Al-Baqrah : Ruku'a 13 (Ayat 113-121)

(113)

(Urdu-Roman)
Aur Yahoodi bole 'Nasrani kuchh nahin' Aur Nasrani bole 'Yahoodi kuchh nahin' , Halanki wo kitab padte hein , Isi tarha jahilon ne in ki si baat kahi ,To Allah Qayamat ke Din in mein faisala kar dega Jiski baat mein jagad rahe hein .

(English)
 And the Jews spoke, '`The Christians are nothing," and Christians spoke; "The Jews are nothing," though they read the Book. Even thus the illiterates said the like of their saying. Then Allah will judge between them on the Day of Judgement regarding that wherein they are disputing. 

(114)

(Urdu-Roman)
Aur is se badh kar zalim kaun Jo Allah ki Masjidon ko roke in mein Naame Khuda liye jane se , Aur Unki wirani mein koshish kare , Inko na pahunchta tha ke Masjidon mein jayein magar darte hue , inke liye duniya mein ruswaee hai , aur Inke liye aakhirat mein bada azab .

(English)
 And who is more unjust than he who prevents the mosques of Allah from being mentioned the name of Allah, and strives to ruin them, it was not proper for them to enter the mosques but with fear. For them, there is disgrace in the world and for them, there is great torment in the hereafter.

(115)

(Urdu-Roman)
Aur Purab-pacchhim sab Allah hi ka hai , To Tum jidhar munh karo Udhar waj'hullah(Khuda ki Rehmat Tumhari taraf mut'wajjeh hai) , Beshak Allah wus'at wala Ilm wala hai .

(English)
 And East and West all is for Allah, then whichever side you turn your face there is the face of Allah (The mercy of Allah inclined towards you). Undoubtedly Allah is All Embracing, All Knowing.

(116)

(Urdu-Roman)
Aur Bole 'Khuda ne Apne liye aulad rakkhi' , Paki hai Use , Balke Usi ki milk hai Jo kuchh Aasmanon aur Zameen mein hai , Sab Uske Huzur gardan dale hein .

(English)
 And they say 'Allah has taken unto Himself a son', sanctity is for Him. Nay, whatever is in the heavens and is in the earth is His possession. All are unto Him subservient. 

(117)

(Urdu-Roman)
Naya paida karne wala , Aasmanon aur zameen ka , Aur Jab kisi baat ka hukm farmaye to Us se yahi farmata hai ke 'Ho Ja' , Wo foran ho jati hai .

(English)
 The Originator of the heavens and the earth, and when He decrees any thing, then says to it only, 'Be and it becomes at once."

(118)
  
(Urdu-Roman)
Aur Jahil bole 'Allah Hamse kyun nahin kalam karta , Ya Hamein koi nishani mile ' , Inse aglon ne bhi aesi hi kahi , Inki si baat , Inke Unke Dil ek se hein , Beshak Hamne nishaniyan khol din Yakeen walon ke liye .

(English)
 And the illiterates spoke, 'Why Allah speaks not to us or any sign is being given to us. Likewise said those before them, similar to their saying. The hearts of these people and of those are alike. Undoubtedly, We manifested the signs for the persons of firm faith.

(119)

(Urdu-Roman)
Beshak Hamne Tumhe Haq ke sath bheja , Khushkhabri deta aur dar sunata , Aur Tumse Dozakh walon ka suwal na hoga .

(English)
 Assuredly, We have sent you with the truth; bearer of glad tidings and a warner and you shall not be questioned about the inmates of Hell.
 
(120)

(Urdu-Roman)
Aur Hargiz Tumse Yahood aur Nasara razi na honge , Jab tak Tum Inke Deen ki pairwi na karo , Tum Farmado 'Allah hi ki Hidayat , Hidayat hai' , Aur (Aye Sun'ne wale) Agar Tu Inke khwahishon ka pairu hua , Ba'd iske ke Tuje Ilm aa chuka , to Allah se Tera koi bachane wala na hoga , aur na madad-ghar .

(English)
 And never the Jews and, Christians will be pleased with you unless you follow their Deen (creed). say then! 'The guidance of Allah is the only guidance; (O listener who he may be) if you become follower of their desires, after the knowledge that has come to you, then no one will be your protector from Allah and no helper.

(121)

(Urdu-Roman)
Jinhe Hamne Kitab di hai , Wo jaisi chahiye iski Tilawat karte hein , Wahi is par Imaan rakhte hein , Aur Jo iske munkir hon  to wahi ziyakar (Losers) hein ,

(English)
 Those who have been given the Book by Us, they recite it as it ought to be, they alone have faith unto it and those who disbelieve it, they alone are the losers.
 

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Maslak ka Tu Imaam hai Ilyas Qadri Lyrics || मसलक का तु इमाम है , इल्यास क़ादरी || مسلک کا تو امام ہے ، الیاس قادری || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu