Al-Baqrah : Ruku'a 10 (Ayat 87-96)

(87)

(Roman-Urdu)
Aur Beshak Hamne Musa ko Kitab ata ki , Aur iske ba'd Pe-Darpe Rasool bheje , Aur Hamne Isa Bin Mariyam ko khuli nishaniyan ata farmaeen , Aur Paak Rooh se Uski madad ki , To Kya Jab Tumhare paas Koi Rasool Wo lekar aaye , Jo Tumhare Nafs ki khwahish nahin , takabbur karte ho , To Un mein ek Giroh ko Tum jutlate ho , Aur Ek Giroh ko Shahid karte ho .

(English)
 And verily, We gave Moses the Book and after him sent the Messengers one after another, repeatedly, and gave clear signs to Jesus son of Mary and helped him with the Holy Spirit. Then, do you grow arrogant, when any Messenger came to you with what your soul desire not? So belie you a group of them (Prophets) and slay another group.

(88)

(Roman-Urdu)
Aur Yahudi bole 'Hamare Dilon par Parde pade hein ' , Balki Allah ne Unpar lanat ki Unke kufr ke sabab , To Unme Thode Imaan late hein .

(English)
 The Jews said, "our hearts are wrapped with covers, Nay Allah cursed them because of their blasphemy, so little of them accept faith. 

(89)

(Roman-Urdu)
Aur Jab Inke paas Allah ki Wo Qitab aayi , Jo Inke Sath wali Qitab ki tasdeeq farmati hai , Aur Is se pahele Isi Nabi ke Wasile se kafiron par fatah mangte the , To Jab tashreef laya Unke paas Wo Jana pahechana , Is se munkir ho bethe , To Allah ki lanat Munkiron par 

(English)
 And when there came to them, that Book (Quran) of Allah, which confirms the Book (Taurat) with them, and before that they were asking for victory over the infidels by means of the same prophet. Then, when came to them that known and recognized one, they rejected him. So Allah's curse on those who reject.

(90)

(Roman-Urdu)
Kis Bure Molon(price) , Unhone Apni Jaanon ko kharida , Ke Allah ke Utare se Munkir ho , Iski Jalan se ke Allah Apne fazal se , apne Jis Bande par chahe wahi utare , To gazab par gazab ke sazawar hue , Aur Kafiron ke liye zillat ka azab hai .

(English)
 They sold their souls, for what a miserable price that they deny what Allah has sent down, with this jealousy that, Allah of His grace send revelation on whomsoever of His devotees He pleases. Thus they became worthy of wrath upon wrath and there is humiliating torment for the infidels. 

(91)

(Roman-Urdu)
Aur Jab Unse kaha jaye ke ' Allah ke Utare par Imaan lao ' , To kehte hein 'Wo Jo Ham par utra us par Imaan late hein , Aur baki se munkir hote hein , Halanki Wo haq hai Inke paas wale ki tasdeeq farmata hua , Tum Farmao ke Fir Agle Ambiya ko kyun shaheed kiya , Agar Tumhe Apni Qitab par Imaan tha .

(English)
 And when it is said to them, "Have faith in what Allah has sent down," then they say, 'We have faith in what has been sent down to us and reject the rest, though it is the truth confirming what is with them. Say you, ''why did you then kill former prophets, if you had faith upon your Book'?''

(92)

(Roman-Urdu)
Aur Beshak Tumhare paas Musa khuli nishaniyan le kar Tashrif laya , Fir Tumne us ke baas Bachhde ko Ma'bood bana liya , Aur Tum zalim the .

(English)
 And assuredly, Moses came to you with clear signs, then after that you made the calf a god and you were unjust.

(93)

(Roman-Urdu)
Aur Yaad karo Jab Hamne Tumse bayan liya , Aur Kohe Toor ko Tumhare saron par buland kiya , Lo Jo Ham Tumhe dete hein zor se , aur suno , Bole 'Hamne Suna aur na mana' , Aur Unke Dilon mein Bachhda rach raha tha , Unke kufr ke sabab . Tum Farmao , Kya Bura hukm deta hai Tumko Tumhara Imaan Agar Imaan rakhte ho .

(English)
 And recall, when We took a covenant from you and raised above your heads the mountain Tur, hold what We give to you with firmness and listen. They said, 'We heard and did not accept,' and the calf was permeating in their hearts because of their infidelity. Say then! 'What a vile command is given to you by your faith, if at all you have faith'. 

(94)

(Roman-Urdu)
Tum Farmao 'Agar Pichhla Ghar Allah ke nazdik khalis Tumhare liye ho na auron ke liye , To bhala Maut ki aarzu to karo Agar sacche ho .

(English)
 Say you: 'if the last home near Allah be for you solely, not for others, then well long for death, if you are truthful.

(95)

(Roman-Urdu)
Aur Hargiz kabhi is ki aarzu karenge , Un bad-a'maliyon ke sabab , Jo aage kar chuke , Aur Allah khub janta hai zalimon ko .

(English)
 And they will never long for it ever, because of their evil deeds, which they have done before and Allah knows the unjust well.

(96)

(Roman-Urdu)
Aur beshak Tum zarur Unhe paoge ke sab logon se ziyada jine ki hawas rakhte hein , Aur Mushrikon se ek ko tamanna hai ke kahin Hazar baras jiye , Aur Wo Use azab se door na karega Itni Umar diya jana , Aur Allah Unke kotak dekh raha hai .


Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Maslak ka Tu Imaam hai Ilyas Qadri Lyrics || मसलक का तु इमाम है , इल्यास क़ादरी || مسلک کا تو امام ہے ، الیاس قادری || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu