Posts

Showing posts with the label madani channel

Ya Rasool allahi Unzur ha lana Lyrics English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

ya rasulallahi unzurha lana ya rasulallahi unzurha lana ya habiballahi isma-kaalana innani fi bahri hammim mugraqan khuziyati sahillana ashkaalama ya nabi chashme karam farmaiye darguzar har ek khata farmaiye gumbade khazra ke jalwe ho naseeb ye karam ya mustafa farmaiye aapke qadmon mein ho jaaun shahid aur kuchh sabak aesa shaha farmaiye ya rasulallah meri magfirat ho khuda se ye dua farmaiye istikaamat deen par ham ko ata az paye gauso raza farmaiye nei-mate akhlaak kar dijiye ata ye karam ya mustafa farmaiye geebato chugli ki aadat se bachein ye karam ya mustafa farmaiye ham riyaakari se bachte hi rahein ye karam ya mustafa farmaiye nafso shaytaan ki sharaarat door ho ye karam ya mustafa farmaiye apne aasee ki shafa-at hashr mein shaafa-e-roze jaza farmaiye madani burka pahene sab bahenein karam fatima ka waasita farmaiye door hon aafato masaaib ya nabi bahere shaahe karbala farmaiye dam labon par aa gaya attar ka ab kadam ranja shaha farmaiye

Khaake Madina hoti Mein khaak-saar hota Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Roman(Eng): Khaake Madina hoti Mein khaak-saar hota Hoti rahe Madina Mera gubaar hota Aaqa Agar Karam se Tayba Muje bulaate Roze par Sadqe hota Unpar nisaar hota Mar mitke khub lagti mitti Meri thikaane Gar unki rah-guzar par Mera Mazaar hota Ye aarazu hai Dil ki hota Wo Sabz Gumbad Aur Mein gubaar ban kar Us par nisaar hota Tayba mein gar muyassar Do gaz Zameen hoti Unke kareeb basta Dil ko karaar hota Bechain Dil ko ab tak samja buja ke rakkha Magar ab to Is se Aaqa nahin Intezar hota Wo bekason ke Aaqa , Bekas ko gar bulate Kyun Sab ki thokaron par , Padh kar khunwaar hota Saalik hue Ham Unke wo bhi hue Hamaare Dile muztarib ko lekin nahin intezaar hota हिंदी(Hindi): खाके मदीना होती में खाकसार होता होती रहे मदीना मेरा गुबार होता आक़ा अगर करम से तैयबा मुझे बुलाते रोज़े पर सड़के होता उनपर निसार होता मर मिटके खूब लगती मिटटी मेरी ठिकाने गर उनकी रहगुज़र पर मेरा मज़ार होता ये आरज़ू है दिल की होता वो सब्ज़ गुम्बद और में गुबार बन कर उस पर निसार होता तयबह में गर मुयस्सर दो गज़ ...

Aah ! har lamha gunah ki kasrato bharmar hai Lyrics

Aah ! har lamha gunah ki kasrato bharmar hai Galba e shaitan hai aur nafse bad-atwar hai Mujrimon ke waste dozakh bhi sho'ala baar hai Har gunah kasdan kiya hai iska bhi ikrar hai Haaye na-farmaniyan bad-kariyan be-bakiyan Aah ! naame mein gunahon ki padhi bharmar hai Chhup ke logon se gunahon ka raha hai silsila Tere aage Ya khuda ! har jurm ka iz'har hai Ya khuda rehmat teri haawi hai tere kehr par Fazlo rehmat ke sahare jee raha badkar hai Banda e badkar hun be-had zaleelo khaar hun Magfirat farma Ilahi ! Tu bada Gaffar hai Ab sare balein khudara muskurate aaeeye Jaan balab shahe madina talibe deedar hai Gusl dene ke liye gassal bhi ab aa chuka Gusle mayyat ho raha hai aur kafan tayyar hai Ya nabi ! pani se saara jism mera dhul gaya Naama e aa'mal ko bhi gusl ab darkar hai Laad kar kandhon pe ahbab aah ! kabristan chale Wasite tadfeen ke gehra ghada tayyar hai Qabr mein mujko lita kar aur mitti dal kar Chal diye sathi na paas...

Mein madina chhod aaya Lyrics

Ya shahe bahro bar Mein madina chhod aaya Kohe gam pada sar par mein madina chhod aaya Aah masjide nabwi haaye gumbade khazra Aah roza e anwar mein madina chhod aaya Jab chala tha tayba ko thi khushi mere dil ko Aah ab hai dile muztar mein madina chhod aaya Dil mein bekarari hai Aur giryazari hai Beh rahi hein chashme tar mein madina chhod aaya Aah dil madine ke jald jald guzre the Haaye jald  chhuta kar mein madina chhod aaya Wakte hijr jab aaya Fut fut kar roya Dardnaak tha manzar mein madina chhod aaya

Ye desh hai mere khwaja ka Lyrics

Ye desh hai mere khwaja ka Khwaja ka mere khwaja ka Ye desh hai mere khwaja ka Khwaja hind ke raja ka Ye desh to ala hazrat ka Ye desh nizamuddin ka hai Shahe alam shahe meena Ye desh to kutbu ddeen ka hai Makhdoom ali aur haji ali Ye desh to taajuddin ka hai Ye desh hai mere khwaja ka Khwaja ka mere khwaja ka Ye desh hai mere khwaja ka Khwaja hind ke raja ka

Mai Jo yu Madine jaata to kuchh aur baat hoti Naat Lyrics

Mai Madine To Gaya tha ye bada sharaf tha lekin Vohi Dam jo tut jaata To kuchh Aur baat hoti Mai Jo yu Madine jaata to kuchh aur baat hoti Kabhi laut kar na aata To kuchh aur baat hoti Gam e Rozgar Mai to mere ashk beh rahe hai Tera gam agar rulata To kuchh aur baat hoti Na fuzul kash hasta Teri yaad mai tadap ta Muje chen hi na aata To kuchh aur baat hoti Yeh aah fikr e duniya mera dil jala rahi hai Hame hijr agar satata To kuchh aur baat hoti Yaha kabr mai karam se teri did mujko hogi Jo baki e paak paata To kuchh aur baat hoti Bazaban e zahiri to mai salam bhejta hu Kabhi khud salam laata To kuchh aur baat hoti Are Zahir e madina tu khushi se has raha hai Dil e gam zada jo laata To kuchh aur baat hoti Meri jab bhi khulti teri rehmaton se aqa Tuje samne hi paata To kuchh aur baat hoti Kyu madina chhod aaya tuje kya hua tha Attar Vohi ghar agar basata To kuchh aur baat hoti

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

अल-मदद पीरान-ए-पीर या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर / المدد پیران پیر، یا غوثُ الاعْظَم دستگیر / Al Madad Peerane Peer gaus-e-aa'zam dastageer Lyrics

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics

Madine Qafile Jate hai Main bhi Aaunga / मदीने काफिले जाते हैं में भी आऊंगा / مدینے قافلے جاتے ہیں میں بھی آؤں گا