Al-Baqrah : Ruku'a 2 (Ayat 8-20)

(8)

(Roman-Urdu)
Aur Kuchh log kehte hein , Ke Ham Allah aur pichhle din par Imaan laye , Aur wo Imaan wale nahin .
(English)
 And some people say, 'have believed in Allah and the Last Day'; yet they are not believers.

(9)

(Roman-Urdu)
Fareb diya chahte hein Allah aur Imaan walon ko , Aur Hakikat mein fareb nahin dete magar Apni Jaano'n ko aur Unhein Shaoor nahin .

(English)
 They seek to deceive Allah and the believers, and in fact they deceive not but their own souls, and they perceive not.

(10)

(Roman-Urdu)
Unke Dilon mein bimari hai , To Allah ne unki bimari aur badhayi , Aur unke liye dardnak azab hai , badla unke jhut ka .

(English)
 In their hearts is a disease, so Allah has increased their disease and for them is a painful torment, the recompense of their lies. 

(11)

(Roman-Urdu)
Aur jab unse kaha jaye zameen mein fasad na karo , To kehte hein 'Ham to sanwarne wale hein '.

(English)
 And when it is said to them, create not disorder on the earth; they say, 'we are but reformists'.

 (12)

(Roman-Urdu)
Sunta hai wahi fasadi hein , Magar unhein Shaoor nahin .

(English)
 Beware! It is they who are the mischief-makers, but they perceive not.

(13)

(Roman-Urdu)
Aur jab unse kaha jaye ke 'Imaan lao  , Jaise aur lo Imaan laye hein ' , To kehein 'Kya ham ahemakon ki tarha Imaan le aayein ?', Sunta hai wahi ahemak hein, Magar jante nahin .

(English)
 And when it is said to them 'believe as others have believed', they say, 'shall we believe as fools believed', Beware! It is they who are the fools, but, they do not know.

(14)

(Roman-Urdu)
Aur jab Imaan-walon se milein to kahein 'Ham Imaan laye' Aur jab Apne Shaitanon ke paas akele ho'n , to kahein 'Ham Tumhare sath hein , Ham to yunhi hansi kate hein '.

(English)
 And when they meet believers, they say, 'we believed', and when they are alone with their devils, they say, 'We are with you, we are only mocking'.

(15)

(Roman-Urdu)
Allah unse Istehaza farmata hai (Jaisa Uski Shan ke layik hai) , Aur unhe dheel deta hai ke Apni sarkashi mein bhatakte rahein .

(Ensglish)
 Allah mocks at them (Befitting His Dignity) and leaves them to wander about in their contumacy. 

(16)

(Roman-Urdu)
Ye wo log hein jinhone Hidayat ke badle gumrahi kharidi , To unka soda kuchh nafaa na laya , aur wo sode ki rah jante hi na the .

(English)
 They are those people who purchased error for guidance but their trade earned them no profit, and they indeed knew not the way of trading. 

(17)

(Roman-Urdu)
Unki kahawat uski tarah hai jisne aag roshan ki , To jab uske aas-paas sab jag-maga utha , Allah Unka Noor le gaya aur Unhe andheriyon mein chhod diya , ke kuchh nahin sujta .

(English)
 Their example is like the one who kindled a fire, so when it lit up all around him, Allah took away their light and left them in darkness where nothing is seen. 

(18)

(Roman-Urdu)
Bahere , Ghunge , Andhe , To wo fir aane wale nahin .

(English)
 Deaf, Dumb, blind, so they are not to return. 

(19)

(Roman-Urdu)
Ya jaise Aasman se utarta pani , ke isme andheriyan hein , aur garaj aur chamak , Apne kanon mein ungliyan thuns rahe hein kadak ke sabab , maut ke dar se , Aur Allah kafiron ko gere hue hai .

(English)
 Or like a rain pouring from the sky, wherein is darkness and thunder and lightning, they thrust fingers in their ears because of the thunderclaps, for fear of death and Allah has encompassed the disbelievers.

(20)

(Roman-Urdu)
Bijli yun malum hoti hai ke inki nigahein uchak le jayegi , Jab kuchh chamak hui usme chalne lage , Au jab andhera hua khade rah gaye , Aur Allah chahta to unke kaan aur aankhein le jata , Behsak Allah sab kuchh kar sakta hai .

(English)
 It so seems that the lightning would snatch away their sights whenever there is some flashing they walk therein and when it is dark, they stand still, and if Allah willed, He would have taken away their ears and sights, surely Allah can do everything.


   << Previous Ruku'a (1)                                                                                           Next Ruku'a (3) >>

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ