dekha to zarr kar diya Ek habshi ko rashke kama kar diya Unka suraj firana Aapka kaam hai Aapki chokhat kahan aur kahan ye Zabee Aapke judo karam ki to had nahin Jisko Duniya mein na koi Apna kare Usko Apna banana Aapka kaam hai

Nigah-e-Lutf ke Ummidwar ham bhi hein Lyrics

Nigah-e-Lutf ke Ummidwar ham bhi hein Diye hue Dil-e-Be karar ham bhi hein Hamare daste Tamanna ki laaj bhi rakhna Tere Faqeeron mein Aye Shehre Yaar ham bhi hein Tumhari ek Nigah-e-Karam mein sab kuchh hai Pade hue to sare rah-guzar ham bhi hein Jo sar pe rakhne ko mil jaaye Naal-e-Paake Huzur To Fir kahenge ke haa'n Taaj-daar ham bhi hein Ye kis Shahensha-e-Bala ka Sadqa bant'ta hai Khusrawon mein padi hai pukar ham bhi hein Hasan hai jinki Sakhawat ki dhoom aalam mein Unhin ke Tum bhi ho ek reza-khar ham bhi hein

Madina wo Gulzar hai Lyrics

Jahan lut'ti lut khud hai bahar Madina wo Gulzar hai Utarti hai Hooro Malak ki katar Madina wo Gulzar hai Wo Jannat ki Kyari badi pyari pyari Wo Gumbad-e-Khazra Sunehri wo jaali Wo Masjid-e-Nabwi Wo Mehrabo Mimbar Jahan Gunjati hai Azan-e-Bilali Jise dekhne ko hein sab be-karar Madina wo Gulzar hai Agar jaa rahe ho Madine ki janib Aye Apne Muqaddar pe itrane walon Haram ki zameen aur qadam rakhke chalna Are Sar ka Mauka hai oh jaane walon Ye kehta Bareli ka hai Taaj daar Madina wo Gulzar hai Abu Bakr ki hai Sadaqat wahin se Hai Roshan Umar ki Adalat wahin se Hai Usman ki maheki Sakhawat wahin se Ali se Shuja'at ki Shohrat wahin se Chamakte hein har dam jahan Chaar Yaar Madina wo Gulzar hai Jo ban kar kar aaye har Aalam ki Rehmat Hai Imaan ki jaan Unki Mohabbat Wo Qasim-e-Ne'amat wo Malik-e-Jannat Jo Ham aasiyon ki karenge shafa'at Hein rehte hamare jahan Ghamgusar Madina wo Gulzar hai Wo Makke mein aaye to tarikh Barah(12) Madine m...

Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Lyrics

Image
Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Sohna Man-Mohna Mere Aaqa jeya koi nahin Aaqa jeya sohna koi bhi nahin Aaqa jeya sohna koi bhi nahin Aamena de ghar aawan wala sab toh sohna aye Aabh farash nu lawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Zikr Huzur da ral mil kerna ayen Ibadat aye Git Huzur de gawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Maula Ali ne firda Suraj wekh ke farmaya Suraj modh liyawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Paak Nabi de naam te otto wich Madine de Sara maal lutawan wala sab roh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Manzil utte bud'di Maayi pohanchke boli see Mera bhar uthawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Ayenj te lakkha Sohne ne par Nasir Duniya te Rahmat ban ke aawan wala sab toh sohna aye Sohna Man-Mohna...... Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadri

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Juki hui ye jabeen hai, huzoor dekhein na Lyrics / झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Madine ke Aaqa Madine ke Sarwar Salam Lyrics / मदीने के आक़ा ! मदीने के सरवर ! सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Kitna Pyara hai Pyare Muhammad ka naam || कितना प्यारा है प्यारे मुहम्मद का नाम || کتنا پیارا ہے پیارے محمّد نہ نام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو