Wasf-e-Rukh Unka Kiya Karte Hai
Vasf-e-rukh unka kiya karte hai Sharh-e-vasshams o dduha karte hai Unki ham madh-o-sana karte hai Jinko Mahamud kaha karte hai Tu hai khursid-e-risalat pyare Chhup gaye teri ziya me tare Ambiya aur hai sab mahpare Tuj se hi noor liya karte hai Apne maula ki hai bas shan azim Janvar bhi kare jinki ta'zim Sang karte hai adab se taslim Ped sajde me gira karte hai Ungliya payee vo pyari pyari Jinse dariya-e-karam hai jari Josh par aati hai jab gam khvari Isme sairab hua karte hai Rif'ate zikr hai tera hissa Dono alam me hai tera charcha Murg-e-firdos b sad hamd-e-khuda Teri hi madh-o-sana karte hai Ha ye hi karti hai chidiya fariyad Yahi se chahati hai harni daad Isi dar par shutaran-e-na-shad Gila-e-ranjo ena karte hai Aasti Rehmat-e-A'alam Ulte Kamare Paak Pe Daaman Baandhe Girne vaalo Ko Kucha-e-Dohzakh Se Saaf Alag Kheench Liya Karte Hai Jab Sabaa Aati Hai Taibah Se Idhar Khilkhila Padti Hai Kaliya Ya...