Al-Baqrah : Ruku'a 9 (Ayat 83-86)

(83)

(Roman-Urdu)
Aur Jab Hamne Bani Israil se ahad liya ke Allah ke siwa kisi ko na pujo , Aur Maa Baap ke sath bhalai karo , Aur rishtedaron aur yatimon aur miskinon se aur logon se acchhi baat kaho , Aur Namaz kayam rakkho , aur zakat do , Fir Tum fir gaye , Magar Tum me ke thode , Aur Tum ru-gardan ho.

(English)
 And when We took covenant from the children of Israel that worship none save Allah and do good to parents and to kindred, and orphans and the needy and speak good to people and establish prayer and pay the poor-due (Zakat); then you turned back, except a few among you and you are backsliders.

(84)

(Roman-Urdu)
Aur Jab Hamne Tumse ahad liya ke 'Apnon ka khun na karna aur Apnon ko Apni bastiyon se na nikalna' , Fir Tumne iska ikrar kiya aur Tum gawah ho.

(English)
 And when We took a covenant from you, that shed no blood of your own and turn not out your own people from your own towns, then you affirmed it and you are witnesses. 

(85)

(Roman-Urdu)
Fir ye Jo Tum ho Apnon ko qatl karne lage , Aur Apne mein ek giroh ko Unke watan se nikalte ho , Un par madad dete ho (Inke mukhalif ko) gunah aur ziyadati mein , Aur agar wo kaydi ho kar Tumhare paas aayein to badla de kar chhuda lete ho , Aur Unka nikalna Tum par Haram hai , To kya Khuda ke kuchh hukmon par iman late ho , aur kuchh se inkar karte ho , To Jo Tum mein aesa kare , Uska badla kya hai magar ye ke Duniya mein ruswa ho , Aur kyamat mein sakht tar azab ki taraf fere jayeinge , Aur Allah Tumhare kutkon se bekhabar nahin .

(English)
 Then it is you who began slaying your own people and turn out a group of your own people from their homeland, provide help to (their opponents) against them in sin and transgression, and if they come to you as captive, you ransom them, and their expulsion is unlawful for you. Do you then have faith on some commandments of God and refuse some other. Then whoso of you do such, what is the reward of it, save disgrace in the world, and on the Day of Resurrection, they shall be driven towards severest torment, and Allah is not unaware of your doings.

(86)

(Roman-Urdu)
Ye hein wo log Jinhone Aakhirat ke badle Duniya ki zindagi mol li , To na Un par se azab halka ho , aur na Unki madad ki jaye .

(English)
 These are the people who purchased the life of the world for the life of Hereafter, so neither the torment shall be lightened from over them nor they shall be helped. 


Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Maslak ka Tu Imaam hai Ilyas Qadri Lyrics || मसलक का तु इमाम है , इल्यास क़ादरी || مسلک کا تو امام ہے ، الیاس قادری || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu