Posts

Showing posts with the label owais qadri

Ho Karam Sarkar ab to ho gaye gam beshumar Lyrics / हो करम सरकार अब तो हो गए गम बे-शुमार / ہو کرم سرکاراب تو ہو گئے غم بے شمار

ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar Naat-Khwaan:  Owais Raza Qadri ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar jaan-o-dil tum par fidaa, aye do jahaa.n ke taajdaar ! ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar mai.n akela aur masaaeel zindagi ke be-shumaar aap hi kuchh kijiye na aye shahe aali waQaar ! ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar yaad aata hai tawaaf-e-KHaana-e-Ka'ba mujhe aur lipatna multazam se waalehana baar-baar ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar sang-e-aswad chum kar milta mujhe kayf-o-suroor chain paata dekh kar dil mustajaab -o- mustajaar ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar ya KHuda ! dikhla hateem-e-paak meezab-o-makaam aur safa marwaah mujhe baher-e-rasool-e-zee-waqaar ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar ja raha hai Kafila taybaah nagar rota hua mai.n raha jaata hu.n tanha aye habeeb-e-kirdagaar ! ho karam sarkar ! ab to ho gae Ga...

chamak tujhse pate hain sab pane wale Lyrics with tazmeen / चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले / چمک تجھسے پاتے ہیں سب پانے والے

Image
chamak tujhse paate hei.n sab paane waale chamak tujhse paate hei.n sab paane waale mera dil bhi chamkaa-de chamkaane waale ! barasta nahi.n dekh kar abr-e-rahmat bado.n par bhi barsa de, barsaa ne waale ! madine ke khitte ! KHuda tujh ko rakkhe ghareebo.n fakeero.n ke thaheraane waale ! tu zinda hai walllah ! tu zinda he walllah ! mere chashm-e-'aalam se chhup jaane waale ! mai.n mujrim hu.n aaqa ! mujhe saath le-lo ke raste mei.n hei.n jaa-baja thaane waale tera khaae.n , tere ghulaamo.n se uljhe hai munkir ajab khaane-ghurraane waale rahe-ga yu.nhi unka charcha rahega pare khaak hojaayei.n jal-jaane waale ab aayi shafa'at ki sa'at ab aayi zara chain le mere gabraane waale haram ki zamee,n aur kadam rakhke chalna are ! sar ka mauka hai oh jaane-waale raza nafs dushman hai, dum mei.n na aana kahaa.n tumne dekhe hei.n chandraane waale ...

Bakhte Khufta ne Muje Roze pe jaane na diya Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

bakht-e-khufta ne mujhe roze pe jaane na diya bakht-e-khufta ne mujhe roze pe jaane na diya chashm-o-dil seene kaleje se lagaane na diya aah ! qismat mujhe duniya ke ghamon ne roka haaye ! taqdeer ke taiba mujhe jaane na diya paaon thak jaate agar paaon banaata sar ko sar ke bal jaata magar zauf ne jaane na diya sar to sar jaan se jaane ki mujhe hasrat hai maut ne haaye mujhe jaan se jaane na diya sharbat-e-deed ne aur aag lagaadi dil mein tapash-e-dil ko badhaaya hai bujaane na diya ab kahaa.n jaayega naqsha tera mere dil se teh mein rakkha hai ise dil ne gumaane na diya sajda karta jo mujhe iski ijaazat hoti kya karun izan mujhe iska KHuda ne na diya mere aa'mal ka badla to jahannam hi tha main to jaata mujhe sarkaar ne jaane na diya mere aa'mal-e-siyaah ne kiya jeena doobar zahar khata tere irshaad ne khaane na diya nafs-e-badkar ne dil par ye qayaamat todi amal-e-nek kiya bhi to chhupaane na diya aur chamakti si ghazal koi padho aye noori rang apna abhi jamne sho'...

Mere Ghaus piya Jilaani Lyrics by Owais Raza Qadri in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

mere ghaus piya jilaani, he.n mahboob-e-sub'haani mere ghaus piya jilaani, he.n mahboob-e-sub'haani chhut-ti hai to chhute duniya, ghaus ka daaman na chhode.nge apne gale me.n ghaus ka patta, ghaaus ka daaman na chhode.nge mere ghaus piya jilaani, he.n mahboob-e-sub'haani ghaus ke dar par umar guzaari, ghaus ke dar ke hum he.n bhikaari is khu.nte se khud ko baandha, ghaaus ka daaman na chhode.nge mere ghaus piya jilaani, he.n mahboob-e-sub'haani waliyo.n ne di unko salaami, abdaalo.n ne ki hai ghulaami uncha rahe ga unka janda, ghaus ka daaman na chhode.nge mere ghaus piya jilaani, he.n mahboob-e-sub'haani ghaus ka daaman kaise chhode.n, jism-o-rooh ka naata unse unse thehra deen ka rishta, ghaus ka daaman na chhode.nge mere ghaus piya jilaani, he.n mahboob-e-sub'haani unke haath me.n haath diya hai, khud ko ujagar bech diya hai ab na kabhi chhode.nge wallah, ghaus ka daaman na chhode.nge mere ghaus piya jilaani, he.n mahboob-e-sub'haani ghaus-e-p...

Mere Aaqa Ki hai Shan Sabse Alag Lyrics / मेरे आक़ा की है शान सबसे अलग / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

mere aaqa ki hai shaan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa shaan-e-khayr-u- bashar, khaatam-ul-ambiya ek payambar, ek insaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa shafkate be sabab rahmate be talab unki bakhshish ka unwaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa 'arsh qadmo.n mein, payband poshaak mein hein do aalam ke sultaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa unko dekha nahi fir bhi pehchaan lein meri aankho.n ka imaan sabse alag jaise rutbe mein quraan sabse alag mere aaqa ki hai shaan sabse alag​ aaqa mere madani aaqa aaqa mere madani aaqa unke dar ke gada ,sar pe taaj-e-ana hum fakiro.n ki pehchaan sabse alag jaise rut...

Meeran Walion ke Imam Lyrics in English Hindi Urdu by Owais Raza Qadri ~ Islamic Naat Lyrics

Image
meeraa.n walion ke imaam ! dedo panjatan ke naam meeraa.n walion ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se Daalo nazr-e-karam sarkaar , apne mangato.n par ek baar humne mehfil hai sajaaii badi dair se mere chaand me.n sadqe, aaja idhar bhi chamak utthe dil ki kali gaus-e-aa'zam ! meeraa.n waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tere rabb ne malik kiya tere jad ko tere dar se duniya pali gaus-e-aa'zam ! meera.n waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tera rutba aala na kyu.n ho ke maula ! tu hai ibn-e-maula ali gaus-e-aa'zam ! meera.n waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se qadam gardan-e-auliya par hai tera tu hai rab ka aisa wali gaus-e-aa'zam ! meera.n waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tum jo banaao baat banegi , dono.n jahaa.n me.n laaj rahegi lajpaal karam ab kardo, mangto.n ki jh...

Tumne Shahe Jilan Mujhe Baghdad bulaya Lyrics in English Hindi Urud by Owais Raza Qadri

tumne shaah-e-jeelaan ! mujhe baghdaad bulaaya tumne shaah-e-jeelaan ! mujhe baghdaad bulaaya yu.n mere muqaddar ko shaha ! tumne jagaaya dekhu.n tera darbaar meri thi ye tamanna muddat ka mere dil ka ye armaan baraaya ho shukr ada kaise tumhara shah-e-jeelaa.n !  muj paapi ko darbaar ka deedaar karaaya haa.n ! haa.n ! tumhe.n maalum hai kya chaahiye mujko ya ghaus ! karam kar mai.n badi door se aaya har aarzu bar aaye ubaid-e-razwi ki ye arz liye aaqa ! karaachi se mai.n aaya

talab ka munh to kis qabil hai ya gaus Lyrics by Owais Qadri in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

talab ka mu.nh to kis qaabil hai ya ghaus ! talab ka mu.nh to kis qaabil hai ya ghaus ! magar tera karam kaamil hai ya ghaus ! duhaaii ya muhayyiddin duhaaii bala islaam par naazil hai ya ghaus ! 'azuman qaatilan 'ind-al-qitaali madad ko aa dam-e-bismil hai ya ghaus ! KHudaara na-KHuda aa de sahaara hawa bigdi bha.nwar haaiil hai ya ghaus ! tera waqt aur pade yu.n deen par waqt na tu aajiz hai na gaafil hai ya ghaus ! rahi haa.n shaamat-e-aa'mal ye bhi jo tu chaahe abhi zaaeel hai ya ghaus ! ghayura apni ghairat ka tasadduq wohi kar jo tere qaabil hai ya ghaus ! KHudara marham-e-khaak-e-qadam de jigar zakhmi hai dil gaayil hai ya ghaus ! tere baba ka fir tera karam hai ye munh warna kisi qaabil hai ya ghaus ! bharan wale tera jaala to jaala tera chhinta mera gaasil hai ya ghaus ! raza  ka khaatima bil-khair hoga teri rahmat agar shaamil hai ya gh...

Salle Ala pukaaro Sarkaar aa rahe hein Lyrics / सल्ले 'अला पुकारो , सरकार आ रहे हैं / English Hindi Urdu by Owais Raza Qadri

  salle 'ala pukaaro sarkaar aa rahe hei.n allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin salle 'ala pukaaro, sarkaar aa rahe hei.n uttho aye be-sahaaro.n ! sarkaar aa rahe hei.n allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin maulood ki gadi hai, chalo aamena ke ghar par aye KHuld ki bahaaro.n ! sarkaar aa rahe hei.n allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin jo maangna hai maango , jo lena hai so lelo duniya ke taajdaaro.n ! sarkaar aa rahe hei.n allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin allahumma salle 'ala saiyyidina muhammadin purnoor hai zamaana, sub'h-...

Tajdar e haram Aye Shahenshah e deen Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Image
taajdar-e-haram ! aye shahensha-e-dee.n ! taajdar-e-haram ! aye shahensha-e-dee.n ! tumpe har-dam karodo.n durood-o-salaam ho nigaah-e-karam , ham pe sultaan-e-dee.n ! tumpe har-dam karodo.n durood-o-salaam door reh kar na dam toot jaaye kahi.n kaash taiba me.n aye mere maah-e-mubeen dafn hone ko mil jaaye do-gaz zamee.n tumpe har-dam karodo.n durood-o-salaam teri yaado.n se ma'moor seena rahe lab pe har dam madina madina rahe bas mai.n deewaana ban jaau.n sultan-e-dee.n tumpe har-dam karodo.n durood-o-salaam hoi husn-e-'amal paas mere nahi.n fas na jaau.n qayaamat me.n maula ! kahi.n aye shafee'-e-umam ! laaj rakhna tumhi tumpe har-dam karodo.n durood-o-salaam maut ke waqt kardo nigaah-e-karam kaash is shaan se ye nikal jaaye dam sang-e-dar pe tumhaare ho meri zabee.n tumpe har-dam karodo.n durood-o-salaam fikr-e-ummat me.n raato.n ko rote rahe aasiyo.n ke gunaaho.n ko dhote rahe tumpe qurbaan , aye mere maah-e-mubee.n ! Tumpe hardam karodo.n Durood-o-Salam   fir bulaalo ...

madina yad aaya hai Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu || Owais Raza Qadri

madina yaad aaya hai madina yaad aaya hai, madina yaad aaya hai phir jaa rahe hei.n ahl-e-mahobbat ke kaafile phir teri be-karaari ke din aaye hei.n izn jisko mila wo madine chala mera kuchh na bana, mai.n yahi.n reh gaya madina yaad aaya hai, madina yaad aaya hai saaeel se aate aate mojo.n ko chum lena mojo.n ke ba'ad dilkash zarro.n ko chum lena phoolo.n ko chum lena, kaanto.n ko chum lena us paak sarzamee.n ki raaho.n ko chum lena sultaan-e-ambiya se, mahboob-e-kibriya se mera salaam kehna, aur kehna  madina yaad aaya hai, madina yaad aaya hai kaanto.n ki jafa yaad na phoolo.n ki wafa yaad, jab unko kiya yaad to kuchh bhi na raha yaad madina yaad aaya hai, madina yaad aaya hai madine hamei.n le gaya tha muqaddar madine mei.n kaisa suroor aa raha tha na hum kaash aate yahaa.n laut kar ghar madine mei.n kaisa suroor aa raha tha hum madine se allah ! kyu.n aa gaye qalb-e-hairaa.n ki taskee.n wahi.n reh gayi dil wahi.n reh gaya jaa.n wahi.n reh gayi kham usi dar pe apni j...

rozo shab josh pe rehmat ka hai dariya tera ~ wah kya judo karam hai shahe batha tera with tazmeen in English ~ Hindi ~ Urdu

Image
roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera sadqe is shaan-e-sakhaawat pe ye mangta tera haath uthe bhi na the aur mil gaya sadqa tera waah ! kya jood-o-karam hai shah-e-bat'ha tera nahi,n, sunta hi nahi.n maangne waala tera wo haqeeqat teri, jibreel jise na jaane kis tarha log bhala rutba tumhaara jaane tod de likh ke qalam yunhi.n, jo likhna jaane farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane khushrawa 'arsh pe udta hai farera tera na koi tujhsa sakhi hai, na koi mujhsa ghareeb chashm-e-bedaar ! jagaa de, mere khwaabida naseeb tu jo chaahe wo wahi chaahe, tum itne ho kareeb mai.n to maalik hi kahunga, ke ho maalik ke habeeb yaa'ni mahboob-o-muhib me.n nahi.n mera-tera na koi tujhsa sakhi hai, na koi mujhsa ghareeb ek nazar teri jagaaye, mere khwaabida naseeb qurb-e-haq usko mila jo tere qadmo.n se kareeb mai.n to maalik hi kahunga, ke ho maalik ke habeeb yaa'ni mahboob-o-muhib me.n nahi.n mera-tera jaayegi KHuld me.n, aa...

ajab rang par hai bahaar-e-madina || sarkar ka madina || अजब रंग पर है बहार-ए-मदीना || सरकार का मदीना || عجب رنگ پر ہے بہار مدینہ || Owais Raza Qadri

Roman (ENG) : 'ajab rang par hai bahaar-e-madina ke sab jannatei.n hei.n nisaar-e-madina sarkar ka madina, sarkar ka madina sarkar ka madina, sarkar ka madina mai.n pahl-e-pahel jab madine gaya tha to thi dil ki haalat tadap jaane waali wo darbaar sach-much mere saamne tha abhi tak tasawwur tha jis ka khayaali sarkar ka madina, sarkar ka madina sarkar ka madina, sarkar ka madina mai.n ek haath se dil, sambhaale hue tha to thi dusre haath mei.n unki jaali duaa' ke liye haath uth-te to kaise na ye haath khaali, na wo haath khaali sarkar ka madina, sarkar ka madina sarkar ka madina, sarkar ka madina khula hai sabhi ke liye baab-e-rahmat wahaa.n koi rutbe mei.n adna na aali murado.n se daaman nahi.n koi khaali kataarei.n lagaae khade hei.n sawaali sarkar ka madina, sarkar ka madina sarkar ka madina, sarkar ka madina jo puchha kisi ne ke tum nazr karne ko kya le gaye the to tafseel sun lo tha naato.n ka ek haar, ashko.n ke moti durudo.n ke gajre, salaamo.n ki daali sarkar ka...

chalo diyaar-e-nabi ki jaanib , durood lab par sajaa sajaa kar Lyrics || चलो दियार-ए-नबी की जानिब, दुरूद लब पर सजा-सजा कर || چلو دیار نبی کی جانب ، درود لب پر سجا سجا کر || Owais Raza Qadri

Roman(ENG): salla 'alaika ya rasulallah  wa sallam 'alaika ya habiballah chalo diyaar-e-nabi ki jaanib , durood lab par sajaa sajaa kar bahaare.n lutenge ham karam ki , dilo.n ko daaman bana bana kar chalo diyaar-e-nabi ki jaanib , durood lab par sajaa sajaa kar salla 'alaika ya rasulallah ,  wa sallam 'alaika ya habiballah na unke jaisa sakhi hai koi , na unke jaisa ghani hai koi wo be-nawaao.n ko har jagaah se , nawaazte he.n bula-bula kar chalo diyaar-e-nabi ki jaanib , durood lab par sajaa sajaa kar salla 'alaika ya rasulallah ,  wa sallam 'alaika ya habiballah hai unko ummat se pyaar kitna , karam hai rahmat shi'aar kitna hamaare jurmo.n ko dho rahe he.n , huzur aansu baha-baha kar chalo diyaar-e-nabi ki jaanib, durood lab par sajaa sajaa kar salla 'alaika ya rasulallah ,  wa sallam 'alaika ya habiballah mai.n wo nikamma hu.n jiski joli , me.n koi husne 'amal nahi.n hai magar wo ahesaan kar rahe he.n, ...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

अल-मदद पीरान-ए-पीर या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर / المدد پیران پیر، یا غوثُ الاعْظَم دستگیر / Al Madad Peerane Peer gaus-e-aa'zam dastageer Lyrics

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics

Madine Qafile Jate hai Main bhi Aaunga / मदीने काफिले जाते हैं में भी आऊंगा / مدینے قافلے جاتے ہیں میں بھی آؤں گا