Al-Baqrah : Ruku'a 6 (Ayat 47-59)


(47)

(Urdu-Roman)
 Aye Aulade Yaqoob ! Yaad karo Mera Wo ahesan jo Meine Tum par kiya aur ye ke is sare zamane par Tumhe badhai di .

(English)
 O Children of Yaqoob ! recall My that favour, which I bestowed upon you, and exalted you over the entire world in your time.

(48)

(Udu-Roman)
Aur Daro Us Din se Jis Din Koi Jaan Dusre ka badla na ho sakegi , Aur na Kafir ke liye koi sifarish mani jayegi , Aur na kuchh le kar us ki Jaan chhodi jayegi , aur na Unki madad ho .

(English)
 And fear the day, when no soul shall be a substitute for another, and not any Intercession be accepted for the infidels and nor his soul be freed for any compensation and nor shall they be helped.

(49)

(Urdu-Roman)
Aur Yaad karo Jab Hamne Tumko Fir'on walon se Najat bakhshi , Ke Tum par bura Azab karte the , Tumhare beton ko zabah karte Aur Tumhari betiyon ko zinda rakhte , Aur is mein Tumhare Rabb ki taraf se badhi bala thi ya bada in'aam .

(English)
 And recall when We delivered you from the Pharaoh's people that afflicted you with grievous torment, slaughtering your sons and keeping your daughters alive and in this there was a great trial or great reward from your Lord.

(50)

(Urdu-Roman)
Aur Jab Hamne Tumhare liye dariya faad diya , To Tumhe bacha liya aur Fir'on walon ko Tumhari aankhon ke samne dubo diya .

(English)
 And when We divided the river for you, then saved you and drowned pharaohs, people before your eyes.

(51)

(Urdu-Roman)
Aur jab Hamne Musa se chalis(40) raat ka wa'da farmaya , Fir Us ke pichhe Tumne bachhde ki puja shuru kardi , Aur Tum zalim the .

(English)
 And We made a promise of forty night with Moses, then after him, you began worshiping a calf and you were unjust.

(52)

(Urdu-Roman)
Fir Us ke baad Hamne Tumhe muaafi di , Ke Kahin Tum ahesan mano .

(English)
 Then We pardoned you after that, so that you might be grateful. 

(53)

(Urdu-Roman)
Aur Jab Hamne Musa ko Kitab ata ki aur Haq wa Batil mein Tameez kar diya ke kahin Tum rah par aao .

(English)
 And when We gave the Book to Moses and Criterion to judge between right and wrong, so that you might be on right path.

(54)

(Urdu-Roman)
Aur Jab Musa ne Apni Kaum se kaha 'Aye Meri Kaum ! Tumne bachhda bana kar Apni jaanon par zulm kiya , To Apne paida karne wale ki taraf ruju'a lao , To Aapas mein ek dusre ko qatl karo , Ye Tumhare paida karne wale ke nazdik Tumhare liye behtar hai , To Usne Tuhari Tauba qubul ki , Beshak wahi hai bahot Tauba qubul karne wala ' .

(English)
 And when Moses said to his people, "O my people, you have done injustice to your souls by taking the Calf, turn therefore towards your Creator then kill among-st yourselves each other. That is better for you with your Creator, so He accepted your penitence. Surely, He is alone the most Relenting, Merciful.

(55)

(Urdu-Roman)
Aur jab Tumne kaha 'Aye Musa ! Ham hargiz Tumhara yakeen na layenge , Jab tak aelaniya Khuda ko na dekh lein ', To Tumhe kadak ne aa liya , aur Tum dekh rahe the .

(English)
 And when you said, "O Moses, we shall never believe you until we see Allah manifestly", then the thunderbolt overtook you, while you were looking.

(56)

(Urdu-Roman)
Fir mare , pichhe Hamne Tumhe zinda kiya , ke Tum Ahesan mano .

(English)
 Then We made you alive after your death, so that you might be grateful. 

(57)

(Urdu-Roman)
Aur Hamne Abar ko Tumhara Sayeban kiya , Aur Tum par Mann aur Salwa utara , Khao Hamari di hui suthri chizein , Aur Unhone kuchh Hamara na bigada , Haan Apni hi jaanon ka bigad karte the .

(English)
 And We made cloud your shade and sent down on you Manna and Salwa, eat of Our good things, provided by Us, and they did no harm to Us, yes they had harmed their own souls.

(58)

(Urdu-Roman)
Aur jab Hamne Farmaya , 'Is basti mein jaao , Fir is mein jahan chaho be-rok-tok khao , aur darwaza mein Sajda karte dakhil ho , aur kaho 'Hamare Gunah Muaf hon ' , Ham Tumhari khataein bakhsh denge , Aur kareeb hai ke neki walon ko aur ziyada dein .'

(English)
 And when We said, "Go into this town, then eat freely there from wherever you will, and enter the gate prostrating and say, 'forgive our sins', We shall forgive your sins and it is possible that more be given to the right doers.

(59)

(Urdu-Roman)
To Zalimon ne aur baat badal di , Jo Farmayi gayi thi is ke siwa , To Hamne Aasman se Un par Azab uatara , Badla Unki be-hukmi ka .

(English)
 Then the unjust changed the words besides that which had been told, so We sent down upon them a scourge from heaven, in lieu of their disobedience.

Comments

  1. Road to Makkah is providing a complete package for your memorable journey of Hajj this year. So, choose your desired Low Cost Hajj Packages now before it is taken by someone else.

    ReplyDelete

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ