क्या ख़बर क्या सज़ा मुझको मिलती / کیا خبر کیا سزا مجھ کو ملتی / Kya khabar kya saza mujko milti Lyrics
kya khabar kya saza mujko milti kya khabar kya saza mujko milti mere aqa ne izzat bachali farde isyaan meri mujse le kar kaali kamli mein apni chhupali wo ata par ata karne wale aur ham bhi nahin talne wale jaisi dewdi hai waise bhikhari jaisa data hai waise sawali main gada hun magar kiske dar ka wo jo sultan-e-kauno makan hain ye gulaami badi mustanad hai mere sar par hai taaj-e-bilaali mein madine se kya aa gaya hun zindagi jaise bujh si gayi hai ghar ke andar faza suni suni ghar ke bahar sama khaali khaali meri umr-e-raavan bas thahar jaa ab safar ki zarurat nahi hai unke kadmon mein meri zameen hai aur haathon mein roze ki jaali main faqat naam lewa hun unka unki tauseef mein kya karunga main na iqbal khusru na sa'di main na kudsi jaami na haali kya khabar kya saza mujko milti mere aqa ne izzat bachali farde i...