Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
Chalo diyaar-e-nabi ki jaanib durood lab par saja saja kar
Bahaaren lutainge ham karam ki dilo ko daman bana bana kar
Na un ke jesa sakhi hei koii na un ke jesa ghani hei koii
Wo be-nawa-o ko har jaga se nawaazte hein bula bula kar
Mein wo nikamma hun jisski jholi main koi husn-e-amal nahi he
Magar wo ehsaan kar rahe hein khatain meri chhupa chhupa kar
He unko ummat se pyaar itna karam hei rahmat sha’aar itna
Hamaare jurmon ko dho rahe hein wo apne aansu baha baha kar
Yahi asaas-e-amal hei meri issi se bigri bani hei meri
Samett-ta hun karam khuda ka nabi ki naatain suna suna kar
Wo raahain ab tak saji hui hein dilon ka kaaba bani hui hein
Jahaan jahaan se huzur guzre hein naqsh apna jama jama kar
Agar muqaddar ne yaawri ki agar madine gya mein Khaalid
Qadam qadam khaak uss gali ki mein chuum lun ga uttha uttha kar
Comments
Post a Comment