Bheek ata ae Nabi (SAW) Muhatasham ho,

Bheek ‘ata ae Nabi Muhatasham ho,
Meray Aaqa nigah e karam ho.

Deed ka hun talab gaar Aqa (SAW),
hun agar che gunah gaar Aaqa (SAW),
Ik jhalak apni Sarkar Aaqa (SAW),
Aab dikha do na ik baar Aaqa (SAW),
Iss gunah gaar par bhi karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigahe karam ho.

Choot jaye gunahon ki aadat,
Rab (SWT) ki dil se karoon mein ibadat,
Aisi kar de tu nazr e inayat,
Bas tere gham main maah e risalat,
Dil tarapta rahe aankh nam ho,
Meray Aaqa (SAW) nigahe karam ho.

Hai tamanna meri mere dilbar,
Dekh lun kash har saal aa kar,
Teri masjid kay mehraab o minbar,
Aur roze ka pur kaif manzar,
Phir bayan haal ba chashm e nam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Yaad aata hai mujh ko woh manzar,
Jab chala tha Madine se dilbar,
Muztarib qalb tha aankh thi tar,
Us ghari ‘arz ye thi zabaan par,
Baar baar aaoon aisa karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.
\
Hai yaqeen ‘arz meri suno ge,
Laaj Lajpaal meri rakho ge,
Rahmatein khaas apni karo ge,
Aaj daman mera bhi bharo ge,
Ya Nabi (SAW) taajdaar e haram ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Arz karta Obaid e Raza hai,
Jo tere dar ka adna gada hai,
Mushkilon mein shaha ye ghira hai,
Tujh se imdad yeh chahta hai,
Door iska har ik runj o ghum ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu