Zikr-E-Aaqa se Seena saja hai Naat Lyrics / ज़िक्र-ए-आक़ा से सीना सजा है / ذکرِ آقا سے سینہ سجا ہے
zikr-e-aaqa se seena saja hai zikr-e-aaqa se seena saja hai ishq hai ye tamasha nahi hai wo bhi dil koi dil hai jahan main jis mein tasvire taiba nahi hai laa makaan tak hai teri rasayi geet gaati hai saari khudayi wo jaga hi nahi do jahan main jis jaga tera charcha nahi hai hum hussaini hain karbal ke shaida dil kabhi bhi na hota hai maila kufr ki dhamkiyon se dare jo aashiqon ka kaleja nahi hai dushman-e-mustafa se kehdo khair chahe to hum se na uljhein hum ghulaman-e-ahmed raza hain koi bhi hum se jeeta nahi hai khaak-e-paaye nabi mou pe malna ittar ho mustafa ka paseena unki chadar ka tukda kafan ho aur koi tamanna nahi hai haj ki daulat jisse milna paye jaye jaye wo ghar apne jaye maa ke qadmon ko wo chum lein jo sang-e-aswad ko chuma nahi hai ae meri maut ruk ja abhi tu phir chaleinge jahan tu kahegi apni aankhon se aaqa ka rauza main ne jee bhar ke dekha nahi hai ...