Tajdar e Haram Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics
taajdar-e-haram ! ho nigaah-e-karam qismat mein meri chain say jeena likh de Doobe na kabhi mera safeena likh de jannat bhi gawaara hai magar mere liye aye kaatib-e-taqdeer ! madina likh de taajdar-e-haram ! ho nigaah-e-karam hum garibon ke din bhi sanwar jaaenge haami-e-be-kasaa.n ! kya kahega jahaa.n aap ke dar sae khaali agar jaaenge taajdar-e-haram ! taajdar-e-haram ! koi apna nahin gham ke maare hein hum aap ke dar pe fariyaad laaye hein hum aap ka naam le le ke mar jaaenge ho nigaah-e-karam warna chokhat pe hum taajdar-e-haram ! taajdar-e-haram ! kya tumse kahu.n, aye rab ke kanwar tum jaanat ho man ki batiyaa.n daur-e-furqat toh ae ummi laqab kaate na katati ab ratiyaa.n tori preet mein sudh bhud sab bisri kab tak rahegi ye be-khabri daare ba figan budi da nazar kabhi sun bhi to lo humari batiyaan aapke dar se koi na khaali gaya apne daaman ko bhar ke sawaali gaya ho habeeb-e-hazee.n par bhi aaqa nazar warna aah rah ke hasti bikhar jayenge taajdar-e-haram ! taajdar...