Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha || अर्श न क्यों सजता सरकार ने आना था || Lyrics || Sohail Farooki
Roman(ENG): Jashn ka Manzar tha Mahol Suhana tha Arsh na kyun sajta Sarkaar ne Aana tha Farsh pe Nagme the Aaqa ki Risaalat ke Arsh pe charche the Sarkaar ki Azmat ke Hooron ke Lab par Khushiyon ka taraana tha Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha Roop badal jaaye Ye Raat sanwar jaye Hukm Khuda ka hua ke Waqt thaher jaye Ruk gaya Foran jo Gardish mein zamaana tha Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha Masjide Aqsa mein kya Manzar the Pyaare Bich Kataaron mein Haazir the Nabi Saare Aage Musalle par Sultaane Zamaana tha Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha Arsh saja Sarkaar ke liye Arsh saja Sarkaar ke liye Manzil-e-Sidra par Jibreel ne arz kiya Shahe Do Aalam Mein aage nahin chal sakta Meri had ye hi thi Yehi Mera thikaana tha Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha Ek wasila hai Rabb se mulaakaton ka Aap ko Haq ne diya tohfa jo Namaazon ka Asal mein Ummat ki bakhshish ka bahaana tha Arsh na kyun sajta Sarkar ne Aana tha Noor mein Farooki duba ye Jahaan hoga Waqt wo kya hoga...