Maqsad e aalam e hayaat e nabi
Maqsad e aalam e hayaat e nabi
Gar khuda chahta “ na ” kya hotey?
Wo they pyare, hain, rahengey rab ke
Ummati hum na unke kabhi pyarey hotey
Gar khuda chahta “ na ” kya hotey?
Wo they pyare, hain, rahengey rab ke
Ummati hum na unke kabhi pyarey hotey
Bijli suraj sitarey chanda nahi
Jugnoo aatish na sham’aa or charag
sadqa e noor ke ye sadqey hain
Na agar hotey nabi to na ye sarey hotey
Jugnoo aatish na sham’aa or charag
sadqa e noor ke ye sadqey hain
Na agar hotey nabi to na ye sarey hotey
Ye khalaq khwahishein hi kyun karta
Ye falaq baarishein hi kyun karta
Koi saani hi kis ka kyun hota
Wo jo saaya hi siron pe na hamare hotey
Ye falaq baarishein hi kyun karta
Koi saani hi kis ka kyun hota
Wo jo saaya hi siron pe na hamare hotey
Martabon me wo sab se aala hain
Wo jo mere huzur e vaala hain
Saari duniya jahan sawal karey
Dar jo hota na muqaddas to laaley hotey
Wo jo mere huzur e vaala hain
Saari duniya jahan sawal karey
Dar jo hota na muqaddas to laaley hotey
Paar us arsh ke rasai teri
Tootey dil hi to hain kamai teri
Hon fida kyun na sab tere aye habeeb
Tum se hai apna vajood or kahan ke hotey
Tootey dil hi to hain kamai teri
Hon fida kyun na sab tere aye habeeb
Tum se hai apna vajood or kahan ke hotey
Mominon khoob padho un pe darood
Or bhejo salaam un pe ke wo
Jo humein hashr me jeelayengey
Saamne rab ke wo rotey rotey
Or bhejo salaam un pe ke wo
Jo humein hashr me jeelayengey
Saamne rab ke wo rotey rotey
Rehmat e do jahan ho tum aaqa
Kyun na ho naazan qismat e ‘ Mehboob ‘
Tere tukdon pe paley hain ab tak
Gar na hotey to kahan pair pasare hotey
Kyun na ho naazan qismat e ‘ Mehboob ‘
Tere tukdon pe paley hain ab tak
Gar na hotey to kahan pair pasare hotey
Comments
Post a Comment