Al-Baqrah : Ruku'a 15 (Ayat 130-141)


(130)

(Roman-Urdu)
Aur Ibrahim ke Deen se kaun munh fere, Siwa Uske Jo Dil ka ahemak hai , Aur Beshak Hamne Zarur Duniya mein Ise chun liya, Aur Beshak Wo Aakhirat mein Hamare khas kurb ki Qabiliyat walon mein hai.

(English)
 And who will turn his face from the religion of Ibrahim, save one who is a foolish in heart, and undoubtedly, We necessarily, chose him in the world and surely he is among the people having ability to gain Our special proximity in the hereafter.

(131)

(Roman-Urdu)
Jabke Is se Is ke Rabb ne Farmaya, "Gardan rakh" Arz ki "Meine Gardan rakkhi, Uske liye Jo Rabb hai Sare jahan ka."

(English)
 When his Lord said to him, "Surrender", submitted he, 'I surrendered to Him, Who is the Lord of all the worlds'. 

(132)

(Roman-Urdu)
Aur Isi Deen ki wasiyyat ki Ibrahim ne Apne Beton aur Yakub ne ke "Aye Mere Beton ! Beshak Allah ne ye Deen Tumhare liye chun liya, To na marna Magar Musalman."

(English)
 And Ibrahim left the legacy of the same religion to his sons and Yaqoob too; that 'O my sons, surely Allah has chosen this religion for you, therefore die not, but as Muslim.

(133)

(Roman-Urdu)
Balki Tum mein ke khud mojud the , Jab Yakub ko maut aayi, Jabke Usne Apne Beton se Farmaya, "Mere baad kis ki puja karoge ?" , Bole "Ham pujenge Use Jo Khuda hai Aapka Aur Aapke aaba Ibrahim wa Ismail wa Is'hak ka , Ek Khuda Aur Ham Uske Huzur gardan rakkhe hein."

(English)
 On the contrary, some of you were present, when death came to Yaqoob, when he said to his sons, 'whom you will worship after me?; said they 'we shall worship He Who is your God and of your fathers Ibrahim and Ismail and Ishaque the one God and to Him we have submitted ourselves'.

(134)

(Roman-Urdu)
Ye Ek ummat hai ke guzar chuki, Unke liye hai Jo Unhone kamaya, Aur Tumhare liye hai Jo Tum kamao , Aur Unke Kaamon ki Tum se pursish na hogi.

(English)
 This is a community that has passed away; for them is what they earned and for you is what you earn and you shall not be questioned for their deeds.

(135)

(Roman-Urdu)
Aur Kitabi bole "Yahudi ya Nasrani ho jao Raah Paoge , Tum Farmao "Ham to Ibrahim ka Deen lete hein, Jo Har Batil se juda the Aur Mushrikon se na tha."

(English)
 And the people of the book spoke, 'Be Jews or Christians, you will get guidance'. Say you, 'on the contrary, we take the religion of Ibrahim who was away from every false-hood and was not among the polytheists'.

(136)

(Roman-Urdu)
Yun Kaho "Ham Imaan laye Allah par Aur Us par Jo Hamari taraf utra, Aur Jo utara gaya , Ibrahim wa Ismail wa Is'haq wa Yakub aur Unki aulad par , Aur Jo ata kiye gaye Musa wa Isa aur Jo ata kiye gaye baki Ambiya Apne Rabb ke paas se , Ham Inme kisi par Imaan mein fark nahin karte , Aur Ham Allah ke Huzur gardan rakkhe hein."

(English)
 Say like this, 'we believed in Allah and what has been sent down towards us and what was sent down on Ibrahim and Ismail and Ishaque and Yaqoob and on his children and what was given to Moses and Christ and what was given to the rest of the prophets from their Lord; we do not differentiate between any of them in the matter of faith and we have submitted ourselves to Allah.

 (137)

(Roman-Urdu)
Fir Agar Wo bhi yunhi Imaan laye Jaisa Tum laye , Jab to Wo hidayat paa gaye, Aur agar Wo munh ferein to Wo nari zidd mein hein, Aur Aye Mehbub Ankareeb Allah Inki taraf se Tumhe kifayat karega, Aur Wahi hai Sunta Janta.

(English)
 Then if they believe too as you have believed; then they are guided, and if they turn back their faces, then they are but in total schism. So, O beloved, prophet! Soon Allah will suffice you on behalf of them. He is alone Hearing and Knowing.

(138)

(Roman-Urdu)
Hamne Allah ki rayni li , Aur Allah se bahetar kis ki rayni ? Aur Ham Usi ko pujte hein.

(English)
 We took the dye of Allah and whose dye is better than Allah and we worship Him alone.


(140)

(Roman-Urdu)
Balke Tum yun kehte ho ke , "Ibrahim wa Ismail wa Is'hak wa Yakub aur Unke bete Yahudi ya Nasrani the ", Tum Farmao "Kya Tumhe Ilm Zyada hai ya Allah ko " Aur Us se badh kar Zalim kaun Jis ke Paas Allah ki taraf ki gawahi ho aur Wo Use chhupaye, Aur Khuda Tumhare kutkon se bekhabar nahin .

(English)
 On the contrary, you say like this, that Ibrahim, and Ismail and Ishaque and Yaqoob and his sons. were Jews or Christians; say then, 'have you more knowledge or Allah,' And who is more unjust than he who has the testimony from Allah and the conceals it and Allah is not unmindful of your doings.

(141)

(Roman-Urdu)
Wo Ek giroh hai ke guzar gaya, Unke liye Unki kamayi , Aur Tumhare liye Tumhari kamayi , Aur Unke Kamon ki Tumse pursish na hogi .

(English)
 That is a community that has passed away, for them are their earnings and for you are your earnings and you shall not be questioned of their works.




Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Maslak ka Tu Imaam hai Ilyas Qadri Lyrics || मसलक का तु इमाम है , इल्यास क़ादरी || مسلک کا تو امام ہے ، الیاس قادری || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu