Ae Chara Gare Shauq Koi Aisi Dawa De
Ae Chara Gare Shauq Koi Aisi Dawa De
Jo Dil Se Har Ek Gair Ki Chahat Ko Bhula De
Bas Dekh Liya Duniya Ke Rishton Ka Tamasha
Maqlooq Se Umeed Ke Sab Deep Buja De
Pakiza Tamannaein Bhi Lati Hai Udasi
Har Zauq Talab Shauq Tamanna Hi Mita De
De Lazzate Dedar Ki Behoshi Main Wo Hosh
Jo Hasti Tarifo TaAayyun Ko Gawa De
Ik Main Hoon Faqath Tu Ho Aur Aalam-E-Hoo Ho
Ae Husn-E-Aazal Sare Hijabath Utha De
Main Khud Ko Bhi Khud Apne Se Phir Doond Na Paon
Yun Aatishai Sozaan Se Meri Raaq Jala De
Hoon Tere Hijabath Ki Dehleez Pe Kab Se
Ek Bar Zara Dekh Le Ek Parda Hata De
Sou Bar Bulaya Tujhe Sou Bar Sataya
Tu Bhi To Kabhi Raat Ko Mil Chupke Nida De
Khud Dekh Le Tu Soya Hai Main Jag Raha Hoon
Tu Bhi To Kabhi Meri Wafaon Ka Sila De
Bas Ek Hi Surath Hai Idhar Unki Nazar Ki
Juz Unke Har Ek Yaad Har Ik Baat Bhula De
Kyun Hook Si Uthti Hai DIl-E-Zaar Se Tahir
Is Basti-E-Viraan Ke Khashokhashath Jala De
Comments
Post a Comment