Posts

Showing posts from October, 2016

Izn-e-Tayba Muje Sarkar-e-Madina dedo Lyrics

Izn-e-Tayba Muje Sarkar-e-Madina dedo Le Chale Mujko Jo Tayba wo Safina dedo Yaad-e-Tayba mein tadapne ka Kareena dedo Chashme Tar Soze Jigar Shahe Madina dedo Chaar Yaaron ka Tujhe Wasita deta hun Shaha Apna Gham Mujko Shahensha-e-Madina dedo Sadka Shahzadi-e-Kaunain ka Pyare Aaqa Mujko dedo Mere Sarkar-e-Madina dedo Wakt-e-Akhir hai chali jaan Rasool-e-Akram Ik Jalak Apni Shahensha-e-Madina dedo Kasrat-e-Maal ki aadat se bacha kar Aaqa Apne Attar ko ulfat ka khazina dedo

Qaseeda-e-Zainul Aabidin

Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Allah Ya Sayyidi Irhamlana Ya Sayyidi Irhamlana   Innal Tiyari Hassaba Yawman Ila Aradil Haram Ballig Salami Rawdatan Fihan-Nabiyul Muhtaram Manwaj-hu hu Shamsu-dduha   Man Khadduhu Badru-dduja Man Zatuhu Noorul Huda Man Kaffuhu Bahrul Hamam Qur'aanu hu Burhanu na Naskhan li Adyanimm'datat Izz Jaa ana ahkamu-hu Kullu Suhufe-ssarul Adam Ya Laytani Kuntu  Kamany-yattabe'a Nabiyyan Aaleman Yawman w Laylan daeeman Warzuq Kazali Bil Karam Ak'baduna Majruhatun Min Sayfi Hijril Mustafa  Tuba L'ahli Baldatin  Fihin'nabiyul Muhtasham  Ya Rehmatullil Aalamin Ant Shafee'ul Muznibin Akrim Lana Yawmal Hazeen Fadlanw wa Judanw wal Karam Ya Rehmatullil Aalamin Adrik li Zaynil Aabidin Mahdusi Aydiz-Zalimin Fil Mawkabi Wal Muzdaham      

Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya Lyrics

Image
Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek katra nahin Tauheed ke pyase ke liye Band hai naher Muhammad ke nawase ke liye Khune Shabbir se mehnga hua bartar pani Kaun de Aabide Bimar ko la kar pani Sakee-e-Kausar o Tasneem hai jiska nana Karbala mein hai wahi Teen dinon ka pyasa Badla Laeen Tune kis jurm ka liya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Mashk thame hue Abbas Alamdar chale Naher ki simt wo pani ke talabgar chale Lashkare Shimr ne ki Teeron ki barish itni Ho gaye Hazrate Abbas ke bazu chhalli Ae sitamgar tera is par bhi kaleja na hila Haae Nanhi si Sakina ko bhi pani na diya Ye charkh kya karega sitam tune jo kiya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya hai Pyas bete ki jo dekhi to hua dil be-chain Aaye Asgar ko uthaye hue godi mein Husain Haae zulm ke paani teri ye be-rehmi Kar diya teer se nanha sa kaleja zakhmi Z...

Aapsa Donon Jahan mein nazar aaya hi nahin Lyrics

Aapsa Donon Jahan mein nazar aaya hi nahin Kyunke Allah ne Koi aur banaya hi nahin Aapne jab se nawaza hai Ya Rasulallah Meine daman kisi chokhat pe bichhaya hi nahin Jab kaha qabr mein Sarkar ne ye Mera hai Fir Nakiron ne muje hath lagaya hi nahin Aap ki naat hi Shehzad ka sarmaya hai Is nikamme ne to kuchh aur kamaya hi nahin Kyunke Allah ne Koi aur banaya hi nahin

Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye

Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye Sham'a-e-Rushdo Hidayat Chale Aaeeye Paikar-e-Ilmo Hikmat Chale Aaeeye Suni Suni si hai Bazm-e-Ahle Sunan Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye Baag-e-Siddk-e-Akbar ke shadab ghul Tajdar-e-Wajahat Chale Aaeeye Tere Jaane se mehfil ki ronak gayee Rashke Husno Malahat Chale Aaeeye Tarjuman-e-Ali wo Raza kya gaya Gham mein dubi hai ummat chale Aaeeye Hurrat-e-Haidari Tera Shewa raha Ae Mere Sher-e-Sunnat chale Aaeeye Puri duniya ki Mirzaiyat ke liye Fir se ban kar Qayamat chale Aaeeye Bhigi palkon se Hazrat Anas ne kaha Meri Jaan Meri Izzat Chale Aaeeye Tere At'har ki khwahish hai itni si bas Khwab mein ho ziyarat Chale Aaeeye Qaeed-e-Ahle Sunnat Chale Aaeeye Sham'a-e-Rushdo Hidayat Chale Aaeeye Paikar-e-Ilmo Hikmat Chale Aaeeye

Mein Husain Hun Mein Husain Hun Lyrics

Pisre Shahe Kaunain hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun Zahra ka noor-e-a'yan hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun Kisne kaha ke mein aam hun Mein Imame ibne Imam hun Mein Hurmat-e-Haramain hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun Nana mera Shahe Zaman Baba mera Khaibar Shikan In do ke mein ma'bayn hun Mein Husain Hun  Mein Husain Hun

Mera Badshah Husain hai Lyrics

Shah Ast Husain Badshah Ast Husain Deen Ast Husain Deen panah Ast Husain Sar daad na daad dast dar dast-e-yazeed Hakkake binae Lailaha Ast Husain Ye baat kis kadar haseen Jo keh gaye Mueenuddin Ke deen ki panah Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Aman ka mehromah bhi Jo shahon ka hai shah bhi Aesa Badshah Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Kare koi jo hamsaree Kisi ki kya majal hai Husain har lihaz se Jahan mein be-misal hai Ye ho chuka hai faisala Na koi dusra Hasan Na koi dusra Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Hidayat-e-Husain par Amal karo ae Mo'minon Rahenge ham bahisht mein Yakeen rakho ae Mo'minon Kubul hogi har Dua Kisi se kyun darein bhala Hamara wasta Husain hai Mera Husain hai Mera Badshah Husain hai Duaon mein Nidaon mein Jo wasta ise banaega Bahisht ki jo rahon ka  Rasta ise banaega Na waste mein tod hai Na raste mein mod hai Esi sidhi rah Husain hai Mera Hus...

Pushton se mein naseer hun mangata Husain ka Lyrics

Pushton se mein naseer hun mangata Husain ka Wirse mein maine paya hai sadka Husain ka Nabiyon ki roze hashr ye farmaishen na hon Azan ho Bilal ki Sajda Husain ka Iska subut de diya Asgar ki jang ne  Sheron ka Sher hota hai bacha Husain ka Maidan-e-Hashr ki muje kya fikr ho Naseer Bhari hamesha raheta hai palda Husain ka

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Image
Mere Hussain Salam Mere Hussain Salam Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Hussain Ibn e Ali ne karbala me Sar kataya hai Mere Hussain Salam Mere Hussain Salam Madine me hue shaban me laal e ali paida Ke bibi Fatima ki god me ek chand birudra Ali o fatima ke fool ye hasanain the pyare Rasulallah ki ankhon ki ye dono hi the taare Nabi ko thi khabar ye deen par sab kuchh lutaenge Hussain ek roz jaake karbala me sar kataenge Nabi ne chumke dar dar yahi unse kaha aksar Mere bache na gabrana ke chalna ispe hai khanjar Kiya vaada jo bachpan me use ese nibhaya hai Hussain Ibn e Ali ne karbala me ghar lutaya hai Hussain Ibn e Ali ne karbala me Sar kataya hai Khuda ko bhi nabi ke ladalon se pyar tha itna Ke inke vaste kapdon ka joda khuld se bheja Vo shahzade hai jinki valida khatun e jannat hai Ameerul mo'aminin valid shahensha e vilayat hai Ke pyare nana rehmate alam ka pyara sath jab chhuta Hussain ibn e Ali ka kafila jab karbala aya Ye din tha d...

Meri baat ban gayi hai Teri baat karte karte Lyrics

Meri baat ban gayi hai  Teri baat karte karte Tere shaher mein mey aaun Teri naat padte padte Tere ishq ki badolat Muje zindagi mili hai Mere paas bhi hai aayi Meri maut darte darte Kisi cheez ki talab hai Na hai aarazu bhi koi Tune itna bhar diya hai Kashkol bharte bharte Mere sune sune ghar ko Kabhi ronakein ata kar Mein deewana ho gaya hun Teri raah takte takte Mein na jaaunga oh darbaab Kabhi chhod kar ye galiyan Ke mey pahundha hun yahan par Mere yaar marte marte

Panjatan ke gharane ki kya baat hai Lyrics

Panjatan ke gharane ki kya baat hai Panjatan ke gharane ki kya baat hai Ibne Haidar ne dushman ko ruswa kiya Panjatan ke gharane ki kya baat hai Deke sar deen ko firse zinda kiya Panjatan ke gharane ki kya baat hai Ya Husain ibne Haidar karam kijiye Fir se aesa Mujaheed ata kijiye Kar de fitnon ka duniyan se jo khatema Panjatan ke gharane ki kya baat hai Mera Abbas jo ke Alamdar hai Zakhm hai pyas hai fir bhi Sardar hai Zakhm khaye hein fir bhi na shikwa kiya Panjatan ke gharane ki kya baat hai Wo shabi-e-Nabi Akbar-e-naujawan Jinke zakhmon pe roye Zameen Aasman Karbala ki zameen pe jo kurbaan hua Panjatan ke gharane ki kya baat hai Naaz Furqan nisbat pe apni karo Unki ta'zeem har aan karte raho Kaam aayega maheshar mein ye waseta Panjatan ke gharane ki kya baat hai

Ali Ali Hardam Ali Ali by Owais Qadry Lyrics

Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Siddiq ka dilbar Haidar Haidar Farooq ka pyara Haidar Haidar Usmaan ka dulara Haidar Haidar Ham sab ka pyara Haidar Haidar Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Ahle nazar ki aankh ka taara Ali Ali Ahle wafa ke dil ka sahara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Rehmat ne le liya muje aagosh-e-noor mein Meine kabhi jo ro ke pukara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Ek kaif ek suroor sa rehta hai raat din Jab se hua hai wird hamara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Duniya mein sab se aa'li gharane ke noor ho Is waste hai naam Tumhara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali Aazam ye magfirat ki sanad hai hamare paas Ham hein Ali ke aur Hamara Ali Ali Ali Ali damdam Ali Ali Ali Ali Hardam Ali Ali

Baag Jannat ke hein baher-e-Mad'ha khwane Ahle bait Lyrics

Baag Jannat ke hein baher-e-Mad'ha khwane Ahle bait Tumko muzda naar ka ae dushmanan-e-Ahle bait Kis zaban se ho bayan Izzo Shaane Ahle bait Mad'hago e Mustafa hai Mad'ha khwane Ahle bait Unki paaki ka khuda e paak karta hai bayaan Aaya-e-Tat'heer se zaheer hai shaane Ahle bait Mustafa izzat badhane ke liye Tazeem dein Hein buland Iqbal tera doodh maane Ahle bait Apna sauda bech kar bazar suna kar gaye Kaun si basti basai Taajiran e Ahle bait Ramz ka maidaan bana hai Jalwagah e husno ishq Karbala mein ho raha hai intehane Ahle bait Fool zakhmon ke khilaye hein hawa-e-dost ne Khoon se sincha gaya hai gulsitane Ahle bait Hoorein karti hein Aroosane shahadat ka singar Khubroo dul'ha bana hai har jawan e Ahle bait Jumma ka din hai kitabein zist ki tay kar ke aaj Khel te hein jaan par shehzad-gane Ahle bait Ae shabab-e-fasle ghul Ye chal gayee kesi hawa Kat raha hai leh-lahata bustan-e-Ahle bait Kis shaqee ki hai hukumat haay...

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Labbayk Allahumma Labbayk Nasheed / लब्बैक अल्लाहुम्मा लब्बैक / لبّیک اللّٰھم لبّیک / Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein || क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में || Lyrics Full

Are Hajiyo Tum Haram ja rahe ho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Usman e gani Mankabat By hafiz Tahir Qadry Lyrics

Juki hui ye jabeen hai, huzoor dekhein na Lyrics / झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics