दिल में इश्क़-ए-नबी की हो ऐसी लगन / دل میں عشقِ نبی کی ہو ایسی لگن / Dil mein Ishke Nabi ki ho Aisi lagan Lyrics
dil mein ishq-e-nabi ki ho aisi lagan dil mein ishq-e-nabi ki ho aisi lagan rooh tadapti rahe dil machalta rahe zindagi ka maza hai ke har saans se ya muhammad muhammad nikalta rahe ya muhammad muhammad mein kehta raha noor ke motiyon ki ladi ban gayi aayaton se milata raha aayatein fir jo dekha to naate nabi ban gayi jo bhi aansu bahe mere mehboob ke sab ke sab abre rehmat ke chhinte bane chhaa gayi raat jab zulf lehra gayi jab tabassum kiya chaandni ban gayi ye maana ke jannat hai baag-e-haseen khubsurat hai sab khuld ki sarzameen husn-e-jannat ko fir jab sameta gaya sarware ambiya ki gali ban gayi jab chhida tazkira unke rukhsar ka wad-duha padh liya wal qamar keh diya suraton ki tilaawat bhi hoti rahi naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi sab se sa'eem zamane mein ma'zoor tha sab se bekas tha bebas tha majboor tha unko reham aa gaya ...