Jahan roza-e-paak-e-khairul wara hai Lyrics / जहाँ रोज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैरुल वरा है / جہاں روضۂ پاکِ خیر الورٰی ہے
jahaan roza-e-paak-e-khairul wara hai jahaan roza-e-paak-e-khairul wara hai wo jannat nahi hai to fir aur kya hai kahan main aur kahan ye madine ki galiyan ye kismat nahi hai to fir aur kya hai muhammad ki azmat ko kya poochhte ho ke wo saahib-e-kaaba-kawsain thehre bashar ki sare arsh mehmaan-nawaazi ye azmat nahi hai to fir aur kya hai jo aasi ko kaamli mein apni chhupa le jo dushman ko bhi zakhm kha kar dua de use aur kya naam dega zamaana wo rehmat nahi hai to fir aur kya hai qayamat ka ek din mu’ayyann hai lekin hamare liye har naqas hai qayamat madine se hum jaa-nisaaron ki doori qayamat nahi hai to fir aur kya hai tum iqbal ye naat keh to rahe ho magar ye bhi socha ke kya kar rahe ho kahan tum kahan madh-e-mamdooh-e-yazdaan ye jurrat nahi hai to fir aur kya hai जहाँ रोज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैरुल वरा है जहाँ रोज़ा-ए-पाक-ए-ख़ैरुल वरा है वो जन्नत...