उनकी जाम-ए-जम आँखें - मैं ग़ुलाम-ए-ख्वाजा हूँ / ان کی جامِ جم آنکھیں / میں غلامِ خواجہ ہوں /Unki jaame jam ankhen main ghulam-e-khwaja hun Lyrics
main ghulam-e-khwaja hun hind hai watan mera unki jaam e jam aankhen, sheesha-e-badan mera unki band mutthi mein saara baakpan mera aashiq-e-nabi hun mein, waaris-e-ali hun mein maila ho na paayega hashr tak kafan mera arz-e-gang bhi meri hai, khitta-e-jaman mera main ghulam-e-khwaja hun, hind hai watan mera arsh se pare ja kar, mustafa ne batlaaya ye zameen bhi meri hai, aur ye gagan mera naat-e-mustafa padna, naat-e-mustafa sunna mujhko bakhshwaaega, haan yehi chalan mera hashr mein nida hogi, ye ghulaam kiska hai mujhko dekhein aur keh dein, ya shah-e-zaman mera maine saare kaam apne, mustafa ko sompe hein kya bigaad paaega, daur-e-pur-fitan mera gulshan-e-madina se, najmi mujhko nisbat hai ek ek kali meri, gul mera, chaman mera मैं ग़ुलाम-ए-ख्वाजा हूँ हिंद है वतन मेरा उनकी जाम-ए-जम आँखें, शीशा-ए-बदन मेरा उनकी बंद मुट्ठी में सारा बालपन मेरा ...