chamak tujhse pate hain sab pane wale Lyrics with tazmeen / चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले / چمک تجھسے پاتے ہیں سب پانے والے

chamak tujhse paate hei.n sab paane waale chamak tujhse paate hei.n sab paane waale mera dil bhi chamkaa-de chamkaane waale ! barasta nahi.n dekh kar abr-e-rahmat bado.n par bhi barsa de, barsaa ne waale ! madine ke khitte ! KHuda tujh ko rakkhe ghareebo.n fakeero.n ke thaheraane waale ! tu zinda hai walllah ! tu zinda he walllah ! mere chashm-e-'aalam se chhup jaane waale ! mai.n mujrim hu.n aaqa ! mujhe saath le-lo ke raste mei.n hei.n jaa-baja thaane waale tera khaae.n , tere ghulaamo.n se uljhe hai munkir ajab khaane-ghurraane waale rahe-ga yu.nhi unka charcha rahega pare khaak hojaayei.n jal-jaane waale ab aayi shafa'at ki sa'at ab aayi zara chain le mere gabraane waale haram ki zamee,n aur kadam rakhke chalna are ! sar ka mauka hai oh jaane-waale raza nafs dushman hai, dum mei.n na aana kahaa.n tumne dekhe hei.n chandraane waale ...