Al-Baqrah : Ruku'a 3 (Ayat 21-29)


(21)

(Roman-Urdu)
Aye Logo'n ! Apne Rabb ko pujo , Jisne Tumhe aur Tum se aglo'n ko payda kiya , Ye ummid karte hue ke Tumhe Hidayat mile .

(English)
 O, mankind! Worship your Lord Who has created you and those before you, haply you may become pious.

(22)

(Roman-Urdu)
Jisne Tumhare liye Zameen ko bichhona  aur aasman ko imarat banaya , Aur Aasman se pani utara , To us se kuchh phal nikale , Tumhare khane ko , To Allah ke liye janbuj kar barabar wale na thehrao .

(English)
 And Who made the earth a bed for you, and the sky a structure and caused water to come down from heaven hence brought forth therewith some fruits for your food, therefore do not set up equals for Allah knowingly. 

(23)

(Roman-Urdu)
Aur agar Tumhe kuchh shak ho us me jo Hamne Apne (Is khas) bande par utara , To is jaisi ek surat to le aao ,  Aur Allah ke siwa Apne sab himayato'n ko bula lo , Agar Tum sacche ho .

(English)
 And if you are in some doubt, concerning what We sent down upon Our special devotee, then bring one chapter like it, and call upon all your helpers besides Allah, if you are truthful.

(24)

(Roman-Urdu)
 Fir agar na la sako , Aur Ham farmaye dete hein ke hargiz na la sakoge , To daro us aag se jis ka indhan aadmi aur patthar hein , Tayyar rakhi hui hai Kafiron ke liye .

(English)
 Then if you cannot bring and We declare that you can never bring, hence dread the fire whose fuel is men and stones; it is prepared for the disbelievers.

(25)

(Roman-Urdu)
Aur Khush-khabri de unhe jo Imaan laye , Aur acchh kam kiye , Ke unke liye baag hein jinke niche nehrein rawa , Jab unhe Un baagon se phal khane ko diya jayega , surat dekh kar kahenge , ye to wahi rizq hai jo hame pahele mila tha , aur wo milta julta unhe diya gaya , Aur unke liye un bago'n mein suthri biwiya'n hein , Aur wo un mein hamesha raheinge .

(English)
 And give glad tidings to those who accepted faith and did good deeds, that for them there are gardens under which flow streams. Whenever they would be provided with a fruit to eat, they would say seeing its shape this is the same subsistance which we got before and that was given to them resembling in shape, and for them there are pure mates and therein they will abide for ever.

(26)

(Roman-Urdu)
Beshak , Allah is se haya nahin farmata ke misal samjane ko kaisi hi chiz ka zikr farmaye , Macchhar ho ya us se badh kar , To Wo jo Imaan laye Wo to jante hein ke ye Unke Rabb ki taraf se haq hai , Rahe Kafir Wo kehte hein 'Aesi kahawat mein Allah ka kya maqsud hai ' , Allah behtaron ko is se gumrah karta hai , Aur behtaron ko hidayat farmata hai , Aur is se unhe gumrah karta hai jo be-hukm hein .

(English)
 Surely, Allah is not ashamed of describing any thing for illustration, be it a gnat or above it, hence those who accepted faith, they know that it is the truth from their Lord, and those who are disbelievers, they say, "What does Allah mean by such a similitude". Allah sends astray many by it and guides many and sends astray those by it who are disobedient

(27)

(Roman-Urdu)
Wo Jo Allah ke ahad ko tod dete hein , Pakka hone ke baad , Aur kat-te hein us cheez ko jise Allah ne jodne ka hukm diya hai , Aur Zameen mein fasad failate hein , Wahi nuksan mein hein .

(English)
 Those who break the covenant of Allah after its confirmation and sever that which Allah ordered to join and spread disorder in the earth, they are the only losers. 

(28)

(Roman-Urdu)
Bhal , Tum kyunkar Khuda ke munkir ho gaye , Halanki , Tum Murda the Usne Tumhe jilaya , Fir Tumhe marega , Fir jilayega , Fir usi ki taraf palat kar jaoge .

(English)
 How you will disbelieve in Allah, whereas, you were dead, He gave you life, then will cause you to die then again will give you life, then towards Him you will return. 

(29)

(Roman-Urdu)
Wahi hai jisne Tumhare liye banaya Jo kuchh Zameen mein hai , Fir aasman ki taraf istewa (kasad) farmaya , To theek saat(7)  Aasman banaye , Wo sab kuchh janta hai .

(English)
 He it is Who created for you all that is in the earth, then turned toward the heaven, then formed seven heavens correctly and He knows all and every thing. 


Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Maslak ka Tu Imaam hai Ilyas Qadri Lyrics || मसलक का तु इमाम है , इल्यास क़ादरी || مسلک کا تو امام ہے ، الیاس قادری || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu